Posts

Showing posts from December, 2016

Qadam qadam pe Khuda ki madad pohanchti hai - Naat Lyrics

Qadam qadam pe Khuda ki madad pohanchti hai durood se mere dil ko rasad pohanchti hai ye aasmaan bhi wahan tak nahi pohanch sakta jahan tak aap k qadmon ki hadd pohanchti hai sir apna paaye risalat ma’aab per rakh doon to aasmaan pe bulandi-e-qadd pohanchti hai juloos-e-ishq-e-nabi ka ho jis taraf se guzar mere junoon ko bhi lay kar khirad pohanchti hai durood ka dia jata hai jub sawab mujhe bahisht tak meri do guz lahad pohanchti hai salaam-o-naat muzaffar yahan mein parhta hoon qubooliat ki haram se sanad pohanchti hai.

Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho - Naat Lyrics

Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho Jibreel Par Bichaaey To Par Ko Khabhar Na Ho Kaantaa Merey Jighar Sat Gham e Rozgaar Ko Yoon Kheench Leeyjiey Kay Jighar Ko Khabhar Na Ho Faryaad Ummatey Jo karay Haal e Zaar Mein Mumkin Nahin Kay Khair e Bashar Ko Khabhar Na Ho Kehtey They Yeh Buraaq Say Uskey Sabaq Raveey Yoon Jaiey Kay Ghard e Safar Ko Khabhar Na Ho Farmaatay Hein Yeh Dono Hein Sardaar e Do jahaa Ay Murtazaa! Ateeq o Umar Ko Khabhar Na Ho Aysa Ghumaa Day Un Key Vilaa Mein Khuda Humein Dhoondhaa Karay Par Apney Khabhar Ko Khabhar Na Ho Aa Dil! Haram Ko Roknay Waalon Say Chup kay Aaj Yoon Uth Chalay Kay Pehlo Wabar Ko Khabhar Na Ho Teer e Haram Hein Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Ho Yoon Daykhiyeh Kay Taarey Nazar Ko Khabhar Na Ho Ay Khaar e Taibah! Daykh Kay Daaman Na Bheekh Jaey Yoon Dil Mein Aa Kay Deedah e Tar Ko Khabhar Na Ho Ay Shauq e Dil! Yeh Sajdah Ghar Un Ko Ravaa Nahin Acha! Woh Sajda Key Jiey Sar Ko Khabhar Na Ho Un kay Sivaa RAZA Koey Haamey Nahin Jahaa Ghuzra Karay

Pukaroo Shahe Jilaan ko pukaro - Manqabat Lyrics

Pukaroooo Pukaroo Shahe Jilaan ko pukaro Badal jaye ghi Qismat be saharo Pukaroo Ye dar Mehbhoobe Subhnai ka dar hai Beqari ban ke aao Taajdaro Pukaro har gari ya Roosel Azam Guzaro zindagi bas youn guzaro Tumhari reeat hai bhere tarana Mori niyaan bhi mila paar utaro Ye zarre kochae Baghdaad ke hai Karo sajde yahan pei chaand taro Mori Jilaan takhaf un ka hai farmaan Na ghabrao zarra bhi gham ke maro

Ishqe nabi ko dil se nikala na jayenga - Naat Lyrics (English and Urdu)

Image
Ishqe nabi ko dil se nikala na jayenga, Sine mein dard gair ka daala na jayenga. Mehshar mein jab uthayenge chehre se wo nakab, Yusuf se fir toh hosh sambhala na jayenga. Tab tak na koi jayenga jannat mein doston, Jab tak bilal rang ka kaala na jayenga. Mil jayengar naseeb se khake dare rasool, Fir surma koi aankh mein daala na jayenga.

Dil mein ishqe nabi ki ho aisi lagan - Naat Lyrics in Urdu

Image
Dil main ishq e Nabi ki ho aisi lagan, Ruh tarapti rahe dil machalta rahe Zindagi ka maza hey kay har saans say Ya Muhammad Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasallam) nikalta rahey. Ya Muhammad Muhammad mein kehta raha, Noor kay motiyo ki lare ban gaee, Ayaton sey milata raha ayatein, Phir jo dekha to Naat e Nabi ban gaye. Jo bhi ansoo bahe merey Mehboob kay, Sab key sab abr e rehmat kay cheentay banay, Chah gaee raat jab zulf lehra gaee, Jab tabasum kiya chandani ban gaee. Yeh to maana kay jannat hai bagh e haseen, Khoobsoorat hey sab khuld ki sar zameen, Husn e jannat ko phir jab samayta gaya, Sarwar e ambiya ki galee ban gaee. Jab chirah tazkira un kay rukhsaar ka, Waduha par liya, wal qamar keh dia, Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi, Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi. Sab say saim zamanay main mazoor tha, Sab sey beykas tha beybas tha majboor tha , Un ko reham agaya merey halaat par, Meree azmat meree beybasee ban gaee. Dil mein ishq e Nabi ki ho aisi lagan, Rooh tarapti rahay dil mac

