Posts

Showing posts from July, 2016

Badi Ummid Hai Sarkaar Qadmo(N) Mei(N) Bulaaei(N) Ge - Naat Lyrics

Badi Ummid Hai Sarkaar Qadmo(N) Mei(N) Bulaaei(N) Ge Karam Ki Jab Nazar Hogi, Madiney Ham Bhi Jaaei(N) Ge Agar Jaana Madiney Mei(N) Hua, Gham Ke Maaro(N) Ka Makine Gumbade Khadra Ko Haale Dil Sunaaei(N) Ge Qasam Allah Ki Hoga Woh Manzar Deed Ke Qaabil Qiyaamat Mei(N) Rasoolallah Jab Tashrif Laaei(N) Ge Gunahgaaro(N) Mei(N) Khud Aake Shaamil Paarsa Ho(N) Ge Shafiye Hashr Jab Daamaane Rehmat Mei(N) Chupaaei(N) Ge Ghame Ishqe Nabi Se Hoga Jab Maamoor Dil Nayyar Tere Jhurmat Qade May(N) Bhi Sitaarei(N) Jagmagaaei(N) Ge

Badi shay hai nisbat-e-Mustafa - Naat Lyrics

Badi shay hai nisbat-e-Mustafa, Hai waseela apni najaat ka Shah-e-ambiya ki jo Aal hai, Barha uska jaah-o-jalaal hai, Nahin uski koi misaal hai, Wo habib-e-haq ka jamaal hai, Nahin kaal is mein ye haal hai, Mila usko kaisa kamaal hai, Ye Khuda-e-pak ki hai ataa, Badi shay hai nisbat-e-Mustafa Wo jo Ahle Bayt ke hain Imam, Barhe muttaqi barhe nek naam, Wo hain badshah to hain hum ghulam, Bane unke madhha tara tamaam, Barha uncha har ek ka hai maqaam, Hue pehle hazrat Ali Imam, Jinhe sab ne Asadullah kaha, Badi shay hai nisbat-e-Mustafa Hain Hassan Imam Hussain bhi, Hain Ali Raza wo Naqi Taqi, Hain Imam Baqir-o-Kazmi, Kahin Abdi kahin Ja’fari, Koi Mahdi koi hai Askari, Hai har ek Rasool ki raushni, Mili unse duniya ko hai zia, Badi shay hai nisbat-e-Mustafa Ye hain aala aulad-e-Ali Kahin in mein Alwi aur Fatemi Yahi nasl aal-e-Nabi bani Hai mohabbat inse to wajibi Hai Riyaz hukm-e-Khuda yahi Yahi hai hadeeth Huzoor ki Kahoon kyun na phir main warmala Badi shay hai nisbat-e-Mustafa

Bachaya hai hussain (raziallahu tala anhu) ne deen ko - Manqabat Lyrics

Bachaya hai hussain (raziallahu tala anhu) ne deen ko Ke karbala me kata kar apne sar ko Kis tarha ki hai hifazat shariyat-e-Mustafa (sallallhu alaihi wa sallam)ki Qurbaan kar diya apne nanhe se asghar (raziallahu tala anhu) ko Haae kis tarha sabar kiye hai Aal-e-Rasool Khuda ki raah me qurbaan kardi apni jaanaun ko Tum muqtaar Nabi ke muqtaar Nawase ho ya hussain (raziallahu tala anhu) Kalima padaya us taazim karne wale yahudi ko Ye nawase hai do aalam ke badeshah ke Haye shimar mardud ye tune qatal kiya hai kis ko Batti gul karke kaha aapne, jo jana chahta hai jai Lekin manzur the saare jam-e-shahadat peenay ko Duaa kar dete Hussain (raziallahu tala anhu) halaak-o-barbaad hojate yazidi Lekin bhuk aur pyas manzoor thi Hussain(raziallahu tala anhu)ko Maan najdi yazid ku tu apna peshwa Hum ne to maan liya badeshah Hussain (raziallahu tala anhu) ko Sirf ye sabar hi tha majboori nahi aye najdi Chahe to thokar mar kar paani pila dete sab ko Aa e hai yazidi ban kar najdi aur raabzi Ya hussa

