Posts

Showing posts from May, 2016

Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara - Salaam Lyrics

Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara  Sabaa Tu Madine Jaa Ke Kehna Khudara Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara Ghum se Hain Toote Hue, Zulmo Se Loote Hue, Muddat Hui Ya Nabi, Qismat Ko Roothe Hue, Rouze Mehshar Ummati Ka Aap Hi Sahara Chaand Ke Tukde Kiye, Paido Ne Sajdeh Kiye, Suraj Palat Aa Gaya, Ye Moujize Aapke Ummati Kya Khud Khuda Hain Shaida Tumhara Din Raat Rooti Hain Ye, Ummat Tumhare Liye Ho Jaye Nazre Karam, Aaqa Hamare Liye Taibah Ki Un Galiyon Ka Kab Hoga Nazara Sab Ambiya Ke Imam, Tum Par Ho Laakho Salaam Rouze Pe Aaye Majeed, Kehta Hai Ye Subho Shaam Zindagi Me Aas Ka Na Toote Sitara Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara

Ya Nabi Salaam Alaika - Salaam Lyrics

Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Jashn-e-Milad un nabi hay, Noor ki chaadar tani hay, Roshani hi roshani hay, Har taraf yay doom machi hay. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Ya habeeb-e-rab-e-daawar, Azpa-ay Siddeeq-e-Akbar, Aur Umar Usmaan O Haydar, Chashmay baytar Do qalb-e-uzz par. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Rahmatal Lil Aalameena, Ho ataa aysa kareena, Daykh kar meetaa madina, Ishq-e-main patjaa ay seena. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Aakhari lamhay jab aa-ain, Kaash wo tashreef laa-ain, Apnay jalwon main gumaa-ain, Joom-e-kar ham gun gunaa-ain. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Hashr-e-main sarkaar-e-aanaa, Mayray ayb ko chupaana, Apnay rab say bakhsh, Saath-e-jannat may bassaana

Khairul Bashar par Lakho Salam - Salaam Lyrics

Khairul Bashar par Lakho Salam Lakho Darood aur Lakho Salam Jinno Malaek Tere Ghulam Sab se siwa hai Tera Muqaam Yaseen O Taha Tere hi naam Ala se Ala Tera Muqaam Sab Ambiya ka Tu hai IMAM Kul Aulia hai Tere Ghulam Arshe baree tak charcha Tera Shams o Qamar hai Sadqa Tera Yeh mahe kamil husne tamam Sab ko mayas'sar ho yeh muqaam Pahoonche Madine bankar Ghulam Padhte Darood aur Padhte Salam Itna Karam to Farmaiye Rauze pe sab ko bulwaiye Hazir yahaan hai jitne ghulam Teri Sana hai mera naseeb Qurbaan Tujh par jaane Adeeb Tujh par tassaduq Alam tamam

Ya RASOOLALLAH tere dar ki fazaao ko salaam - Owais Raza Qadri - Salaam Lyrics

Image
Ya RASOOLALLAH tere dar ki fazaao ko salaam gumbad e khazra ki thandi thandi chao ko salaam Masjeed e nabvi ke subho aur shamo ko salaam. Ya Nabi tere ghulamo ke ghulamo ko salaam. Jo madine ki gali kucho mein dete hai sadaa. un fakiro rahgiro aur gadao ko salaam. Walehaana jo tawafe roza e aqdas kare. mast o bekhud karti un hawao ko salaam. Jo padha karte hai rozo shab tere darbaar mein. pesh karta hai  Zahuri   un salaamo ko salaam.

Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam - Salaam Lyrics

Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam Badrud Duja Par Laakho(n) Salaam Aala Se Aala Tera Maqaam Sab Ambiya Ka Tu Hai Imaam Qul Awliyah Hai Tere Gulaam Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam Hai Hukmarani Kis Shaan Se Kaim Hai Tere Faizan Se Duniya Wa Dee(n) Ka Saara Nizaam Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam Teri Ataa Ki KYa Baat Hai Abre Karam Ki Barsaat Hai Radde Balaa Hai Tera Hi Naam Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam Itna Karam To Farmaiye Rouze Pe Sabko Bulwaiye Haazir Yaha Hai Jitne Ghulam Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam Anjum  Ke Aaqa Anjum Hi Kya Tere Bhikari Tere Gada Saare Khwas Aur Saare Awaam Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam

Mere ALLAH Ke Nigaar Salaam - Salaam Lyrics

Mere ALLAH Ke Nigaar Salaam Daste Qudrat Ke Shahkaar Salaam Dono Aalam Ke Taajdaar Salaam Jaane Har Jaano Jaandaar Salaam Khaake Taibah Bane Meri Hasti Arz Karta Hai Khaaksaar Salaam Phir Madine Mein Kab Bulaaoge Tum Se Kehta Hai Intizaar Salaam Mujhe Ko Zaalim Pe Ikhtiyaar Nahee Tum To Rakhte Ho Ikhtiyaar Salaam Khuld Kehti Hai Yeh Madeene Se Tujh Pe Ay Khuld Ki Bahaar Salaam Apni Ulfat Ka Aisa Jaam Pila Jiska Barhta Rahe Khumaar Salaam Dard E Ulfat Mein De Mazaa Aisa Dil Na Paaye Kabhi Qaraar Salaam Teri Khaatir Zaleel Hona Hai Meri Izzat Mere Waqaar Salaam Apne  Akhtar  Ka Lo Salaam Shaha Tum Pe Ay Jaan Ay Qaraar Salaam!!!

Dam Ba Dam Allah Ho Allah Ho - Hamd Lyrics

Allah Hye Allah Hye Allah Hye Allah Hye Allah Ho Allah Ho Dam Ba Dam Allah Ho Allah Ho Har Jagha Har Ghari Har Jagha Har Ghari Har Kadam Allah Ho Allah Hye Allah Hye Allah Hye Allah Hye Lamha Lamha Basar Ho Tere Zikar Main Zindgi Ka Safar Ho Tere Zikar Main Bas Zaban NagmaGer Ho Tere Zikar Main Dil Mera Shab Ho Sham-e-Haram Allah Ho Har Kali Har Samar Lehlahate Shajar Chandni Kehkashan Noori Shams-o-Qamar Yeh Zameen Yeh Falak Balke Har Khushk-o-Tar Kar Rahe Hain Sana Sab Baham Allah Ho Azmaton Rif-ato Ke Nisha(n) Tere Hai(n) Aey Khuda Yeh Zameen Asmaan Tere Hai(n) Malik-e-Do Jahan Ins-o-Jaan Tere  Hai(n) Tu Hamara Hai aur Tere Hum Allah Ho Uss Ki Kudrat kiran Dar Kiran Dar Kiran Us ki Nadhat Chaman Dar Chaman Dar Chaman Us Ki Midhat  Pavan Dar Pavan Dar Pavan Likhon Ja Ghar Kalam Ba Kalam Allah Ho

Kaabe ke rawnaq Kaabe ka manzar - Hamd Lyrics

Kaabe ke rawnaq Kaabe ka manzar Allahu Akbar Allahu Akbar Dekhon tu dekhe jaon barabar Allahu Akbar Allahu Akbar  Hamd-e-Khuda say tar hein zubaane  kaano mein russ gholtee hein Azaane Bas ik sadaa aarahi he baraabar Tere haram ki kya baat Mawla  tere karam ki kya baat Mawla Ta umar karde aana muqaddar Maangi hein mein ne jitnee duae manzoor hongi maqbool hongi Meezab-e-Rehmat he mere sar par Yaad agaye jab apni khataye  ashkon mein dhalne lagee iltijaye Roya ghilaaf-e-Kaaba pakar kar Bheja he Jannat se tujhko Khuda ne  chuuma he tujhko khud Mustafa ne Ay sung-e-Aswad tera muqqadar Mawla sabhi aur kya chahta he  bas maghfirat ki ataa chahta he Bakhshish ke talib pe apna karam kar

