Madine ki Azmath Madine ke jalwe - Naat Lyrics
Madine ki Azmath Madine ke jalwe Madine ke charche Madine ka manzar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ki baatein Madine ki raatein Yahaan to rahte hain mere payambar Jo hai saare aalam ke Sarwar Isliye hai Taiba kitna munnawar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Kitna hai pyara pyara Madina Ise Rab ne kitna sawara Madine ki azmath ke mai sadqe jawaan Isme rahte hai mere payambar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine ka wo pyara manzar Waha ke phool aur wahaan ke kankar Wahaan ka farsh aur minar-e-anwar Aur waha ka Mihrab-o-Mimbar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Na koi zar hai Na koi par hai chala bhi jaata nahi hai mujh se Phir aa’un kaise tumhare Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Gumbade Khizra ke pyare nazare Wahaan ki galiyaan wahaan ke raste Wahaan ki diwarein wahaan ke jalwe Aur wo sunehra Rauda-e-Anwar ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Madine jaakar sar ko jhuka kar Karunga arz mai ae mere Sarwar Maaf kardo ise Shafi-e-mahshar Yehi pe rakhlo mujh ko Apne Dar par ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR Bulwalo AQA jaber ko Dar par Iski j