Aqa bachalo is aasi ko jo duba huva hai gunaho me - Naat Lyrics

Aqa bachalo is aasi ko jo duba huva hai gunaho me ab aap hi ise bachana ya rasool allah mai qatakaar hoo mai gunahgaar hoo mai siyakar hoo mujh bad ko aap hi bachana ya rasool allah tum malik-o-muqtaar ho jise chahe jo chahe use ataa karde meri bhi jholi bhardena ya rasool allah mere bad aamal ke sabab mujh par azab ho jab qabr me mujhe tum bachane aana ya rasool allah sunta hoo logon se ke aqa ghar tashrif laye qaab me mere qaab me bhi tum aana ya rasool allah tere dar ki haazri ke liye kab se hoo shaha betab mujhe dar pe tum bulana ya rasool allah ghamo ke samandar me dubta ja raha hai mera safina ho jai nazre karam kinare lag jai mera safina ya rasool allah kuch amal nahi is aasi ke paas sar ta pa gunaho me duba huva hai mahshar me tum hi bharam rakhna ya rasool allah hoga jab khuda jalal me puche jab mujh se mera amal mujhe mahshar me tum bachana ya rasool allah nikle meri rooh tere hi dayar me sabz gumbad ke saye me is waqt mujhe apna didar bhi karana ya rasool allah gar hind me i

A’alam Mein Baraat Rachi Hai - Naat Lyrics

A’alam Mein Baraat Rachi Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Arsh Se Utra Noor Khuda Ka Noor Badamaan Saari Duniya Inki Zia Se Ye Chamki Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se Khushboo-e-Iman Pehli Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay Kaysi Masti Chayi Hai Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Nikhre Nikhre Gulshan Saaray Rung Ajab Hain Phoolon Ke Daali Daali Youn Mehki Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik Jinn-O-Insaan Taab’ay Hain Donoo A’alam Par Shahi Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara Amina Bi Ke Ghar Utra Do A’alam Mein Dhoom Machi Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Ma’iraj Ki Manzil Pe Ujaagar Tanha Fayiz Sarwar Hain Baraati Har Aik Nabi Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki - Naat Lyrics

Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki Qabr me lehrayenge tha Hasr chashme noor ke Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah ki Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah Ki Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah ki Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki Sooraj ulte paaw palte chaand ishaare se ho chaak Andhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi duur ho Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki Zikr Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(n) Rahe Phir Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasoolullah Ki Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah Ki Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fazoo Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki Ahle Sunnat ka he bera paar Ashaabe Rasool Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila Jaa

Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa’n - Naat Lyrics

Azal Ki Khushboo Ho jismein Pinhaa’n koi batae tu naam aisa wo naam-e-Ahmed ke phool barsein Bayan Aisa Kalam Aisa Azal Ki Khushboo Wohi Hai Qur’an wohi ha furqa’n wohi hai rab jiska hai sama khaa’n Farishte pardh pardh ke jhoomte hain Durood aisa Salam aisa Azal ki khushboo Hai deen-e-haq mein jamal-e-yazdaan hai arsh bhi jispe naaza’n wohi tu laya hai deen aisa wohi tu laya nizaam aisa Azal ki khushboo wo jis ka saya tu arsh par hai wo jis ka zaroon ke dil mein ghar hai wohi jo chamka tu phir na dooba wohi hai mahe tamam aisa Azal ki khushboo nazar be yaqsaa’n ghulam-o-aaqa buzurgon par tar hai sirf taqwa koi jahan mein hai deen aisa kahin hai koi nizaam aisa Azal ki khushboo Woh jis andheri gali se guzra badal diya noor mein andhera dilon ki dunia badal ke rakhdi dia dilon ko payam aisa Azal ki khushboo Aqeel aisa khalil aisa jalil aisa jamil aisa na riffaton mein na azmaton mein kisi ne paya maqam aisa Azal ki khushboo qala’t aisi sa’adat aisi riya’zat aisi ‘iba’da’t aisi wo jispe