La Mau-Jooda Illallah, La Mash-huda Illallah - Hamd Lyrics

La Mau-Jooda Illallah, La Mash-huda Illallah, La Maqsooda Illallah, La Ma'booda Illallah Hai Maujood E Haqeeqi WO, Hai Mash-hud E Haqeeqi WO Hai Maqsood E Haqeeqi WO, Ma'bude Haq-o-Haqeeqi WO Rabbi Hasbi Jallallah, Maa Fi Qalbi Illallah Haq Haq Haq ALLAH ALLAH ALLAH, Rab Rab Rab SubhaanALLAH Sota Peeta Khaat Nahi, Uska Rishta Naata Nahi Uske Pita Aur Maata Nahi, Uske Jooru Jaata Nahi Mai Hu Banda Wo Maula, Kaun Hai Apna Uske Siwa Mai Hu Uska WO Mera, Jisne Banaya Aur Paala Aankho Me WO Hai Sarr Me WO, Dil me Wo Hai Jigar Me WO sam'a Me WO Hai Basar Me WO, Tab'a Me WO Hai Fikar Me WO Noor Me WO Hai Nazar Me WO, Shams Me WO Hai Qamar Me WO Abr Me WO Hai Guhar Me WO, Koh Me WO Hai Hajar Me WO Jalwe USKE Hai Har Jaa, Zaat Hai Uski Jaa Se Varaa Qudrat Se WO In me Hua, Zaat Me Hai WO Sabse Juda Apne Karam Se Rabbe Kareem, Humpe Kiya Ehsaan E Azeem Bheja Hum Me Ba-Fazle Azeem, Bahre Karam Ka Durre Yateem Apne Mazhar E Awwal Ko, Apne Habeeb E Ajmal Ko Pehle Nabi E Afzal Ko, Pic

Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai - Qari Rizwan - Hamd Lyrics

Image
Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai Tera Mera Sab Ka Jo Ma'bood Hai Hai Wahi Shahid Wahi Mash-hud Hai Noor Uska Har Jagah Maujood hai Usne Hi Humko Bakshe Hay Humko Mustafa Ye Na Ho To Zindagi Be Sud Hai Yu To Hai Quraa(n) Hidayat Ki Kitaab Par Kisi Ka Tazkera Maksood Hai Wad-duha Wash-shams Jiski Shaan Hai Haan Wahi Ahmed Wahi Mehmood Hai Unn Ka Charcha Har Jabaa(n) Par Hai Rawaa(n) Unki Khushbu Har Jagah Maujood Hai Azmat E Ahmad Me Jisko Hai Shuba Haan Wahi Shaitaa(n) Wahi Mardood Hai Aur Jo Karta Hai Unn Par Jaa(n) Fida Wo Mubarak Hai Wahi Mas-ud Hai Noor Ki Barsaat Hoti Hai Waha Jis Jagah Par Mehfil E Maulood Hai Padhte Rahiye  Nazmi  Naat E Mustafa Haan Isi Me Rooh Ki Beh-bud Hai

Qalb Ko Uski Ruyat Ki hai Aarzu - Hamd Lyrics

Qalb ko uski ruyat ki hai aarzu Jis ka jalwah hai aalam me har char su Balke khud nafs me hai wo subhanahu Arsh par hai magar arsh ko justaju Allahu Allahu Allahu Allahu Arsh o farsh o zamano jihat aay khuda Jis taraf dekhta hu hai jalwa tera Zarrey zarrey ki aankhon me tu hi ziya Qatrey qatrey ki tu hi toh hai aabru Allahu Allahu Allahu Allahu Saarey aalam ko hai teri hi justaju Jinn o ins o malak ko teri aarzu Yaad me teri har ek hai ku aku Ban me wehshi lagaatey hai zarbaatey hu Allahu Allahu Allahu Allahu Nagma sanjane gulshan me charcha tera Cheh chahey zikrey haq ke hai subho masaa Apni apni chehak apni apni sada Sab ka matlab hai wahid ke wahid hai tu Allahu Allahu Allahu Allahu Taa iraan e jina me teri guftagu Geet tere hi gaate hai wo khush gulu Koi kehta hai haq koi kehta hai hu Aur sab kehtey hai laa sharika lahu Allahu Allahu Allahu Allahu Thandi thandi Nasime chalay mere rab Fitno ki dhul se paak Huye arab Aisa barsaa bahade jo Khaa Shaak sab Teri rehmat ke baadal gire cha

Tum Par Lakho Salam - Qari Rizwan -Salaam Lyrics

Image
Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Sab se Aala izzat wale, Ghalba-o-qahr-o-taaqat wale Hurmat wale karamat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Aap ka chaha Rab ka chaha, Rab ka chaha Aap ka chaha Rab se aisi chahat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Arshe ula par Rab ne bulaya, apna jalwaye khaas dikhaya Rab se aisi qurbat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Rab ke pyare rajdulhre, hum hai tumhare tum ho humare Aye daamaan-e-Rehmat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Khwaab me jalwa apna dikho Noorie ko tum Noorie banao Aye chamkeeli rangat wale tum par laakhon salaam.

