Posts

Showing posts with the label kushbooekushtar

Kuch na poocho maqaam Khwaja ka - Manqabat Lyrics

Image
Kuch na poocho maqaam Khwaja ka Arshion may hai naam Khwaja ka Da ‘wat-e-deen kaam Khwaja ka Sab ki khidmat nizaam Khwaja ka Hind taa Chisht Kaam Khwaja ka Boal baala hai naam Khwaja ka Unki manzil hijaab ‘azmat hai Arsh hai eik gaam Khwaja ka Yeh Patan paak Dehli o Kalyar Sab ko paya maqaam Khwaja ka Dost to dost aaj dushman bhi Latay rehtay hein naam Khwaja ka Chishti manzil bihisht ki manzil Baam baalay baam Khwaja ka Eik muslim hi kya kay hindu bhi Karta hai ehteraam Khwaja ka Sab ki poori muraad hoti hay Hai ye Faizaane ‘aam Khwaja ka Yeh jo Khushtar hai Qadri Razvi Yeh bhi hai eik ghulaam Khwaja ka

Ay Raza Martaba Kitna Huwa Baala Tera - Manqabat Lyrics

Image
Ay Raza Martaba Kitna Huwa Baala Tera Hind To Hind Arab May Huwa Shora Tera Naam A’la Hai Tera Hazrat-e-A’la Tera Kaam Ula Hai Tera Ay Shahay Wala Tera Koi Kya Jaanay Bara Kitna Hai Rutba Tera Asfiya Choomna Chahain Woh Hai Talwa Tera Kitna Ooncha Kiya Allah Nay Rutba Tera Ghaus-e-Azam Ko KiyaWaali-O-Maula Tera Nisbat-e-Alay Rasool ( ) Bhi Ajab Nisbat Hai Ghaus Tak Laygaya Tujh Ko Yeh Wasila Tera Is Sadi Ka Tu Mujjadid Tu Zaamanay Ka Imaam Ehlay Haq Chaltay Hain Jis Par Woh Hai Rasta Tera Tujh Ko Allah Nay Har Fazl Ata Farmaya Kon Sa Ilm Kay Jismay Nahin Hissa Tera Is Zamanay May Koi Tujh Say Na Dekha Na Suna Ghaus-e-Azam Ki Karamat Thi Sarapa Tera Tarjuma Ban Gaya Quran Ka Kanzul Imaan Hashr Tak Jaari Yeh Faizan Rahay Ga Tera Tu Nay Imaan Diya Tu Nay Jamaat Day Di Ahle Sunnat Pay Yeh Ehsaan Hai Aaqa ( ) Tera Maslak-e-Haq Ki Zamaanat Hai Tera Naam Raza Shaan-e-Tehqeeq Ada Kargaya Khaama Tera Mustafa ( ) Ka Teray Khaadim Teray Haamid Ka Ghulaam Khushtar-e-Banday Darbaar Hai Tera Tera

Ay Imaam-ul- hudaa Shaahe Ahmad Raza - Manqabat Lyrics

Image
Ay Imaam-ul- hudaa Shaahe Ahmad Raza Murshid-ul-atqiyaa Shaahe Ahmad Raza Haq ki tu hai Raza Shaahe Ahmad Raza Tujhse Raazi Khuda Shaahe Ahmad Raza Shukr Allah Ka Shaahe Ahmad Raza Deen tujhsay mila Shaahe Ahmad Raza Ahle sunnat ka bera na kyun paar ho Is ka tu nakhuda Shaahe Ahmad Raza Ghaus ka Mustapha ( ) ka Khuda ka howa Jo bhi tera howa Shaahe Ahmad Raza Tu nay baatil ka sar kaath kar rakhdiya Haq ko zinda kiya Shaahe Ahmad Raza Teri tehreer haq iska har har waraq Haq ka hai faisla Shaahe Ahmad Raza Mustapha ( ) Ghaus -o-Khwaja kay Barkaat tak Hai tera silsila Shaahe Ahmad Raza Hai ye maahe safar is mein har har nagar Urs tera howa Shaahe Ahmad Raza Laaj donon jahan may teray haath hai Mein talab tu aataa Shaahe Ahmad Raza Naz’r-o-mehshar may Khushtar hi Khushtar rahay Hai ye tera gadaa Shaahe Ahmad Raza