Aalam Mein Baraat Rachi Hai - Naat Lyrics

Aalam Mein Baraat Rachi Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Jugmug Jugmug Duniya Saji Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Arsh Se Utra Noor Khuda Ka Noor Badamaan Saari Duniya Inki Zia Se Ye Chamki Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Kufur Ki Boo Kafoor Hui Hai Shah-e-Dinaa Ki Aamad Se Khushboo-e-Iman Pehli Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Khushiyon Ke Fuwaaray Ublay Kaysi Masti Chayi Hai Ghar Ghar Mein Shaadi Utri Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Nikhre Nikhre Gulshan Saaray Rung Ajab Hain Phoolon Ke Daali Daali Youn Mehki Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Hoor-O-Ghilmaan Saaray Malaik Jinn-O-Insaan Taabay Hain Donoo Aalam Par Shahi Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Farsh Pe Chamka Arsh Ka Taara Amina Bi Ke Ghar Utra Do Aalam Mein Dhoom Machi Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai Mairaj Ki Manzil Pe Ujaagar Tanha Fayiz Sarwar Hain Baraati Har Aik Nabi Hai Arsh Ka Dulha Aaya Hai

Apni Atta Ka Haq Ney Ye manzar Dekha Diya - Naat Lyrics

Apni Atta Ka Haq Ney Ye manzar Dekha Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Kohey Shahe Arab ka Bana Kar Mujhy Faqeer Shahe Ka Martaba Mery Dil Sey Ghata Diya Esa Karim Esa Sakhi Aur Kon Hey Mangta Jo Aya Mangny Sultan Bana Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Pohncha Diya Khuda Ney Dare Shah Par Humy Allah Ney Ye Naat Ka Acha Sila Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Hum Sey Ziada Kon Hey Dunia Mey Khush Naseeb Hum Ko Khuda Ney Un Ka Sana Khawan bana Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Rashke Falaq hey Mery Muqadar Ki Rifatein Mujh Ko Ghulam un Ka Khuda Ney Bana Diya Ankho Mey Bas Giya Hey Jamale Khuda Riaz Deedar Jab sey Un ka Khuda Ney Kara Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

Ankhouen mein bas geya hai Madina huzoor ka - Naat Lyrics

Ankhouen mein bas geya hai Madina huzoor ka Be kas ka aasera hai Madina huzoor ka Phir ja rahe hai ahle Mohabbat ke qafle Phir yaad aa raha hai Madina huzoor ka Nabiyouen mein jaise afzal-o-A’ala hai mustafa Sherouen mein baadshah hai Madina huzoor ka Jab se qadam pare hai risalat ma’aab ke Jannat se bar geya hai Madina huzoor ka Har zara zara apni jagga ma’ahataab hai Kya jagma’ga raha hai Madina huzoor ka Qudsi bhi chumthe hai addab se yahan ki khaaq Qismat mein jhometha hai Madina huzoor ka Ho naaz kyoun na is ko Neyazi naseeb par Jis ko bhi mil geya hai Madina huzoor ka

Amina Ka laal Aaya - Naat Lyrics

Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya Agaya woh noor wala, jis ki uchi shaan hai, jis ki midhat main utara rab ne ye Quran hai, Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya Ho bayan kaise fazeelat Amina ke chand ki, Us ki to har har ada par bolta Quran hai, Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya Jo kaha mere nabi ne woh hamesha sach howa, ho bahoo tasleem karta aaj sciencedaan hai, Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya Amina tuj ko mubarak tere ghar jalwa figan, Aaj woh mah he risalat nabiyun ka sultan hai, Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya

Amina bibi keh gulshan main - Naat Lyrics

Amina bibi keh gulshan main, aa’i hai thaza bahaar Parthay hai Sallallahu wasallam, aaj dar-o-deewar Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu Allah Allah Allahu, la illaha illahu Baarah Rabbi ul awwal ko, aayah duur-e-yateem Maah-e-nabuwwat mehr-e-risalat, saahib-e-khulq-e-azeem Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu Allah Allah Allahu, la illaha illahu Hamid-o-Mahmood aur Muhammad , dow jaag ka sardaar Jaan seh hi pyaara raj dulaara, rahmat ka sarkaar Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu Allah Allah Allahu, la illaha illahu Yasin, Ta Ha, kamli waala, Qur’an kii tafseer Hazir-o-Nazir shahid-o-qaasiim, aaya sirajum munir Nabi ji, Allah Allah Allahu, la illaha illahu Allah Allah Allahu, la illaha illahu

Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para Lyrics

Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para , Alwada Alwada Mahe Ramazan. Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha, Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha, Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba, Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan. Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain, Aah Issiya He Main Din Katain Hain, Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo, Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo, Yehi Hai Mera Kul Asasaaa, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Jub Guzar Jayenge Mah Giyara, Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga, Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi, Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee, Sub Sama Hogaya Suna Suna, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai, Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain, Keh Raha Hai Har Aik Qatra, Alwada Alwada Mah-e-Ramzan. Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain, Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain, Kaun Dega Inhe Ab Dilasa, Alwada Alwada Mahe Ramzan. Sag-e-ATTAR, Badkar, Qahil, Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil, Is

Madine ki Azmath Madine ke jalwe - Naat Lyrics

Madine ki Azmath Madine ke jalwe Madine ke charche Madine ka manzar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ki baatein Madine ki raatein Yahaan to rahte hain mere payambar Jo hai saare aalam ke Sarwar Isliye hai Taiba kitna munnawar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Kitna hai pyara pyara Madina Ise Rab ne kitna sawara Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan Isme rahte hai mere payambar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ka wo pyara manzar Waha ke phool aur wahaan ke kankar Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Na koi zar hai Na koi par hai chala bhi jaata nahi hai mujh se Phir aa’un kaise tumhare Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Gumbade Khizra ke pyare nazare Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste Wahaan ki diwarein wahaan ke jalwe Aur wo sunehra Rauda-e-Anwar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine jaakar sar ko jhuka kar Karunga arz mai ae mere Sarwar Maaf kardo ise Shafi-e-mahshar Yehi pe rakhlo mujh ko Apne Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Bulwalo AQA jaber ko Dar par Iski j

Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri - Naat Lyrics

Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri Farsh Kiya Arsh Pe Jaari Hai Hukumat Teri Jholiyan Khol Ke Be Samjhe Nahi Doar Aaye Hamein Malum Hai Daulat Teri, Aadat Teri Humen Malum Hai Ke Wah Kiya Joodh-o-Karam Hai Shahe Bat’ha Tera Ke Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Wala Tera Tu Jhooliyan Khool Ke Be Samjhe Nahi Doar Aaye Humen Malum Hai Daulat Teri Aadat Teri Tu Hi Hai Mulk-e-Khuda Milk-e-Khuda Ka Malik Raaj Tera Hai Zamaane Main Hukumat Teri Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri Majma-e-Hashr Main Ghabrayi Hoi Phirti Hai Dhoondne Nikli Hai Mujrim Ko Shafa’at Teri O Chain Paayen Gay Tarapte Howe Dil Mehshar Main Gham Kisse Yaad Rahe Dekh ke Soorat Teri Dekhne Waale Kahan Karte Hain Allah Allah Ke Yaad Aata Hai Khuda Dekh Ke Soorat Teri Aur Hum ne Mana ke Gunahon Ki Nahi Had Lekin Tu Hai Un Ka Tu Hassan,-Teri hai Jannat Teri Allah Allah Shah-e-Konain Jala’lat Teri Farsh Kiya Arsh Pe Jaari Hai Hukumat Teri

Alif Allah Chambe De Booti - Naat Lyrics

Alif Allah Chambe De Booti Murshid Maan Mery Wich Lai Hoo Nafi Asbaat Da Paani Milya Har Ragey Har Jai Hooooo Andar Booti Mushk Machaya Jaan Phoolar Tey Aai Hooooo Jewy Murshid Kamil Bahoo Jey Booti Lai Hooooo Aey Tan Mera Chashma Howy Mey Murshid Wekh Na Raja Hooooo Loo Loo Dey Mood Lakh Lakh Chashma Eik Khola Eik Kaja Hoooo Itna Dethya Menoo Sabar Na Awey Mey Hor Kidy Wal Pajan Hoooo Murshid Da Deedar Bahoo Menoo Lakh Karoran Hajan Hooooo Bey Bismilla Isam Allah Da Aey We Kehran Bhara Hoooo Naal Shafahat Sarware Alam Chuot See Alam Sara Hooooo Hado Behad Darood Nabi Noo Jinda Ead Pasaran Hooo Mey Qurban Tena TO Bahoo Jina Milya Nabi Suhara Hooo Baghdad Shehar Dee Ki Hey Nishani Uchiya Lambiayn Cheira Hooo Tan Man Mera Porzy Porzy Jewy Darzee Diyan Leraan Hoooooo Aena Leraan Dee Gal kafni Paa Key Ralsan sang Faqeeran Hooooo Baghdad Shehar Dey Tokry mangSaan Bahoo Kar Saa Meran Meran Hoo

