Posts

Showing posts with the label Hamd

Woh Tanha Kaun Hai Allah Ho Allah - Hamd Lyrics

Woh Tanha Kaun Hai Allah Ho Allah Badshah Woh Kaun Hai Allah Ho Allah Meherban Woh Khaun Hai Allah Ho Allah Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah MUafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah Kya Unchi Shaan Hai Allah Ho Allah Us ke Sab Nishan Hain Allah Ho Allah Sab Dilo ki Jaan Hai Allah Ho Allah Hasbi Rabbi Jallal Lah Allah Ho Allah Muafi Qalbi Giar Allah Allah Ho Allah Ya Rabbal ? Ala’meen Allah Ho Allah Salle Ala Tahal Ameen Allah Ho Allah Fee Kulli Waktin Wa heen Allah Ho Allah Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah Muafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah Midhat Teri Hai Chaar So Allah Ho Allah Kya Haseen hai Guftagoo Allah Ho Allah Shehr-e-Dil Main Tu Hi Tu Allah Ho Allah Hasbi Rabbi Jallal La Allah Ho Allah Muafi Kalbi Giar Allah Allah Ho Allah Imla ? Qalb-e- Bil Yaqeen Allah Ho Allah Tabbitni ? Ala had had din Allah Ho Allah Wagfir li Ya Muslimeen Allah Ho Allah Tujhse Saar-e- Kaam Hain Allah Ho Allah Tujse Subho Shaam Hain Allah Ho Allah Tere Jalwe Aaam Hain Allah Ho Allah Hasbi Rabbi Jal

Teri Zaat Paak Hai Aey Khuda - Hamd Lyrics

Teri Zaat Paak Hai Aey Khuda Teri Shaan Jalla Jalaluhu Teri Zaat Paak Hai Aey Khuda Teri Shaan Jalla Jalaluhu Nahin Tujh Sa Koi Bhi Dusra Teri Shaan Jalla Jalaluhu Teri Zaat Paak Tera Zikr Hi To Namaaz Hai Teri Yaad Hi To Niyaz Hai Bari Sehal Hai Teri Bandagi Teri Shaan Jalla Jalaluhu Teri Zaat Paak Kabhi Mast Dekh Ke Phool Ko Kabhi Tere Husn Qubool Ko Yehi Keh Rahi Hai Kali, Kali Teri Shaan Jalla Jalaluhu Teri Zaat Paak Jis Se Chahey Hosh Mein Lae Tu Jis Se Chahey Mast Phirae Tu Tuhi Hosh Dey Tuhi Bekhudi Teri Shaan Jalla Jalaluhu Teri Zaat Paak Tere Hukm Se Jo Hawa Chali To Chitak Ke Boli Kali, Kali Hai Karim Tu Hai Rahim Tu Teri Shaan Jalla Jalaluhu Teri Zaat Paak Tera Daali, Daali Mein Wasf Hai Teri Pattey, Pattey Mein Hamd Hai Tera Ghunchey, Ghunchey Mein Rango Boo Teri Shaan Jalla Jalaluhu Teri Zaat Paak Tera Jalwa Donon Jahan Mein Hai Tera Noor Kouno Makaa’n Mein Hai Yahan Tu Hi Tu Wahan Tu Hi Tu Teri Shaan Jalla Jalaluhu Teri Zaat Paak

Muje Rang De Muje Rang De - Hamd Lyrics

Muje Rang De Muje Rang De Maula Maula Muje Rang De Maula Tu Karim Hai Tu Rahim Teri Zaat Sab Se Azim Hai Nahi Tujsa Koi Bhi Dusra Tu Qabir Hai Tu Alim Hai. Ye Latafate Ye Inayate Hai Tere Karam Ki Wazahate Jo Chaman May Hai To Nasim Hai Jo Gulo May Hai To Shamim Hai Tu Baid Bhi Tu Qarib Bhi Tu Muhib Bhi Hai Tu Habib Bhi Tu Hararate Dil-e-Ashiqan Tu Nishan-e-Aql-e-Salim Hai Tu Hai Raazdan Sabhi Baat Ka Tu Hai Rang Bazm-e-Hayat Ka Kahin Shan-e-Khalk-e-Muhammadi Kahin Husn-e-Nutq-e-Kalim Hai Tu Habib Bhi Tu Hafiz Bhi Tu Rahim Bhi Tu Karim Hai Tu Bashir Bhi Tu Nasir Bhi Tu Kabir Hai Tu Halim Hai. Tu Mere Khayal Ke Gulshano May Basa Misal-e-Shamim Hai Tu Mere Yaqeen Ki Wusaton May Khiram-e-Mauj-e-Nasim Hai Hai Dua-e-Bismil-e-Mim Jaa(n) Ke Meri Khatao Ke Baksh De Hai Muje To Tera Hi Asra Tu Halim Hai Tu Rahim Hai.

