Posts

Showing posts with the label Salaam

Tumhare sajde ko Kaaba salam kehta hai - Salaam Lyrics

Image
Tumhare sajde ko Kaaba salam kehta hai Tumhare sajde ko Kaaba salam kehta hai Jalal-e-Gumbad-e-Khazra salam kehta hai Jalal-e-Gumbad-e-Khazra salam kehta hai Chaman ka har gul-o-guncha salam kehta hai Chaman ka har gul-o-guncha salam kehta hai Hussain tumko zamana salam kehta hai Hussain tumko zamana salam kehta hai Chaman ka har gul-o-guncha salam kehta hai Chaman ka har gul-o-guncha salam kehta hai Hussain tumko zamana salam kehta hai Hussain tumko zamana salam kehta hai Charag-o-Masjid-o-Mimbar salam kehte hain Nabi, Rasool-o-Payambar salam kehte hain Ali-o-Fatima, Shabbar salam kehte hain Khuda gawah ke Nana salam kehta hai Khuda gawah ke Nana salam kehta hai Chaman ka har gul-o-guncha salam kehta hai Chaman ka har gul-o-guncha salam kehta hai Hussain tumko zamana salam kehta hai Hussain tumko zamana salam kehta hai Khuda ki raah mein sir ko kata diya tumne Nabi ke deen pe ghar ko luta diya tumne Nishan-e-Kufr ko yaksar mita diya tumne Tumhein Khuda bhi tumhara salam kehta hai Tumh

Us Hussain Ibne Haddar pei lakhoun salam - Salaam Lyrics

Us Hussain Ibne Haddar pei lakhoun salam Kar liya nosh jis ne shahdat ka jaam Jis ko Dhoke se Koufe bulaya geya Jis ke bachoen ko Pyasa rulaya geya Khanjar zulm jis par chalaya geya Us ki kamil shahadat pei lakhoun salam Jis ne haq Karbala ka aada kar diya Jis ne Nana ka wa’ada wafa kar diya Jis ne kumbe a kumba fida kar diya Baadshah-e-sakhawat pei lahkoun salam Jis ko ummat ka gham hi satata raha Ashq gharoun mein jo bhi bahata raha Jo muqaddar hamare banata raha Us ki sab se a’al-o-ishrat pei lakhoun salam Jis ke shohar par khanjar chalaya geya Jis ke bethe ko khoun mein nalaya geya Jis ki bethi ko qaadi banaya geya Us khatoon-e-qayamat pei lakhoun salam Samne jis ke Akbar zibaah ho geye Goad mei jis ke Asghar tarapte rahe Jis ko ummat ne teeroun ka tohfa diya Us shaheed-e-Mohabbat pei lakhoun salam Zehre khanjar bhi haq baat jis ne kahi Choot par choot seine pei jis ne sahi Jis ki Sugra Madine mei roti rahi Us ki Saim shahadat pei lakhoun salam Wo qaraar-e-dil Sarwar-e-anbiya Jaan-

Taajdaare haram ae shahanshaahe deen - Salaam Lyrics

Taajdaare haram ae shahanshaahe deen aap pe hardam karooro duroodo salaam Ho nigahe karam hum pe sultan-e-deen Door reh kar na dam toot jae kahi Kaash taiba mein ae meri maahi mubeen Dafn hone ko mil jae do gaaz zameen Aap pe hardam karooro duroodo salaam Koi husne amal paas mere nahi Phas na jau Qayamat mein mola kahi Ae shafiye umam laaj rakhna meri Aap pe hardam karooro duroodo salaam Teri yaadon se mamuur sina rahe Samne mere har dam madina rahe Bas mein deewana ban jau sultaa-e-deen Phir bulalo madine mein attar ko Yeh tarapta hai tayba ke deedar ko Aur is ke siwa aarzoo hi nahi aap pe hardam karooron duroodo salaam Taajdaare haram a shahanshahe deen Aap pe hardam karooro duroodo salaam