Ahlan wa Sahlan Marhaba - Naat Lyrics

Ahlan wa Sahlan Marhaba Sallah ’alay ka Ya Rasullal Llah (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) (x3) Sallah ’alayhi wa Ya Habib baLlah (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) X2 Ahlan wa Sahlan Marhaba X3 Khush Amedid (x6), Sat Bismillah Ji ayanu (x3) Sallah ’alay ka Ya Rasullal Llah (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) Sallah ’alayhi wa Ya Habib baLlah (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) Sarkar ki Amad hai x2, Lajbal ki Amad, Mantar ki Amad hai x2, Lajbal ki Amad hai, Taha ki Amad hai, Yaseen ki Amad hai, Sarkar ki amad hai Sab khushiyaan manao Yaroo, Sarkar ki Amad hai x2, Sab khushiyaan manao yaroo, Sallah ’alay ka Ya Rasullal Llah (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) Sallah ’alayhi wa Ya Habib baLlah (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) Ahlan wa Sahlan Marhaba X3 Je koi sarda ey, oh sar jawey, oh sar jawey lakh wari x2 Tussi Aqa (sallal Llahu ’alayhi wa ’alayhi wa sallam) de mehfoæ te jhandiyaan we lagao yaroo. X2 Sallah ’alay ka Ya Rasullal Ll

Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he - Naat Lyrics

Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he Agayaa wo noore waala jiska saara Noor he Aankh waalo aawo dekho maahe Tayba ki ziyaa Aasmaan ke chand me to peeka peeka Noor he Tu na hota, to na hota do jahaan ka intizaam Tu zameen ka noor he, tu asmaan ka Noor he Jisne jo kuch Noor payaa sub Teri Sarkaar se Noor ki Sarkaar ka to subse pehla Noor he Jistaraf ko ut?gayee aalam munaw?war hogaye Me Teri Aankho ke Sadqe in me kitna Noor he Mustafa ke noor me he Zaate Baari Jalwa ghar Mustafa ka Noor yoon kehte! Khuda ka Noor he Istaraf bi ek nighahe Noorale Noorala Me sarapaa ma?siyat hoon Tu sarapaa Noor he

Agar Koi Apna Bhala Chahta Hei - Naat Lyrics

Agar Koi Apna Bhala Chahta Hei Usay chahay jisko, Khuda chahta hei sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam Durood un pe bhejo, salaam un pey bhejo Khuda ki kasam yeh khuda chahta hai. sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Khuda ki raza, Mustafa chahtey hain, Khuda Mustafa ki, raza chahta hai. sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Fakiroon kay malja, yeh mangta tumhara Madinay main thori sija chahta hei. sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Banaley mujhey apna mehman Aaqa Yeh har aik shaho ghada chahta hai. sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Karey khuld hasil Habib e Khuda ka, Jo insaan kurbe Khuda chahta hai sallallahu `alayhi wa sallam sallallahu `alayhi wa sallam. Agar koi apna bhala chahta hai Usey chahi jisko, Khuda chahta hai

Aey Sabz Ghumbad Waale Manzoor Dua Karna - Naat Lyrics

Aey Sabz Ghumbad Waale Manzoor Dua Karna Jab Waqte Naza Aaey Didaar Ata Karna Aey Noorey Khuda Aakar, Aankho Mei Sama Jaana Ya Dar Pe Bula Lena, Ya Khwaab Mei Aa Jaana Aey Pardaah Nashi Dil Ke, Parde Mei Raha Karna Mehboobe Ilaahi Sa, Koi Na Hasin Dekha Yeh Shaan Hai Unki Ke, Saayaah Bhi Nahi Dekha Allah Ne Saaey Ko, Chaaha Na Juda Karna Maí Qabr Andheri Mei, Ghabraa-Unga Jab Tanha Imdaad Ko Meri Tum, Aa Jaana Zara Shaaha Roshan Meri Turbat Ko, Lillaah Zara Karna Mujrim Hu Jahaa Bhar Ka, Mehshar Mei Bharam Rakhna Ruswaaey Zamaana Hu, Aaqa Kamli Mei Chupa Lena Maqbool Dua Meri, Mehboobe Khuda Karna Chehre Se Ziya Paai, Sab Chaand Sitaaro Ne Is Dar Se Shifa Paai, Dukh Dard Ke Maaro Ne Aata Hai Unhe Sabir, Har Dukh Ki Dawa Karna