Aaya hai ye tera deewaana Shayanlillah Shayanlillah - Manqabat Lyrics

Image
Aaya hai ye tera deewaana Shayanlillah Shayanlillah Kehta hai ye har dam mastaana Shayanlillah Shayanlillah Khaalee hai meri jholi bhar do Ay Ghaus mujhay boli bhar do Darbaar hai tera shahaana Shayanlillah Shayanlillah Tu jaan-e-wali hai kaan-e-sakhi darbaar main teray kya hai kami Bhar day meray saaqee paymaana Shayanlillah Shayanlillah Hai hukm tera hukm-e- rabbi eik dam main jo chahai kar day wohi Ye daur hai tera shahaana Shayanlillah Shayanlillah Main bad hi sahi main chor hi sahi main mujrim-o-khaati kuch hi sahi Par tera houn jaan-e-jaanaana Shayanlillah Shayanlillah Tu peer mera laathani hai aur Ghaus mera Jeelani hai Main tera mureed deewaana Shayanlillah Shayanlillah Chaahoun jo agar tujh ko chaahoun dekhoun jo agar tujh ko dekhoun Kar day mujhe sab se beegaana Shayanlillah Shayanlillah Islaam ka main eik saa-il houn aur naam ka teray Shaaghil houn Parhta howa tera do-gaana Shayanlillah Shayanlillah Chootay na kabhi tu aur Ahmad, mushkil jo paray ho teri madad Gar waqt naz’a

Faryaad hai faryaad hai faryaad hai ya Ghaus - Manqabat Lyrics

Image
Faryaad hai faryaad hai faryaad hai ya Ghaus Yeh banda dar-e-moriday baybaad hai ya Ghaus Kehtain hein bhikaari tera barbaad hai ya Ghaus Mumkin nahin ye dar tera aabaad hai ya Ghaus Kya khawf koyi gar sitam ijaad hai ya Ghaus Meray liyay kaafi teri imdaad hai ya Ghaus Hai wirday zabaan shayan lillah ka na’ra Har ranj say saa-il tera aazaad hai ya Ghaus Achha hun bura hun mein beher haal tera houn Kya haq mein meray aap ka irsaad hai ya Ghaus Ho naz’a ka dam ya kai lahad ho kai ho meezaan Har eik jagah lab pay teri yaad hai ya Ghaus Looti hai issi nai mere ghar bhar ki kamaayi Rehzan hai sitamgar hai ye jallaad hai ya Ghaus Farmaa kay mureedi liya aahosh karam mein Taa hashr har eik gham say ye aazaad hai ya Ghaus Khushtar sag-e-darbaar hai tukray pay pala hay Farmadein ye banda mera aazaad hai ya Ghaus

Kaun kehta hai dunya main Khushtar - Naat Lyrics

Image
Kaun kehta hai dunya main Khushtar, koyi mera sahaara nahin hai Naam hai jis ka pyara Muhammad ( ), kya woh Aaqa ( ) hamara nahin hai Zindagi kay har eik paych-o-kham main ‘aish main aur ranj-o-alam main Kab Rasool-e- mukarrram ko main nay shaam hi say pukaara nahin hai Dil hai baychain jalta hai seena ye bhi jeenai may hai koyi jeena Main kahan aur kahan hai Madeena mujhko doori gawaara nahin hai Waqt hai ye tuloo - e- sehr ka hijre ranj-o-alam kay safar ka Koyi ummeed ka hai shab-e- gham ab nazar main sitaara nahin hai Yaad dil main hai aur aankh nam hai Shaah-e- Baghdaad ka ye karam hai Main nay ulfat ka ye khail Khushtar jab bhi khaila hai haara nahin hai