Sarkaare Ghaus E Azam Nazre Karam Khudaara - Manqabat Lyrics

Sarkaare Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara  Mera Khaali Kaasa Bhar Do, May Faqir Hu Tumhara  Maula Ali Ka Sadqa, Gange Shakar Ka Sadqa Meri Laaj Rakhna Mira, May Faqir Hu Tumhara  Mira Bane Hai Dulha, Shaadi Rachi Hui Hai  Sab Auliya Baraati, Kya Khoob Hai Nazara  Jholi Ko Meri Bhardo, Warna Kahegi Duniya Aise Sakhee Ka Mangta, Phirta Hai Maara, Maara  Duniya Mei Sab Ka Koi, Koi To Aasra Hai  Mera Bajuz Tumhaare, Koi Nahi Sahaara  Yeh Adaa E Dastgiri, Koi Mere Dil Se Puche Wahi Aa Gaye Madad Ko, Maine Jab Jahaa Pukaara  Yeh Tera Karam Hai Ya Ghous, Jo Bana Liya Hai Apna  Kahaa Mujhsa Ye Kameena, Kaha Silsila Tumhara

Pooch te kya ho Madine se Mai kya laya hoon - Naat Lyrics

Pooch te kya ho Madine se Mai kya laya hoon Apni aankhaun mein Madine ko basa laya hoon Dil bhi mera hai waheen Jaan bhi meri hai waheen (to phir lekar kya aae ho) Apne kaandhaun par apne laashay ko utha laya hoon Jisne choome hai Qadam Sarwaray ‘Alam ke Khaak e Taibah ko mai apni palkuan pay saja laya hoon Saya e Gumbade Khazra me ada karke namaaz Apne sar ko mai Arsh ka hum paya bana laya hoon Jaan o dil wahaan rakh ke amanath ki tarha Phir wahaan janay ke asbaab bana laya hoon

Unke darbar se hokar joh sawali aaye - Naat Lyrics

Koi mansoor koi ban ke ghazali aaye, Unke darbar se hokar joh sawali aaye. Ho mere bas me toh mai dilme basa lu unko, Choom kar joh mere Sarkar ki jaali aaye. Koi mansoor koi ban ke ghazali aaye, Unke darbar se hokar joh sawali aaye. Unki rehmat ko toh yeh baat gawara nahi, Unki chowkhat pe koi jaaye toh khaali aaye. Koi mansoor koi ban ke ghazali aaye, Unke darbar se hokar joh sawali aaye. Unke altaf karam badhke kharee denge unhe, Aaj bhi leke koi zauke bilali aaye. Koi mansoor koi ban ke ghazali aaye, Unke darbar se hokar joh sawali aaye. Unka jalwa toh hai maujood jahan bhi lekin, Koi lekar toh nazar dekhne waali aaye. Koi mansoor koi ban ke ghazali aaye, Unke darbar se hokar joh sawali aaye.

Tum bhi kar key Unka charcha - Naat Lyrics

Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow Uchay mey ucha Nabi ka jhanda Azmat wala Nabi ka jhanda Ghar ghar mey lehraaow Pukarow! Ya Rasulullah, Ya Habeeballah Subho Tayba mey huwi bat-tha hai bara noor ka Sadqah leyney Noor ka aya hai tara Noor ka Barawi key chaand ka mujra hai sajda noor ka Bara bur jo sey juka ik ik sitara noor ka Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow Uchay mey ucha Nabi ka jhanda Azmat wala Nabi ka jhanda Ghar ghar mey lehraaow Pukarow! Ya Rasulullah, Ya Habeeballah Baaghey Tayba mey suhana phool phoola Noor ka Mast bu hai bulbulay parthi hai kalma Noor ka Taaj waley deykh kar Teya imama Noor ka Sar jhukatey hai illahi bowl bala Noor ka Chaand jukh jata jidar ungli utathey mehd mey Kya hi chalta tha isharon par khilona Noor ka Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow Uchay mey ucha Nabi ka jhanda Azmat wala Nabi ka jhanda Ghar ghar mey lehraaow Pukarow! Ya Rasulullah, Ya Habeeballah Mey gada Tu baadshah bhar dey peyala Noor ka Noor din