Apna Haram dikha de Dono jahan ke Malik - Hamd Lyrics

Apna Haram dikha de Dono jahan ke Malik Kismat Meri Jaga De Dono Jahan Ke Malik Aye Mere Mola Mola Mola Mola Aey Mere Mola Mola Mola Mola Barson se Arzoo Hai -Taiba Ki Arzoo Hai Ek Baar hi Dikha DE Har Saal hi Dikha de Dono Jahan Ke Malim Aye Mere Mola Mola Mola Mola Aey Mere Mola Mola Mola Mola Ishq-eNabi ki Khusboo Karya-e-Jaan Main Rkha De Ulfat Main Dil Basa De- Dono Jahan ke Malik Aye Mere Mola Mola Mola Mola Aey Mere Mola Mola Mola Mola Duniya o Akhirat ke Har Gham se Tu Bari Hai Mujda Mujhe Suna De Dono Jahan ke Malik Aye Mere Mola Mola Mola Mola Aey Mere Mola Mola Mola Mola Duniya ke Har Sitam se Uqba ke Har Alam se Daman Mera Chupa de Dono Jahan ke Malik Aye Mere Mola Mola Mola Mola Aey Mere Mola Mola Mola Mola Baitha Nabi ke Dar Jiss Dam ko Yeh Gada Hai Uss Dam isse Pana de Dono Jahan ke Malik Aye Mere Mola Mola Mola Mola Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana - Naat Lyrics

Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana Aey ishq-e-Nabi meray dil mein bhi sama jaana Mujh ko bhi Muhammad ka deewanah bana jaana Jo rang keh Jaami par Rumi peh charhaya thaa Lag da ey huney eytay Sarkar ney awna ey Uss rang ki kuch rangath mujh peh bhi charhaa jaana Qudrat ki nighahein bhi jis chehrey ko takthi hein Uss chehra-e-anwar ka deedar karaa jaana Jis khwaab mein ho jaeey deedar Nabi haasil Aey ishq kabhi mujh ko woh neend sulaa jaana Deedar-e-Muhammad ki hasrat tho rahe baaqi Juz iss key har ik hasrat iss dil dey mitaa janaa Duniya sey Riyaaz ho jab Uqbaa ki taraf jaana Daagh-e-gham-e-Ahmad sey seeneh ko sajaa jaana

Do jag de wich hoye ujaale - Naat Lyrics

Do jag de wich hoye ujaale, Aaye Muhammad rehmatan waale Rehmatan waale, barkatan waale Aaye Muhammad rehmatan waale Hooran rall mill wekhan aayan, Amina taan iih wehrre wadhayan. Khullan bahishtan de ajj taale, Aaye Muhammad rehmatan waale. v Rehmatan waale, barkatan waale Aaye Muhammad rehmatan waale Aaqa jalwa-paak wikhao, Mukhre ton kamli nu hattao. Khullan raaz Muzamil waale, Aaye Muhammad rehmatan waale. Rehmatan waale, barkatan waale Aaye Muhammad rehmatan waale Wekh ke khalqat hoi deewani, Pyari pyari shakal noorani. Kul nabiyan ton hayn pyare/nirale, Aaye Muhammad rehmatan waale. Rehmatan waale, barkatan waale Aaye Muhammad rehmatan waale Dil bechain nu chayn na aawe, Ishq sataawe, birhon jalaawe. Kausar de bhar deyn pyale. Aaye Muhammad rehmatan waale. Rehmatan waale, barkatan waale Aaye Muhammad rehmatan waale Bekas, oganhaar na thaawan, Darr Tera chadd kiss darr jawan. Oh na sambhalan te kaun sambhale, Aaye Muhammad rehmatan waale. Rehmatan waale, barkatan waale Aaye Muham