Hoga Ek Jalsa Hasr Me Aisa - Naat Lyrics

Hoga ek jalsa hasr me aisa Jisme sarkar ki azmat pe khitabat hogi Sadr e Mehshar hamara rab hoga Hazrat e Bulbul e Sidra ki nakabat hogi Hoga sar Mustafa ka sajde me Jab pareshani ke aalam me yeh ummat hogi Rab kahega yeh mera wada hai Usko bakhshunga teri jisme Mohabbat hogi Mai Padhunga Hadaik e Bakshish Jalsa e Hasr me gar Mujh Ko Izazat Hogi Sunke naara lagaenge Sunni Aur wahabi ke liye Dohri qayamat hogi Ala Hazrat bulaye jayenge Jab waha Hind ke Hassan ki hajat hogi Tu hai ek Razvi Naat Khwan Faizi Isliye teri bhi us jalse me shirkat hogi

Yeh Raza Ka Chaman - Manqabat Lyrics

Aaj ikkhata hai Daanish wara ne watan Yaani Ulma wa Shoraye fikr aur fann Saahibane nazar haasile anjuman Nukta daan wa fasihane Ahle Sunan Hai Adeebo Khatibe zubano sukhan Yeh Raza ka chaman hai Raza ka chaman Azmate Sidke Siddiqe Akbar liye Adle Farooqe Aazam ka mazhar liye Sabr e Usman gani ka samandar liye Kuwate daste baazuye haidar liye Nikhate range hazrat Hussain o Hassan Yeh Raza ka chaman hai Raza ka chaman Isme Ajmeri Khwaja ki hai Khwajgi Sayyed Masood Gaazi ka gulshan yahi Yeh hai fulwari Ashraf Jahangir ki Rang wa Buye Bareili wa Mahrehravi Ispe saaya fagan panjaye panjatan Yeh Raza ka chaman hai Raza ka chaman Dekho Ahmed Raza Kha ke neze ki maar Ho gaya jisse aada ke seena me gaar Hashmati sher Beshye Sunnat ka waar Bach ke jaane na paye wahabi shikar Jubbe Sadrushriya hai baatil shikan Yeh Raza ka chaman hai Raza ka chaman Iske raiha ki Ajmal mahak chaar soo Iske Akhtar ki Azhar Manshamas khoo Hai duao me masruf Ahle Sanan Yeh Raza ka chaman hai Raza ka chaman

Aaj Ashk Mere Naat Sunaye Toh Ajab Kya - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Image
Aaj ashk mere naat sunaye toh ajab kya Sunn kar woh mujhe pas bulaye toh ajab kya Deedar ke qabil toh kaha meri nazar hai Lekin woh kabhi khwab me aaye to ajab kya Un par toh ghunahgaar ke sab haal khule hai Iss par bhi woh daaman me chupaye toh ajab kya Muh dhanp ke rakhna ke ghunahgaar bohot hu Maiyat ko meri dekhne aaye toh ajab kya Na Zaad e Safar hai na koi kaam bhale hai Lekin mijhe sarkar bulaye toh ajab kya Haasil jinhe Aqaa ki ghulami ka sharaf hai Thokar se woh murdo ko jilaaye toh ajab kya Woh Husn e Do Aalam hai Adeeb unke karam se Sehra me agar phool khilaye toh ajab kya Yeh Nisbat e Shah e Madani aur yeh aansoo Mehshar me ek gham se shuraye toh ajab kya Main aisa khatawar hu kuch hadh bhi nahi jiski Phir bhi mere ayebo ko chupaye toh ajab kya Paaband nawa toh nahi faryad ki rasme Yeh ishq mera haal sunaye toh ajab kya