Khairul Bashar par Lakho Salam - Salaam Lyrics

Khairul Bashar par Lakho Salam Lakho Darood aur Lakho Salam Jinno Malaek Tere Ghulam Sab se siwa hai Tera Muqaam Yaseen O Taha Tere hi naam Khairul Bashar par Lakho Salam Lakho Darood aur Lakho Salam Ala se Ala Tera Muqaam Sab Ambiya ka Tu hai IMAM Kul Aulia hai Tere Ghulam Khairul Bashar par Lakho Salam Lakho Darood aur Lakho Salam Arshe baree tak charcha Tera Shams o Qamar hai Sadqa Tera Yeh mahe kamil husne tamam Khairul Bashar par Lakho Salam Lakho Darood aur Lakho Salam Sab ko mayas’sar ho yeh muqaam Pahoonche Madine bankar Ghulam Padhte Darood aur Padhte Salam Khairul Bashar par Lakho Salam Lakho Darood aur Lakho Salam Itna Karam to Farmaiye Rauze pe sab ko bulwaiye Hazir yahaan hai jitne ghulam Khairul Bashar par Lakho Salam Lakho Darood aur Lakho Salam Teri Sana hai mera naseeb Qurbaan Tujh par jaane Adeeb Tujh par tassaduq Alam tamam Khairul Bashar par Lakho Salam Lakho Darood aur Lakho Salam

Kaabe ke Badrudduja tumpe karoron Durood - Salaam Lyrics

Kaabe ke Badrudduja tumpe karoron Durood Taiba ke Shamsud Duha tumpe karoron Durood Shaafa’e Roze Jazaa tumpe karoron Durood Daafa’e jumla balaa tumpe karoron Durood Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa Seene pe rakhdo zaraa tumpe karoron Durood Aur koyee Ghayb kya tum se Nihaan ho bhalaa Jab na Khudaa hi Chupaa tumpe karoron Durood Wo Shabbe Me’raj raaj woh safe Mehshar ka Taaj Koyee bhi aisa huwa tumpse karoron Durood Kar ke tumhare Gunaah mange tumhee se Panaah Tum kaho Daaman me aa tumpe karoron Durood Tum ho Haafiz-o-Mughees kya ha woh Dushman Khabees Tum ho to phir khauf kya tumpe karoron Durood Ek taraf A’daa’e Deen ek taraf he Haasideen Banda he tanha Shaha tumpe karoron Durood Hum ne khataa me na ki tum ne ataa me ki Koyi kami sarwaraa tumpe karoron Durood

Ae deen e haq ke rehbar Tum par salam har dam - Owais Raza Qadri - Salaam Lyrics

Image
Ae deen e haq ke rehbar Tum par salam har dam Mere shafee e mehshar  Tum par salam har dam Is be kaso azee par  Jo kuchh guzar rahi hai Zahir hai sab wo tum par Tum par salam har dam Banda tumhare dar ka  Aafat mein mubtala hai Rehme habeebe dawar Tum par salam har dam Lillah ab hamari  Fariyad ko pahunchiye Be-had hai haal abtar Tum par salam har dam Koi nahin hai mera Mein kis se daad chahun Sultane banda parwar Tum par salam har dam Bulwa ke apne dar par Ab mujko dijiye izzat Firta hun khaar dar dar Tum par salam har dam Mohtaj se tumhare  Karte hein sab kinara Bas ek tumhi ho yawar Tum par salam har dam Apne gada e dar ki  Lijiye khabar khudara Kijiye karam Hasan par Tum par salam har dam

