Posts

Showing posts from September, 2016

Mera dil aur meri jaan Madinay waley - Naat Lyrics

Mera dil aur meri jaan Madinay waley Tujh peh sow jaan sey qurbaan Madinay waley Bhar dey bhar dey meray Aqa meri jholi bhar dey ab na rukh bey sar-o-samaan Madinay waley Tera dar chowr kai jaaun tho kahan jaaun mein meray Aqa meray Sultaan Madinay waley Phir thamanaey ziyarath ney kiya dil beychaeyn phir Madinay ka hai armaan Madinay waley Sabz Ghunbad ki fazaaon mey bula lo mujh ko tera ghaafil hei pareeshan Madinay waley Likh dey likh dey meri qismat mey Madinay likh dey hai teri milk qalamdaan Madinay waley Sag-e-Taibah mujhay sab kahe key pukaray Baydam yahi rakhein meri pehchaan Madinay waley

Meh toh panj than ka ghulaam hun - Manqabat Lyrics

Meh toh panj than ka ghulaam hun Mujhay ishq hain toh Khuda sey hain, mujhay ishq hain toh Rasool hain Meray mun sey aaey mehak sada, joh main naan lun tera bhool sey Mujhey ishq sar-o-saman sey hain, mujhay ishq saray chaman sey hain Mujhay ishq Un ki gali sey hain, mujhay ishq hain Un key wathan sey hai Mujhay ishq hain toh Ali sey hain, mujhay ishq hain toh Hassan sey hain Mujhay ishq hain toh Hussain sey, mujhay ishq Shahe Zaman sey hain Meh toh panj than ka ghulaam hun Huwa keysay then sey woh sar juda, jahan ishq ho wohein Karbala Meri baath un hi ki baath hain, meray saamnay wohi zaath hain Wohi jin ho shayre Khuda kahein, jinhein baabe Sale ala kehein Wohi jin ko aale Nabi kahein, wohi jin ko zaathe Ali kahein Wohi pukhta hain mey tho khaam hun Meh toh panj than ka ghulaam hun

Muhammad ki chokhat nazar aa rahi hei - Naat Lyrics

Mein sajdah karun ya ke dil ko sambhalun muhammad ki chokhat nazar aa rahi hei Issi be-khudi main kahiin kho na ja-un tarrap kamli waale ki tarrap aa rahi hei Do aalam ka daata mere saamne hei ke kaabe ka kaaba mere saamne hei Ada kyun na farz-e-muhabbat karun mein khuda ki khudaii jhuki ja rahi hei Galai main hein zulfain to neechi nigahain nazar chuumti hei madine ki raahein Farishte bhi barh kar qadam choomte hein muhammad ki jogan chali aa rahi hei Faqeeri ka mujh main nahiin hei saleeqa na aata hei kuch maangne ka tareeqa Idhar bhi nigaahe karam kamli waale zamane ki jholi bhari ja rahi hei Farishto sar-e-raah ankhain bicha do uttho behr-e-tazeem sar ko jhuka do Khuda keh raha hei mere dilruba ki wo dekho sawaari chali aa rahi hei Ye farmaya haq ne ke pyaare muhammad hamare ho tum ham tumhare muhammad Hamain apne jalwon main eh kamli waale tumhari hi surat nazar aa rahi hei Ye jazba muhabbat hei rahmat khuda ki hei chokhat mere saamne mustafa ki Mujhe kyun na ho naaz qismat pe mus

Mehboob Ki Mehfil Ko Mehboob Sajate Hain - Naat Lyrics

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Woh Log Khuda Shahid, Qismat Ke Sikandar Hain Jo Sarware Alam Ka, Milad Manate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Aqa Ki Sanah Khwani, Dar Asl Ibadat Hai Hum Naat Ki Surat Mein, Qur’an Sunate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Jin Ka Bhari Duniya Mein, Koi Bhi Nahin Wali Unko Bhi Mere Aqa, Sine Se Lagate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Jo Sarware Alam Ko, Lajpal Samajhte Hain Daman Talab Bhar Kar, Mehfil Se Woh Jate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Me-khwaro Chaley Jana, Me-khwanae Sarwar Mein Woh Jamey Talab Sab Ko; Bhar, Bhar Ke Pilate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Allah Ke Khazanon Ke, Malik Hain Nabi Sarwar Yeh Sach Hai Niya

Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam - Manqabat Lyrics

Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam Humne Jholi Hai Phailayi Bari Dair Se Daalo Nazr-e-Karam Sarkar,Apne Mangton Par Ek Baar Humne Mehfil Hai Saja’yi Bari Dair Se Mere Chand Main Sadqe Aa Ja Idher Bhi Mere Chand Main Sadqe Aa Ja Idher Bhi Chamak Uththe Dilki Gali Ghoos-e-Azam Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam Humne Jholi Hai Phailayi Bari Dair Se Tere Rab ne Ma’alik Kiya Tere Jadd Ko Tere Rab ne Ma’alik Kiya Tere Jadd Ko Tere Dar se Duniya Pali Ghoos-e-Azam Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam Humne Jholi Hai Phailayi Bari Dair Se Tera Rutba A’ala Na Kiun Ho Ke Maula Tera Rutba A’ala Na Kiun Ho Ke Maula Tu Hai Ibn-e-Maula Ali Ghoos-e-Azam Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam Meeran Waliyon ke Imam De Do Panjtan ke Naam Humne Jholi Hai Phailayi Bari Dair Se Qadam Gardan-e-Awliya Per Hai Tera Qadam Gardan-e-Awliya Per H

Mayri jholi ko bhar day eh khuda sadqay Muhammad kay - Naat Lyrics

Mayri jholi ko bhar day eh khuda sadqay Muhammad kay Gunahgaron ka bhi kar day bhala sadqay Muhammad kay Hamaray haal pay daata karam apna sada rakhna Tuhi sheytaan say imaan walon ko bacha rakhna Har ik tufaan mayn dayna aasra sadqay Muhammad kay Samajhti he yay dunya apna ham iman day dayn gay Magar iman ki khaatir ham apni jaan day dayn gay Hamay iss aazmaish say bacha sadqay Muhammadkay Tayri rahmat ko ro ro kay ham eh malik jaga dayn gay Yay parday aasman kay ham dua-on say ghira dayn hay Hamayn noor e khuda say phir mila sadqay Muhammad kay Jahan mayn bay saharon ko faqat tayra sahara he Nahiin he koii bhi apna bas ik tu hi hamara he Jo bichhrhay heyn unhayn tu phir mila sadqay Muhammad kay Mayri kashti he tufaan mayn kinaray par laga dayna Mayray mola mayri sari khataa-on ko bhula dayna Mayray so-ay naseebon ko jaga sadqay Muhammad kay

Mayri baat ban gaii he tayri baat kartay kartay -Naat Lyrics

Mayri baat ban gaii he tayri baat kartay kartay Tayray shehr mayn meyn aa-oon tayri naat parrtay parrtay Tayray ishq ki badolat mujhay zindagi mili he Mayray paas bhi he aaii mayri moat dartay dartay Kiss cheez ki talab he na he aarzoo hi koii Toon nay itna bhar diya he kashkol bhartay bhartay Mayray soonay soanay ghar ko kabhi naymatayn ataa kar Meyn divana ho gaya hoon tayri raah taktay taktay Meyn na ja-oon ga o darbaar kabhi chhoarr kar yay galiyaan Kay, meyn poancha hoon yahaan tak mayray yaar martay martay He jo zindgaani baaqi yay irada kar liya he Tayray mukiron say aaqa meyn maroon ga larrtay larrtay

May so jaoo Ya MUSTAFA kehtey kehtey - Naat Lyrics

May so jaoo Ya MUSTAFA kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Sitam pay Sitam seh gaey dushmano kay Habeeb-e-KHUDA, Ya KHUDA kehtey kehtey May so jaoo Ya MUSTAFA kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Guzarte thay kaantey bharrey raasto say RASOOL-e-KHUDA, Marhaba kehtey kehtey May so jaoo Ya MUSTAFA kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Huwey surkhuru Aap her maarkey may Fakat Rabbana , Rabbana kehtey kehtey May so jaoo Ya MUSTAFA  kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Shahe her do Aalam ne naam-e-jabee say Bhara paet shukrey KHUDA kehtey kehtey May so jaoo Ya MUSTAFA  kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Andheiroo may ham ne kiya hay ujaala Aqeedat sey Noor-ul-Huda kehtey kehtey May so jaoo Ya MUSTAFA  kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Dilley muztarib ko qaraar aagya hay Shabo roz Ya MUJTABA  kehte kehte May so jaoo Ya MUSTAFA  kehtey kehtey Khulley aankh Salle Aala kehtey kehtey Museebat kay