Mere Rab Kahan Par Nahi Hey Tu - Hamd Lyrics

Mere Rab Kahan Par Nahi Hey Tu Teri Shan JalaJalala Hu Teri Zare Zare Mey Hey Namoo Teri Shan jallajalala Hu Teri Qudratoon Ka Shumar Kia Teri Wusatoon Ka Hisab Kia Tu Muhite Alam mey rang o Bu Teri Shan Jallajala Hu Tera Faiz Faize Amem ney Tu he Mera Rab E Karim Hey Mery Dil Mey Hey Teri Arzoo Teri Shan Jallajalala Hu Jise Chahey Tu Wo Aziz Hey Jisey Tu Na Chahy Zalil Hey Tery Hath Zilato Abroo Teri Shan Jallajala Hu Mery rab kahan Par Nahi Hey Tu Teri s han Jallajalal Hu Teri Zare Zare Mey Hey Namoo Teri Shan jallajalala Hu

Wohi khuda hai - Hamd Lyrics

Koi to hai jo, nizaam-e-hasti chala raha hai, wohi khuda hai Dikhayi bhi jo na de nazar bhi Jo aa raha hai, wohi khuda hai wohi khuda hai, wohi khudaa hai wohi khuda hai.. Nazar bhi rakhe, samaatein bhi Woh jaan leta hai, neeatein bhi Jo khana-e-lashaoor mein jagmaga raha hai wohi khuda hai, wohi khudaa hai wohi khudaa hai, wohi khudaa hai Talash uss ko, na kar buttoun mein woh hai badalti hui ruttoun mein Jo din ko raat aur raat ko din bana raha hai, wohi khuda hai wohi khuda hai, wohi khudaa hai wohi khudaa hai… Koi to hai jo, nizaam-e-hasti chala raha hai, wohi khuda hai Dikhayi bhi jo na de nazar bhi Jo aa raha hai, wohi khuda hai wohi khuda hai, wohi khudaa hai wohi khuda hai.. Nazar bhi rakhe, samaatein bhi Woh jaan leta hai, neeatein bhi Jo khana-e-lashaoor mein jagmaga raha hai wohi khuda hai, wohi khudaa hai wohi khudaa hai, wohi khudaa hai Koi to hai jo, nizaam-e-hasti chala raha hai, wohi khuda hai Dikhayi bhi jo na de nazar bhi Jo aa raha hai, wohi khuda hai wohi khuda hai,

Dil pe qalme ki zarb laga - Hamd Lyrics

Dil pe qalme ki zarb laga,  la ilaaha illallah dil ke marz ki hai yeh dawa,  laa ilaaha ilallah sab kaynaat da khaliq Allah,  tera mera malik Allah Sab ka raaz hai eik khuda,  Laa ilaaha illallah Us ka har dam zikr kiya kar,  apni mout ka zikr kiya kar Akhir tera maqaam banaa,  laa ilaaha illallah our zikr to subho shaam kiya kar,  har waqt us ka naam liya kar uske naam mein kitna mazaa,  laa ilaaha illallah.