Ay shahenshah-e-madina Assalat-o-wassalam - Owais Raza Qadri - Salaam Lyrics

Ay shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam zeenat-e arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay haqq ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam, zeenat-e-arsh-e mu'alla, assalat-o-wassalam sar jhuka kar ba adab ishq-e rasoolallah may, keh raha he har sitara assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam, zeenat-e-arshe-e mu'alla, assalat-o-wassalam mu'mino padhthay raho tum apnay aqa par durood he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam, zeenat-e-arshe mu'alla, assalat-o-wassalam mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba'd mayra laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam zeenat-e-arshe mu'allah, assalat-o-wassalam jab firishtay qabr mein jalwa dhikha-e aap ka ho zabban par pyaare aqa, assalat-o-wassalam

Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo - Salaam Lyrics

Image
Ay HabeeB E Ahmed E Mujtaba Dil E Mubtala Ka Salam Lo  Jo Wafa Ki Raah Me Kho Gaya Usi Gum Shuda Ka Salam Lo Mai Talab Se Baaz Na Aaunga Tu Karam Ka Haath Badhaye Ja  Jo Tere Karam Se Hai Aashna Usi Aashna Ka Salam Lo Meri Haazri Ho Madine Me Mile Lutf Mujh Ko Bhi Jine Me Tera Noor Ho Mere Seene Me Meri Iss Duaa Ka Salam Lo Koi Mar Raha Hai Bahisht Par Koi Chahata Hai Najaat ko  Mai Tujhi Ko Chahu Khuda Kare Meri Is Duaa ka Salam Lo Wo Hussain Jisne Chidak Ke Khun Chaman E Wafa Ko Hara Diya  Usi Jaa(n) Nisaar Ka Wasta Ke Har Ik Gada Ka Salam Lo Tamam Auliya Ke Buland Sar Hai Qadam Pe Jinke Jhuke Huve Usi Pyare Ghous Ka Wasta Ke Har Ik Gada Ka Salam Lo Yehi Roz O Shab Hai Duaa Meri Ke Maru To Tere Dayaar Me  Yahi Mud-dua E Hayat Hai Isi Mud-dua Ka Salam Lo

Ay saba Mustafa se kehdena gham ke maare salam kehte hein - Owais Raza Qadri - Salaam Lyrics

Image
Ay saba Mustafa se kehdena gham ke maare salam kehte hein, Yaad karta hein tum ko sham-o-sahar, dil hamare salam kehte hein, Allah Allah Huzur ki baatein, marhaba Rung-o-Noor ki baatein, Chand jinki balaye leta hai, aur taare salam kehte hein, Jab Muhammad ka naam aata he, rahmaton ka payaam aata he, Lab hamare Durood parte hein, dil hamare salam kehte hein, Allah Allah Huzur ki ghesu, bheeni bheeni mahekti woh khushbu, Jin se maamur he fiza he so, wo nazaare salam kehte hein, Zaire Taiba tu Madine mein, pyaare Aaqa se itna kehdena, Aap ki gard-e-raah ko Aaqa, ghum ke maare salam kehte hein, Zikr tha aakhiri mahine ka, tazkira chird gaya Madine ka, Haajiyo Mustafa se kehdena gham ke maare salam kehte hein,

Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna - Owais Raza Qadri - Salaam Lyrics

Image
Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna Tadapte Hai Tere Gulam Unse Kehna Ho Jab Saamne Sabz Ghumbad tumhare Nigahe Aqeedat Se Daaman Pasare Hai Haazir Tumhara Ghulam Unse Kehna Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna Badi Chahato Se Hai Iss Darr Ko Paaya Pada Hi Rahu Darr Na Chute Tumhara Na Jaunga Ab Tishnakaam Unse Kehna Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna Phire Kab Talak Darr Ba-Darr Be Sahare Kise Jaye Hum Apne Dil Ki Sunane Tumhi To Banate Ho Kaam Unse Kehna Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna Isi Aarzu Me Guzarte Rahe Din Ki Pahuche Dayare Nabi Hum Bhi Lekin Nahi Hai Koi Intezam Unse Kehna Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna Dikha Do  Anas  Ko Dilkash Nazare Taraste Hai Jinko Musalmaan Saare Ye Baatein Basad Ehteraam Unse Kehna Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna

Mustafa Jaan E Rehmat Pe Laakhon Salaam - Salaam Lyrics

Mustafa Jaan e Rehmat Pey Laakhon Salaam Sham’e Bazm e Hidayat Pey Laakhon Salaam Shehr e Yaar e Iram Taajdaar e Haram Nau Bahaar e Shafaa’at Pey Laakhon Salaam Shab e Asraa Key Dulhaa Pey Daayam Durood Nausha e Bazm e Jannat Pey Laakhon Salaam Ham Ghareebon Key Aaqa Key Beyhad Durood Ham Faqeeron Ki Sarwat Pey Laakhon Salaam Neechi Nazron Ki Sharm o Haya Par Durood Oonchi Beeni Ki Rif’at Pey Laakhon Salaam Patli Patli Guley Quds Ki Pattiyaan Un Labon Ki Nazaakat Pey Laakhon Salaam Jis Sey Taareek Dil Jagmagaa Ney Lagey Uss Chamak Waali Rangat Pey Laakhon Salaam Jis Suhaani Gharee Chamka Taibah Ka Chand Uss Dil Afroz Saa’at Pey Laakhon Salaam Kaash Mehshar Mey Jab Unki Aamad Ho Aur Bheyjey Sab Unki Shaukat Pey Laakhon Salaam Mujh Sey Khidmat Key Qudsi Kahain Haan Raza Mustafa Jaan e Rehmat Pey Laakhon Salaam

Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara - Salaam Lyrics

Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara  Sabaa Tu Madine Jaa Ke Kehna Khudara Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara Ghum se Hain Toote Hue, Zulmo Se Loote Hue, Muddat Hui Ya Nabi, Qismat Ko Roothe Hue, Rouze Mehshar Ummati Ka Aap Hi Sahara Chaand Ke Tukde Kiye, Paido Ne Sajdeh Kiye, Suraj Palat Aa Gaya, Ye Moujize Aapke Ummati Kya Khud Khuda Hain Shaida Tumhara Din Raat Rooti Hain Ye, Ummat Tumhare Liye Ho Jaye Nazre Karam, Aaqa Hamare Liye Taibah Ki Un Galiyon Ka Kab Hoga Nazara Sab Ambiya Ke Imam, Tum Par Ho Laakho Salaam Rouze Pe Aaye Majeed, Kehta Hai Ye Subho Shaam Zindagi Me Aas Ka Na Toote Sitara Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara

Ya Nabi Salaam Alaika - Salaam Lyrics

Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Jashn-e-Milad un nabi hay, Noor ki chaadar tani hay, Roshani hi roshani hay, Har taraf yay doom machi hay. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Ya habeeb-e-rab-e-daawar, Azpa-ay Siddeeq-e-Akbar, Aur Umar Usmaan O Haydar, Chashmay baytar Do qalb-e-uzz par. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Rahmatal Lil Aalameena, Ho ataa aysa kareena, Daykh kar meetaa madina, Ishq-e-main patjaa ay seena. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Aakhari lamhay jab aa-ain, Kaash wo tashreef laa-ain, Apnay jalwon main gumaa-ain, Joom-e-kar ham gun gunaa-ain. Ya Nabi Salaam Alaika, Ya Rasul Salaam Alaika, Ya Habib Salaam Alaika, Salawatullaah Alaika. Hashr-e-main sarkaar-e-aanaa, Mayray ayb ko chupaana, Apnay rab say bakhsh, Saath-e-jannat may bassaana