Ghaus e azam mayra peer allah hi allah - Manqabat Lyrics

Ghaus e azam mayra peer allah hi allah Saaray valiyon kay ameer allah hi allah Mangton ko sultan banaya choron ko abdaal Sab ki jholi bhar daytay heyn esay heyn lajpal Har mushkil aasaan banatay heyn peeraan e peer Rozon kay ayaam mayn a-ay mayray ghaus e paak Noor ki kirnay saatth la-ay mayray ghaus e paak Un kay ajaanay say ttootti kufr ki har zanjeer Jiss nay un ka naam liya he uss ka bayrra paar Jo un kay ho jatay heyn un ka he yay sansaar Aa-o sabhi un kay gunga-ayn jaag utthay taqdeer Mola ali kay aap heyn pyaray valiyon kay sardar Sab kay so-ay bhaag jaga do baghdadi sarkar Ham par bhi ho nazar e karam ham heyn bahot dilgeer

Hum Aaimmah ke muqallid hain tamaam Lyrics

Hum Aaimmah ke muqallid hain tamaam Hai Imamaun ka hamay bhi ehteraam Har Imam e waqt ne Deen ke liye Waqf ki hai jaan apni la kalaam Hai jahaan mein Hazrath Numaan bhi Mazhab Hanfi ke sar-kirdah Imaam Aapne chaha yehi aik aik pal Sur-khuru ho Ummate Khairul Anaam Ijtihaad aisa kiya Ai marhaba Mujtahid ho kar raha duniya me naam Masle tishnah na chore Aap ne Hal kiye uljhe huwe thay jo tamaam Waqt ke aahang ne Azam kaha Aap ko to Ai fiqiyah wa Ai Imam Faiz paya Aap se ahnaaf ne Wo saher ho ya ke ho wo koee shaam Nazar karna hai yeh mukhtaar e hazeen Aap ko Ai Bu Haneefa As-Salaam

Mangton ko sultan banaya mere kamli walay ne - Naat Lyrics

Mangton ko sultan banaya mere kamli walay ne Jab apna darbar lagaya mere kamli walay ne Mal-o-zar ki bat nahin he sab ye karam ki batain hain Jis ko chaha dar pe bulaya mere kamli walay ne Jis per apna rang charhaya mere kamli walay ne Data farid or khuaja banaya mere kamli walay ne Baara rabi ul awal ke din noor-e-khuda ki kirno se amna tera gher chamkaya mere kamli walay ne Jitna kharch mai karti jao utna barhta jaye hai Baksh dia aisa sarmaya mere kamli walay ne Unka ziker kertay kertay neend ali jab ai mujhay Mujh ko apna jalwa dikhaya mere kamli walay ne

Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga - Naat Lyrics

Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Ke Jhoom Jhoom Ke Naat-e-Nabi Sunaunga. Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba. Wiladat-e-Shah-e-Deen Ka Maheena Aaya Hai Galli Makaan Dukaan Aaj Sab Sajaunga Ke Jhoom Jhoom Ke Naat-E-Nabi Sunaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga. Khuda Ke Fazl Se Phir Baarvi Ki Raat Aayi Dil-e-Hazi Mein Khushi Ke Diye Jalaunga Ke Jhoom Jhoom Ke Naat-e-Nabi Sunaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Julus-e-Jashn-e-Wiladat Mein Ehteraam Ke Saath Qadam Qadam Pe Duroodon Ke Gul Khilaunga Ke Jhoom Jhoom Ke Naat-E-Nabi Sunaunga Main Jashn-e-Aam

Main to khud Unke Dar ka gadda hoon - Naat Lyrics

Main to khud Unke Dar ka gadda hoon, Apne Aaqa ko main nazar kya doon Ab to aankhon mein bhi kuch nahin hai, Warna qadmon mein aankhein bicha doon Aane waali hai Unki tareekh, Phool naaton ke ghar ghar saajja doon, Mere ghar mein andhera bohot hai, Apni palkon pe shamma jala doon Rauza-e-pak peshe nazar hai, Saamne mere Aaqa ka Dar hai, Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai, Tumko lafzon mein kaise bata doon Mere aansu bahut qeemti hain, Inse waabasta hai unki yaadein, Inki manzil hai Khak-e-Madinah, Ye gauhar yun hi kaise lutta doon Main faqat Aap ko jaanta hoon, Aur Ussi Dar ko pehchanta hoon, Is andhere mein kisko pukaroon, Aap farmayein kisko sadda doon Qaafilay jaa rahe hain Madine, Aur hasrat se main tak raha hoon, Ya lipat jaoon qadmon se unke, Ya qaza ko main apni sadda doon Meri bakhshish ka saamaan yahi hai, Aur dil ka bhi armaan yehi hai, Ek din Unki khidmat mein jaakar, Unki naatein Unhi ko suna doon Mujhko Iqbal Nisbat hai Unse, Jinka har Lafz jaan-e-sukoon hai, Main jahaan n