Subhay Faaran Marhaba Aisa Ujaala Kar Diya - Naat Lyrics

Image
Subhay Faaran Marhaba Aisa Ujaala Kar Diya Zaray Zaray Ko Jahan Ko Tooray Seena Kar Diya Ishq Nay Unkay Batain Kya Tumhain Kya Kar Diya Dard Woh Bakhsha Keh Sab Achhon Say Acha Kar Diya Jaan Balab Hai Ab Mareezay Hijr Aaqa ( ) Aaiyay Dard Nay Yaas-O-Alam Nay Kaam Dil Ka Kar Diya Sath Laya Tha Kafan Par Naam-e-Waala Aap Ka Jisnay Marqad May Ujaala He Ujaala Kar Diya Meray Palay May Koye Naikee Naa Thi Waqt-e-Hisaab Unki Rehmat Nay Saray Meezan Ishara Kar Diya Ghair Kay Ab Aastanay Par Nahin Jhukti Jabin Usko Apnay Dar Ka Kar Kay Intna Ooncha Kar Diya Habza Waqtay Museebat Naam Waala Jab Liya Rehmaton Nay Eik Pal May Paar Beara Kar Diya Teray Qurbaan Ja Ay Shaan-e-Ata Lutf-e-Ameem Jin Ko Apna Tha Banaya Unko Mera Kar Diya Mujh Ko Khushtar Rehmaton Nay Lay Liya Aahosh May Umatee Keh Kar Jo Maula Nay Ishaara Kar Diya

Wah Kya Ay Shahe Konain Hai Rutba Tera - Naat Lyrics

Image
Wah Kya Ay Shahe Konain Hai Rutba Tera Roz-e-Misaaq Say Ta Hashr Hai Charcha Tera Main Agar Khaon Ajab Kya Keh Ajal Say Hon Ghulaam Kon Aisa Hai Jo Khata Nahin Sadqa Tera Tu Barha Itna Kay Meraaj Main Rab Tak Phoncha Keh Ra Ha Hai Ye Dana Aur Tadala Tera Tujh Ko Allah Nay Har Ghaib Ata Farmaya Udnun Minee Say Keh Ta Ha Fa Aawa Tera Aalam-e-Deed Hai Kyon Naza Kahon Qabr Kahon Kar Ra Ha Hon Sabhi Manzil May Nazaara Tera Marzi-e-Paak Bata-e-Ga Fa Walli Wajha Ka Hai Haram Tera Musala Tera Kaaba Tera Naza May Qabr May Mehshar May Rahay Ga Saabit Ay Sakhi Kalma-e-Tayyib Hai Atya Tera Aap Farmadain Yeh Mujrim Hai Magar Mera Hai Khatm Kar Day Ga Har Eik Ranj Ye Fuqra Tera Irfa Ra Sag Kay Tasaduq-o-Tushfa Kay Nisaar Kaam Kya Kar Gaya Eik Hashr May Sajda Tera Bakhshishay Umatay Aasi Ka Ho Muzda Khushtar Keh Raha Hay Sar-e-Mehshr Ye Fatarda Tera

Madeena Madeena Madeena Madeena - Naat Lyrics

Image
Madeena Madeena Madeena Madeena Yehi kehtay marna yehi kehtay jeena Nazar gumbad-e- sabz par dil Madeena Jo aisay main maut aa ay jeena hi jeena Na poocho meri zindagi ka qareena Madeena kabhi dil kabhi dil Madeena Madeena say main duur mujh say Madeena Yeh jeena hai ko-ee jeenay main jeena Jo ishq-e- Muhammad ( ) main ho chaak seena Meray bakhya gar isko hargiz na seena Maza day raha hai gham-e -ishq-e- Aaqaa ( ) Jo girtay hain aansoo wo ban kar nageena Tumhain doobtay jab kissi nai pukara Har eik mauj ban kar kay aayi safeena Jahan ko main baaghe iram say badal doun Jo milja-e- Aaqa ( ) tumhara paseena Na chehro mujhay ay nakeero na chehro Woh dekho woh aa- ponh-chay Shahe Madeena Yeh kaaba, yeh zamzam, Safa aur Marwah Madeenay say hai sab ki rownaq Madeena Yehi Aakhri hai tamanna - e- Khushtar Idhar Rooh niklay Udhar ho Madeena