Dil main ishq e Nabi ki ho aisi lagan - Naat Lyrics

Image
Dil main ishq e Nabi ki ho aisi lagan, Ruh tarapti rahe dil machalta rahe Zindagi ka maza hey kay har saans say Ya Muhammad Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasallam) nikalta rahey. Ya Muhammad Muhammad mein kehta raha, Noor kay motiyo ki lare ban gaee, Ayaton sey milata raha ayatein, Phir jo dekha to Naat e Nabi ban gaye. Jo bhi ansoo bahe merey Mehboob kay, Sab key sab abr e rehmat kay cheentay banay, Chah gaee raat jab zulf lehra gaee, Jab tabasum kiya chandani ban gaee. Yeh to maana kay jannat hai bagh e haseen, Khoobsoorat hey sab khuld ki sar zameen, Husn e jannat ko phir jab samayta gaya, Sarwar e ambiya ki galee ban gaee. Jab chirah tazkira un kay rukhsaar ka, Waduha par liya, wal qamar keh dia, Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi, Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi. Sab say saim zamanay main mazoor tha, Sab sey beykas tha beybas tha majboor tha , Un ko reham agaya merey halaat par, Meree azmat meree beybasee ban gaee. Dil mein ishq e Nabi ki ho aisi lagan, Rooh tarapti rahay dil mac

Hota agar zameen par saya Rasool ka - Sayyed Moinuddin Chishti - Naat Lyrics

Image
Hota agar zameen par saya Rasool ka Fir paao ummati kaha rakhta Rasool ka Padte hai yu to gair bhi kalma Rasool ka Jannat use milegi jo hoga Rasool ka Karte hai aheteram janaza ka is liye Vo ja raha hai dekhne chehra Rasool ka Duniya ko dekhna bhi gavara nahi kiya Jab tak ali ne dekha na chehra Rasool ka Shere khuda na banta to banta bhi aur kya Bachpan hi se jo paala hua tha Rasool ka Naara raza ka lagta hai duniya me is liye Ahmad raza ke lab pe tha naara Rasool ka

Phir ke galli galli taybah thokare sab ki khayen kyoon - Naat Lyrics

Phir ke galli galli taybah thokare sab ki khayen kyoon Dil ko jo akal de Khuda teri gali se jayen kyoon Rukhsate qaafila ka shor gashse hame uthae kyoon Sote hain Unke Sayen mein koyi hamme jagaaye kyoon Yaade Huzoor ki qasam gaflate aish he sitam Khoob hai qaide ghum mein hum koyee hamme chhurae kyoon Dekh ke Hazrate Gani phel pare Faqeer bhi Chaayi he ab to chauni Hashr hi aana jae kyoon Jaan he Ishq e Mustafa roz fizoo kare Khuda Jis ko ho dard ka mazaa naaze dawa uthae kyoon Woh jo nathe to kuch natha woh jo naho to kuch naho Jaan hai woh jahan ki, jaan hai to jahaan hai Hai to Raza nira Sitam jurm pe gar lajaaye hum Koyee bajaaye soze gam saze tarab bajaaye kyoon

Pekar e dilruba ban kay aaya -Naat Lyrics

Pekar e dilruba ban kay aaya, ruh e arzo sama ban kay aaya Sab rasul e khuda ban kay aa-ay, wo habeeb e khuda ban kay aaya Hazrat e amina ka dulaara, wo haleema ki aankhon ka taara Wo shikasta dilon ka sahaara, bay kason ki dua ban kay aaya Dast e qudrat nay esa sajaya, husn e takhleeq ko rashk aaya Jiss ka paya kisi nay na paya, wo khuda ki raza ban kay aaya Taajdaaron nay di he salami, baadshahon nay ki he ghulaami Bay misaal uss ka ism e giraami, mujtaba mustafa ban kay aaya Wo nabi rahmat e aalameen he, jo bhi unkay zeyr e nagiin he Esa ghamkhuar daykha nahiin he, jesa kherulwara ban kay aaya He zahoori barri shan unki, madah karta he quraan unki Naat parrta he hassaan unki, jo mayra rahnuma ban kay aaya