Apna Haram dikha de Dono jahan ke Malik - Hamd Lyrics

Apna Haram dikha de Dono jahan ke Malik Kismat Meri Jaga De Dono Jahan Ke Malik Aye Mere Mola Mola Mola Mola Aey Mere Mola Mola Mola Mola Barson se Arzoo Hai -Taiba Ki Arzoo Hai Ek Baar hi Dikha DE Har Saal hi Dikha de Dono Jahan Ke Malim Aye Mere Mola Mola Mola Mola Aey Mere Mola Mola Mola Mola Ishq-eNabi ki Khusboo Karya-e-Jaan Main Rkha De Ulfat Main Dil Basa De- Dono Jahan ke Malik Aye Mere Mola Mola Mola Mola Aey Mere Mola Mola Mola Mola Duniya o Akhirat ke Har Gham se Tu Bari Hai Mujda Mujhe Suna De Dono Jahan ke Malik Aye Mere Mola Mola Mola Mola Aey Mere Mola Mola Mola Mola Duniya ke Har Sitam se Uqba ke Har Alam se Daman Mera Chupa de Dono Jahan ke Malik Aye Mere Mola Mola Mola Mola Aey Mere Mola Mola Mola Mola Baitha Nabi ke Dar Jiss Dam ko Yeh Gada Hai Uss Dam isse Pana de Dono Jahan ke Malik Aye Mere Mola Mola Mola Mola Aey Mere Mola Mola Mola Mola

Maabood hai tu zaat teri lamyazali hai - Hamd Lyrics

Image
Maabood hai tu zaat teri lamyazali hai Aabid tera har eik Nabi aur Wali hai Tu qaadir-e-mutlaq hai teri shaan jali hai Har cheez teray hukm kay saanchay main dhali hai Tu Khaaliq-e-Kaunain hai har cheez teri hai Jo cheez mili jis ko mili tujh say mili hai Bay hukm teray patt ta koyi hil nahin sakta Jab hukm huwa tera to har shaakh hili hai Yeh Dawaat-e-Nazaara Hai Jaawak Hai Shahid Mehboob Ki Har eik gali teri gali hai Ay dawar-e-mehshar mera sattaar bhi tu hai Ab fard -e-amal meri teray aagay khuli hai Kuch aur koyi Khwahish -e-dunya nahin maula Ho Khaatma bil Khair tamanna-e-dili hai Tu Kaatib-e-taqdeer hai Khushtar issay karday Likh hi jo muqaddar main buri hai kay bhali hai

Alhamd Faateha hai Quraan-e-Kareem Ka - Hamd Lyrics

Image
Alhamd Faateha hai Quraan-e-Kareem Ka Laa Raib har waraq hai Alif Laam Meem Ka Jab say liya hai naam Khuda-e-Raheem Ka Khatra nahin raha mujhay duzd Rajeem Ka Kaisay karoun main shukr Ghafoor-ur-raheem Ka Irfaan mujh ko bakhsha Rasool-e-Kareem Ka Banda houn kiska banda houn Rabb-e- Kareem Ka Ya’nee shafi-e-hashr Raoufur-Raheem Ka Mujh ko pata hai Khauf nahin hai jaheem ka Hoga jo faisla meray haq main Kareem ka Is nai’mat-e-tamaam pay an’amt hai gawaah Mujh ko mila shu-’oor rahay mustaqeem ka Har zar rah hai jahan ka aks wajood zaat Haadis bata raha hai pata kya qadam ka Sadqa Huzoor-e-Paak  ka anjaam ho bakhair Aalam baraa-hi sakht hai ummeed-o-beem ka Har bay Khabar ki rehti hai har pal jisay khabar Banda hai Khushtar aisay Khabeer-o-aleem ka

Ka’abey Key Dar Key Saamney Maangi Hai Yeh Dua Faqat - Qari Rizwan - Hamd Lyrics

Ka’abey Key Dar Key Saamney Maangi Hai Yeh Dua Faqat Haathon Mey Hashr Tak Rahey Daaman e Mustafa Faqat Apney Karam Sey Ai Khuda ‘Ishq e Rasool Kar ‘Ataa Aakhree Dum Labon Pey Ho Salley ‘Alaa Sadaa Faqat Taibah Ki Seyr Ko Chalain Qadmon Mey Unki Jaan Dey Dafn Ho Unkey Shehar Main Hai Yahi Ilteja Faqat Naz’a Key Waqt Jab Meyri Saanson Mey Inteshaar Ho Meyri Nazar Key Saamney Gumbad Ho Wo Haraa Faqat Munkar Nakeer Qabr Mey Ham Sey Sawaal Jab Karain Aisey Mey Wird Ham Rakhain Aap Key Naam Ka Faqat Duniya Ki Saari Ne’matain Meyri Nazar Mey Heych Ho Rakhney Ko Sar Pey Gar Miley Naa’lain e Mustafa Faqat Na’atain Rasool e Paak Hai Nazmi Ka Maqsad e Hayaat Qabr Mey Bhi Labon Pey Ho Sarkaar Ki Sanaa Faqat

Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya- Qari Rizwan - Hamd Lyrics

Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Banaaya Jo Mangta Karam Ho Khudaaya Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Banaaya Jo Mangta Karam Ho Khudaaya Iraadon Pey Ghaalib Iraada Teyra Hai Teyra Hukm Sab Par Hameysha Chala Hai Ilaahi Jagaadey Meyra Bakhte Khufta Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Meri Lagzisho Par Karam Ka Qalam Ho Isi Sey Jahan Mey Meyra Ab Bharam Ho Rahey Hashr Mey Bhi Karam Ka Sahaara Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Tu Sunta Hai Sab Ki Hamaari Bhi Sunley Key Bando Mey Khaas Apney Ham Ko Bhi Chunley Mujeeb In Du’aaon Ko Maqbool Farmaa Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Mey Hoon Teyra Saajid Tu Masjood Meyra Mey Hoon Teyra Bandah Tu Ma’bood Meyra Asaas e 'Ibadat Mujhey Dey Dey Maula Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Terey Ghar Key Chakkar Lagaata Hoon Maula Yunhi Saarey ‘Isyaan Mitaata Hoon Maula Raza Teyri Haasil Ho Ab To Khudaaya Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Hai Rehmaan Tu Hee Hai Jawwad Tu Hee Hai Ghaffar Tu Hee Hai Sattaar Tu Hee Hamari Khataa-on Ko Tu

Hai Paak Rutba Fikr Sey Uss Bey Niyaaz Ka - Qari Rizwan - Hamd Lyrics

Hai Paak Rutba Fikr Sey Uss Bey Niyaaz Ka Kuch Dakhal ‘Aqal Ka Hai Na Kaam Imtiyaaz Ka Lab Band Aur Dil Mey Wo Jalwey Bharey Huwey Allah Rey Jigar Terey Aagaah Raaz Ka ‘Ash Aagayaa Kaleem Sey Mushtaq Deed Ko Jalwah Bhi Bey Niyaaz Hai Uss Bey Niyaaz Ka Har Shai Sey ‘Ayaan Merey Saane’ Ki San’atain ‘Aalam Sab Aa-inoon Mey Hai Aa-ina Saaz Ka Aflaak Waariz Sab Terey Farmaan Pazeer Hain Haakim Hain Tu Jahan Key Nisheb–o–Faraaz Hain Is Bey Kasee Mey Dil Ko Merey Teyk Lag Gayee Shehr–o–Sunaa Jo Rehmat Beykas Nawaaz Ka Maanand Sham’a Teyri Taraf Lau Lagee Rahey Dey Lutf Meyri Jaan Ko Soz-o-Gudaz Ka Tu Bey Hisaab Bakhsh Key Hain Bey Hisaab Jurm Deyta Hoon Waasta Tujhey Shah e Hijaaz Ka Bandey Pey Terey Nafs-e-La’een Ho Gaya Muheet Allah Kar Kyun Kar Na Merey Kaam Baney Ghaib Sey Hasan Ilaaj Meyri Hirs-o-Aaz Ka Banda Bhi Hoon Kaisey Barey Kaar Saaz Ka

