Kya ajab noor ka behta hai jo darya dil mein - Naat Lyrics
Kya ajab noor ka behta hai jo darya dil mein Dil hai Taiba mein mera, aur hai Taiba dil mein. Gham ki chaadar jo kabhi odh ke so jata hoon Jaagti rehti hai Aaqa ki tamanna dil mein. Uss ghari meri maddad karte hain mere Aaqa Jab bhi ho jati hai uljhan koi paida dil mein. Dil issi waaste reh reh ke dhadakta hai mera Kyunke rehte hain hamesha mere Aaqa dil mein. Eik eik cheez mujhe saabz nazar aati hai Bass gaya jab se sakhi Gumbad-e-khazra dil mein. Kya ajab noor ka behta hai jo darya dil mein Dil hai Taiba mein mera, aur hai Taiba dil mein.