Khairul Bashar par Lakho Salam - Salaam Lyrics

Khairul Bashar par Lakho Salam Lakho Darood aur Lakho Salam Jinno Malaek Tere Ghulam Sab se siwa hai Tera Muqaam Yaseen O Taha Tere hi naam Ala se Ala Tera Muqaam Sab Ambiya ka Tu hai IMAM Kul Aulia hai Tere Ghulam Arshe baree tak charcha Tera Shams o Qamar hai Sadqa Tera Yeh mahe kamil husne tamam Sab ko mayas'sar ho yeh muqaam Pahoonche Madine bankar Ghulam Padhte Darood aur Padhte Salam Itna Karam to Farmaiye Rauze pe sab ko bulwaiye Hazir yahaan hai jitne ghulam Teri Sana hai mera naseeb Qurbaan Tujh par jaane Adeeb Tujh par tassaduq Alam tamam

Ya RASOOLALLAH tere dar ki fazaao ko salaam - Owais Raza Qadri - Salaam Lyrics

Image
Ya RASOOLALLAH tere dar ki fazaao ko salaam gumbad e khazra ki thandi thandi chao ko salaam Masjeed e nabvi ke subho aur shamo ko salaam. Ya Nabi tere ghulamo ke ghulamo ko salaam. Jo madine ki gali kucho mein dete hai sadaa. un fakiro rahgiro aur gadao ko salaam. Walehaana jo tawafe roza e aqdas kare. mast o bekhud karti un hawao ko salaam. Jo padha karte hai rozo shab tere darbaar mein. pesh karta hai  Zahuri   un salaamo ko salaam.

Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam - Salaam Lyrics

Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam Badrud Duja Par Laakho(n) Salaam Aala Se Aala Tera Maqaam Sab Ambiya Ka Tu Hai Imaam Qul Awliyah Hai Tere Gulaam Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam Hai Hukmarani Kis Shaan Se Kaim Hai Tere Faizan Se Duniya Wa Dee(n) Ka Saara Nizaam Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam Teri Ataa Ki KYa Baat Hai Abre Karam Ki Barsaat Hai Radde Balaa Hai Tera Hi Naam Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam Itna Karam To Farmaiye Rouze Pe Sabko Bulwaiye Haazir Yaha Hai Jitne Ghulam Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam Anjum  Ke Aaqa Anjum Hi Kya Tere Bhikari Tere Gada Saare Khwas Aur Saare Awaam Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam

Mere ALLAH Ke Nigaar Salaam - Salaam Lyrics

Mere ALLAH Ke Nigaar Salaam Daste Qudrat Ke Shahkaar Salaam Dono Aalam Ke Taajdaar Salaam Jaane Har Jaano Jaandaar Salaam Khaake Taibah Bane Meri Hasti Arz Karta Hai Khaaksaar Salaam Phir Madine Mein Kab Bulaaoge Tum Se Kehta Hai Intizaar Salaam Mujhe Ko Zaalim Pe Ikhtiyaar Nahee Tum To Rakhte Ho Ikhtiyaar Salaam Khuld Kehti Hai Yeh Madeene Se Tujh Pe Ay Khuld Ki Bahaar Salaam Apni Ulfat Ka Aisa Jaam Pila Jiska Barhta Rahe Khumaar Salaam Dard E Ulfat Mein De Mazaa Aisa Dil Na Paaye Kabhi Qaraar Salaam Teri Khaatir Zaleel Hona Hai Meri Izzat Mere Waqaar Salaam Apne  Akhtar  Ka Lo Salaam Shaha Tum Pe Ay Jaan Ay Qaraar Salaam!!!

Tum Par Lakho Salam - Qari Rizwan -Salaam Lyrics

Image
Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Sab se Aala izzat wale, Ghalba-o-qahr-o-taaqat wale Hurmat wale karamat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Aap ka chaha Rab ka chaha, Rab ka chaha Aap ka chaha Rab se aisi chahat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Arshe ula par Rab ne bulaya, apna jalwaye khaas dikhaya Rab se aisi qurbat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Rab ke pyare rajdulhre, hum hai tumhare tum ho humare Aye daamaan-e-Rehmat wale tum par laakhon salaam. Tum par lakhon salaam tum par lakhon salaam. Khwaab me jalwa apna dikho Noorie ko tum Noorie banao Aye chamkeeli rangat wale tum par laakhon salaam.