Allahu Allahu Allahu Allahu - Qari Rizwan - Hamd Lyrics

Allahu Allahu Allahu Allahu Qalb Ko Uski Rooyat Ki Hai Aarzoo Jis Ka Jalwah Hai ‘Aalam Mey Har Chaar Soo Balkey Khud Nafs Mey Hai Wo Subha Nahoo ‘Arsh Par Hai Magar ‘Arsh Ko Justa Joo Allahu Allahu Allahu Allahu ‘Arsh-o-Farsh-o-Zamano Jihat Ai Khuda Jis Taraf Deykhta Hoon Hai Jalwah Teyra Zarrey Zarrey Ki Aankhon Mey Tu Hee Ziyaa Qatrey Qatrey Ki Tu Hee To Hai Aabroo Allahu Allahu Allahu Allahu Saarey ‘Aalam Ko Hai Teyri Hee Justajoo Jinn o Ins o Malak Ko Teyri Aarzoo Yaad Mey Teyri Har Eyk Hai Koo Bakoo Ban Main Wehshi Lagaatey Hain Zarbaatey Hoo Allahu Allahu Allahu Allahu Nagma Sanjaaney Gulshan Mey Charcha Teyra Cheh-Chahey Zikrey Haq Key Hain Subho Masaa Apni Apni Chehak Apni Apni Sadaa Sab Ka Matlab Hai Waahid Key Waahid Hai Tu Allahu Allahu Allahu Allahu Taa-Iraan e Jina Mey Teyri Guftagoo Geet Teyrey Hee Gaatey Hain Wo Khush Guloo Koi Kehta Hai Haq Koi Kehta Hai Hoo Aur Sab Kehtey Hain Laa Shareeka Lahoo Allahu Allahu Allahu Allahu Thandi Thandi Naseemain Chalain Merey Rab Fitn

Dam Ba Dam Allah Ho Allah Ho - Hamd Lyrics

Allah Hye Allah Hye Allah Hye Allah Hye Allah Ho Allah Ho Dam Ba Dam Allah Ho Allah Ho Har Jagha Har Ghari Har Jagha Har Ghari Har Kadam Allah Ho Allah Hye Allah Hye Allah Hye Allah Hye Lamha Lamha Basar Ho Tere Zikar Main Zindgi Ka Safar Ho Tere Zikar Main Bas Zaban NagmaGer Ho Tere Zikar Main Dil Mera Shab Ho Sham-e-Haram Allah Ho Har Kali Har Samar Lehlahate Shajar Chandni Kehkashan Noori Shams-o-Qamar Yeh Zameen Yeh Falak Balke Har Khushk-o-Tar Kar Rahe Hain Sana Sab Baham Allah Ho Azmaton Rif-ato Ke Nisha(n) Tere Hai(n) Aey Khuda Yeh Zameen Asmaan Tere Hai(n) Malik-e-Do Jahan Ins-o-Jaan Tere  Hai(n) Tu Hamara Hai aur Tere Hum Allah Ho Uss Ki Kudrat kiran Dar Kiran Dar Kiran Us ki Nadhat Chaman Dar Chaman Dar Chaman Us Ki Midhat  Pavan Dar Pavan Dar Pavan Likhon Ja Ghar Kalam Ba Kalam Allah Ho

Kaabe ke rawnaq Kaabe ka manzar - Hamd Lyrics

Kaabe ke rawnaq Kaabe ka manzar Allahu Akbar Allahu Akbar Dekhon tu dekhe jaon barabar Allahu Akbar Allahu Akbar  Hamd-e-Khuda say tar hein zubaane  kaano mein russ gholtee hein Azaane Bas ik sadaa aarahi he baraabar Tere haram ki kya baat Mawla  tere karam ki kya baat Mawla Ta umar karde aana muqaddar Maangi hein mein ne jitnee duae manzoor hongi maqbool hongi Meezab-e-Rehmat he mere sar par Yaad agaye jab apni khataye  ashkon mein dhalne lagee iltijaye Roya ghilaaf-e-Kaaba pakar kar Bheja he Jannat se tujhko Khuda ne  chuuma he tujhko khud Mustafa ne Ay sung-e-Aswad tera muqqadar Mawla sabhi aur kya chahta he  bas maghfirat ki ataa chahta he Bakhshish ke talib pe apna karam kar