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi - Naat Lyrics

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi Jaisay Meray Sarkaar Hain Waisa Nahi Koi Tumsa Tou Haseen Aankh Ne Dekha Nahi Koi Ye Shaan-e-Latafat Hai Ke Saaya Nahi Koi Ye Toor Say Kehti Hai Abhi Tak Shab-e-Mairaj Sarkaar Ka Jalwa Hai Tamaasha Nahi Koi Hota Hai Jaha Zikr Muhammad(SalAllaho Alaih-e-Wa Sallam) Kay Karam Ka Uss Bazm Mein Mehroom Tamanna Nahi Koi Aizaaz Ye Haasil Hai Tou Haasil Hai Zamee Ko Aflaak Pe Tou Gumbad-e-Khizra Nahi Koi Sarkar Ki Rehmat Ne Magar Khoob Nawaza Ye Sach Hai Ke Khalid Sa Nikamma Nahi Koi

Aaye Aaqa Madani Aaqa - Naat Lyrics

Aaye Aaqa Madani Aaqa Aaye Aaqa Madani Aaqa Mere Pyaare Pyaare Aaqa Allah Allah Allah Allah Allah Allah Aaye Aaqa Madani Aaqa Aamina Bibi Ke Gulshan Mein Aayi Hai Taaza Bahaar Parhte Hain Sallalaho Wassalam Aaj Dar-O-Deewar Madani Allah Allah Allah Allah Baara Rabi Ul Awwal Ko Woh Aaya Rasool-e-Kareem Mahe-e-Nabuwat Mehr-e-Risalat Sahib-e-Khulq-e-Azeem Madani Allah Allah Allah Allah Pyaari Surat Hansta Chehra Moo Se Jhartay Phool Noor Saraapa Chaand Sa Chehra Haq Ka Pyaara Rasool Madani Allah Allah Allah Allah Jibreel Aaye Jhoola Jhulanay Lori De Zeeshan So Jaa So Jaa Rehmat-e-Alam Do Jug Ke Sultan Madani Allah Allah Allah Allah Awwal-O-Aakhir Sab Kuch Jaanay Deekhay Ba’eed-O-Qareeb Ghaib Ki Khabrein Dene Waala Allah Ka Woh Habeeb Madani Allah Allah Allah Allah Hamid-O-Mehmood Aur Muhammad (Peace & Blessings Be Upon Him) Do Jug Ka Sardaar Jaan Se Pyaara Raaj Dulaara Rehmat Ke Sarkar Madani Allah Allah Allah Allah Aaye Aaqa Madani Aaqa Mere Pyaare Pyaare Aaqa Allah Allah Allah Allah

Aamina Bibi ke Gulshan mein - Naat Lyrics

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Aaey Aaqa Madni Aaqa Pyaray Pyaray Pyaray Aaqa Aamina Bibi ke Gulshan mein Aai he Taza Bahar Partay hein Sal lAllaho Wa Sallam Aaj dr-o-dewar Madni Bara Rabi ul Awwal ko woh Aaya Dur-e-Yateem Mah-e-Nabuwat Mehr-e-Risalat Sahib-e-Khulq-e-Azeem Madni Pyari Surat Hasta Chehra Moun Seh Jartay Phool Noor Siraa Pa Chand sa Chehra Haq Ka Pyara Rasool Madni Jibreel Aay jhoola jhulaey Lori de Zi Shan, So ja So ja Rahmat-e-Aalam Do jag ke Sultan Madni Awwal-o-Aakhir sab kuch Jaanay Dekhe Ba’eed-o-Qareeb Ghayb ki Khabrein Denay Wala Allah ka who Habeeb Madni Hamid o Mahmood-o-Muhammad Do jag Ka Sardar Jaan se Pyara Laaj Dulara Rahmat ki Sarkar Madni Aaey Aaqa Madni Aaqa Pyaray Pyaray Pyaray Aaqa Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah

Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina - Naat Lyrics

Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina Itna to

Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se - Naat Lyrics

Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se Her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se darbare-nabi se bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se darbare-nabi se Irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se darbar-e-nabi se Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se darbar-e-nabi se Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se darbar-e-nabi se

Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya - Naat Lyrics

Ya RasoolAllah Ya HabibAllah Salla Alaika Ya RasoolAllah Wassallam Alaika Ya HabibAllah Ahlaon Wa Sahlan Marhaba Ya RasoolAllah Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya Dil Jagmaganay