Main Madinay chala - Naat Lyrics

Main Madinay chala, Main madinay chala main Madinay chala, main Madinay chala phir karam ho gaya, main Madinay chala saqia may pila, main Madinay chala mast-o-bay khud bana, main Madinay chala Kaif sa cha gaya, main Madinay chala jhoomta jhoomta, main Madinay chala main Madinay chalamain Madinay chala Ashk thamtay naheen, paon jamtay naheen larkharata huva, main Madinay chala main Madinay chalamain Madinay chala mairay Aqa ka darr, ho ga paish-e-Nazar, chahiaye aur kia, main Madinay chala main Madinay chalamain Madinay chala phir karam ho gaya, main Madinay chala phir karam ho gaya, main Madinay chala mairay ganday qadam, aur unka Haram Laaj rukhna Khuda, main Madinay chala main Madinay chala main Madinay chala Rooh-e-Muztarr ththehar, tu nikal na udhar itni jaldee bhee kia, main Madinay chala phir karam ho gaya,main Madinay chala Haath uthhte ruhay, mujh ko daitay ruhay voh talab say siva, main Madinay chala kia keray ga idhar, bandh rukht-e-safar chal Ubaid -e-Raza, main Madinay chal

Main Bura Hoon Ya Bhala Hoon - Naat Lyrics

Main Bura Hoon Ya Bhala Hoon, Meri Laaj Ko Nibhana Mujhe Janata Hain Aqaa, Terey Naam Se Zamana Ghameh Aashqee Se pehle Mujhe kaun janata Tha Teri Yaad Ne Banadee Meri Zindagee Fasana Mujhe iss ka gham naheen hai Kai badal gaya zamana Meri zindagee hain tumse kaheen tum badal na jaana Too manbaeh ataa hai ke pukaar utha zamana Too karam nawaziyaan keen ke kara ka kya thikana Chaukat pe aa gaya hoon sarkaar aaj sunn lo Meri dukh bhari kahanee mera dukh bhara fasana Terey naam se zahoori mujhe janatee hain dunya Terah ho gaya hoon jab se merah ho gaya zamana

Madinah main Kabe ka Kaba hay - Naat Lyrics

Makkah main Kaba hay, Madinah main Kabe ka Kaba hay Makkah main Bait Ullah hay, Madinah main roza e Rasool Ullah hay Makkah main aab-e-zam zam ke chashme, Madinah main Muhammad ke karam ke chashme Makkah main Farshiyo ka Hajj hota hay, Madinah main Arshiyo ka Hajj hota hay Makkah main Jalaal hay, Madinah main Jamaal hay Makkah main Hira ki tanhaaiya hay, Madinah main Gunbad-e-Khazra ki rahnaiya hay Makkah duaao ka markaz, Madina Ataoo ka markaz Makkah main Guzarish , Madinah main Shafarash Makkah main larai haraam hay, Madinah se judaai haraam hay Makkah main maanga jata hay, Madinah main ataa kiya jata hay Makkah main zakhm sunaye jate hay, Madinah main zakhm mitaye jate hay….

Madine ko jaaen yeh jee chahta hai - Naat Lyrics

Madine ko jaaen yeh jee chahta hai Muqaddar banae yeh jee chahta hai Madine ke AQA do alam ke Maula Tere pas aein yeh jee chahta hai Jahaan dono alam hai mahu taman’na Wahaan sar jhukane ko jee chahta hai Dilaun se jo nikle Diyare Nabi me Sune woh sadein yeh jee chahta hai Muhammed ki batein Muhammed ki Sirat Sune aur sunae yeh jee chahta hai Dare Pak ke saamne dil ko thame Kare hum duain yeh jee chahta hai Pahunch jae behzaad jab hum Madine To khud ko na payein yeh jee chahta hai