La Mau-Jooda Illallah, La Mash-huda Illallah - Hamd Lyrics

La Mau-Jooda Illallah, La Mash-huda Illallah, La Maqsooda Illallah, La Ma'booda Illallah Hai Maujood E Haqeeqi WO, Hai Mash-hud E Haqeeqi WO Hai Maqsood E Haqeeqi WO, Ma'bude Haq-o-Haqeeqi WO Rabbi Hasbi Jallallah, Maa Fi Qalbi Illallah Haq Haq Haq ALLAH ALLAH ALLAH, Rab Rab Rab SubhaanALLAH Sota Peeta Khaat Nahi, Uska Rishta Naata Nahi Uske Pita Aur Maata Nahi, Uske Jooru Jaata Nahi Mai Hu Banda Wo Maula, Kaun Hai Apna Uske Siwa Mai Hu Uska WO Mera, Jisne Banaya Aur Paala Aankho Me WO Hai Sarr Me WO, Dil me Wo Hai Jigar Me WO sam'a Me WO Hai Basar Me WO, Tab'a Me WO Hai Fikar Me WO Noor Me WO Hai Nazar Me WO, Shams Me WO Hai Qamar Me WO Abr Me WO Hai Guhar Me WO, Koh Me WO Hai Hajar Me WO Jalwe USKE Hai Har Jaa, Zaat Hai Uski Jaa Se Varaa Qudrat Se WO In me Hua, Zaat Me Hai WO Sabse Juda Apne Karam Se Rabbe Kareem, Humpe Kiya Ehsaan E Azeem Bheja Hum Me Ba-Fazle Azeem, Bahre Karam Ka Durre Yateem Apne Mazhar E Awwal Ko, Apne Habeeb E Ajmal Ko Pehle Nabi E Afzal Ko, Pic

Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai - Qari Rizwan - Hamd Lyrics

Image
Chal Qalam Ab Hamd E Rabb Maqsood Hai Tera Mera Sab Ka Jo Ma'bood Hai Hai Wahi Shahid Wahi Mash-hud Hai Noor Uska Har Jagah Maujood hai Usne Hi Humko Bakshe Hay Humko Mustafa Ye Na Ho To Zindagi Be Sud Hai Yu To Hai Quraa(n) Hidayat Ki Kitaab Par Kisi Ka Tazkera Maksood Hai Wad-duha Wash-shams Jiski Shaan Hai Haan Wahi Ahmed Wahi Mehmood Hai Unn Ka Charcha Har Jabaa(n) Par Hai Rawaa(n) Unki Khushbu Har Jagah Maujood Hai Azmat E Ahmad Me Jisko Hai Shuba Haan Wahi Shaitaa(n) Wahi Mardood Hai Aur Jo Karta Hai Unn Par Jaa(n) Fida Wo Mubarak Hai Wahi Mas-ud Hai Noor Ki Barsaat Hoti Hai Waha Jis Jagah Par Mehfil E Maulood Hai Padhte Rahiye  Nazmi  Naat E Mustafa Haan Isi Me Rooh Ki Beh-bud Hai

Qalb Ko Uski Ruyat Ki hai Aarzu - Hamd Lyrics

Qalb ko uski ruyat ki hai aarzu Jis ka jalwah hai aalam me har char su Balke khud nafs me hai wo subhanahu Arsh par hai magar arsh ko justaju Allahu Allahu Allahu Allahu Arsh o farsh o zamano jihat aay khuda Jis taraf dekhta hu hai jalwa tera Zarrey zarrey ki aankhon me tu hi ziya Qatrey qatrey ki tu hi toh hai aabru Allahu Allahu Allahu Allahu Saarey aalam ko hai teri hi justaju Jinn o ins o malak ko teri aarzu Yaad me teri har ek hai ku aku Ban me wehshi lagaatey hai zarbaatey hu Allahu Allahu Allahu Allahu Nagma sanjane gulshan me charcha tera Cheh chahey zikrey haq ke hai subho masaa Apni apni chehak apni apni sada Sab ka matlab hai wahid ke wahid hai tu Allahu Allahu Allahu Allahu Taa iraan e jina me teri guftagu Geet tere hi gaate hai wo khush gulu Koi kehta hai haq koi kehta hai hu Aur sab kehtey hai laa sharika lahu Allahu Allahu Allahu Allahu Thandi thandi Nasime chalay mere rab Fitno ki dhul se paak Huye arab Aisa barsaa bahade jo Khaa Shaak sab Teri rehmat ke baadal gire cha