Pyaray Muhammad Tera Naam-e-Naami - Naat Lyrics

Image
Pyaray Muhammad ( ) Tera Naam-e-Naami Likha Arsh Par Hai Bakhat-e-Giraami Tu Payghaam Mera Main Tera Payaami Aur Tujh Par Salaat-o-Salaam-e-Dawaami Tu Maula-e-Kul Hai Arab Ka Ajam Ka Bhikaari Teray Saaray Rumi O Shaami Teri Chashmay Beena Ra Al-Haq Ki Mazhar Zaban Ko Teray Rab Say Hai Hum Kalaami Ma Allah Li Main To Araam Farma Hai Tera Khuda Say Keh Qurbay Dawaami Arab Bhi Hain Tera Ajam Bhi Hai Tera Ghulami Main Hain Teray Har Khaas O Aami Phir Teray Liyay Sirf Sallu Alaih Tujhi Ko Hai Zaiba Yeh Wasf-e-Dawaami Tu Yassen O Taaha Tu Shamsud Duha Ha Fatarda Tera Ay Rasool-e-Garami Haram Tera, Hal Tera, Tera Zamaana Teri Shaan Wal Asr Rehmatay Tamaam Hain Wassaaf-e-Mehboobay Rabul Ula Sab Yeh Hassan O Kaafi Raza Aur Jaami Hain As-Haab Saray Hidaayat Kay Taaray Yeh Bu Bakr O Haidar, Yeh Salmaan Naami Hon Aabo Ajdaad Kay Peechay Khushtar Zabaan O Aqeeda Hain Misl-e-Tamaami

Tera Aastana Hai Main Hon Jabin Hai - Naat Lyrics

Image
Tera Aastana Hai Main Hon Jabin Hai Yeh Sajday Ki Me’raaj Kitni Haseen Hai Dayaar-e-Habeeb-e-Khuda ( ) Allah Allah Jidhar Dekhiay Khuld Manzar Zami Hai Na Chayro Mujhay Ay Naqeero Na Chayro Woh Dekho Woh Umat Ka Waali Yahin Hai Sar Wad Dana Par Fa Owha Ka Naghma Yeh Me’raaj Ki Shab Kitni Hasi Hai Yeh Mehwar Husnay Ruay Muhammad ( ) Habeeb-e-Khuda Saamnay Hain Yaqi Hai Yeh Keh Keh Kay Main Dil Samjharaha Hon Woh Taiba Woh Taiba, Yahi Hai Yahi Hai Yeh Zaatay Muhammad ( ) Meray Dil Say Pooncho Yaqi He Nahin Bal Kay Jaanay Yaqi Hai Khusha Muzda Sal Khusha Zowq-e-Saail Nahin Bas Yahan Eik Lavs Nahin Hai Muhammad ( ) Muhammad ( ) Muhammad ( ) Muhammad ( ) Yahi Hai Zabaan Par Yeh Dil Nasheen Hai Yeh Konain May Munkiro Juz-e-Muhammad ( ) Dekhado Koi Khatamul Mursali Hai Zameeno Zamaan May Makaan Lamakaan May Habeeb-e-Khuda Aur Koi Naheen Hai Mazaar-e-Habeeb ( ) Allah Allah Sar-e-Arsh Say Oonchi Jiski Zameen Hai Tera Khaatama Hoga Bil Khair Khushtar Keh Tu Wasif-e-Khatamul Mursali Hai

Bazm-e-Milaad-e-Nabi Hai Har Musalma Shaad Hai - Naat Lyrics

Image
Bazm-e-Milaad-e-Nabi ( ) Hai Har Musalma Shaad Hai Aamina Kay Laal Piyaray Mustafa ( ) Ki Yaad Hai Ankh May Roza Zaban Pay Naam Dil May Yaad Hai Aiyay Aaqa ( ) Yeh Ghar Ab Har Tarhan Aabaad Hai Aap He Kay Zaat Say Zaat-e-Khuda Ka Hai Zuhoor Aap He Kay Naam Say Naam-e-Khuda Ki Yaad Hai Sar Wohi Sar Hai Keh Jis Sar May Hai Tera Khayaal Dil Wohi Dil Hai Keh Jis Dil May Tumhari Yaad Hai Ab Madad Farmaiyay Ay Fatahay Badar-O-Hunain Naam Leva Aap Ka Dunya May Phir Barbaad Hai Naza Ho, Ya Qabr Ho, Meezaan Ho Ya Pulsiraat Har Jaga Ay Mah-e-Taiba Aap Say Faryaad Hai Kul Jahaan Dushman Bhi Ho Jaiay To Khushtar Gham Nahin Kaali Kamli Walay Aaqa Ki Agar Imdaad Hai

Baat Hai Yeh Baray Kareenay Ki - Naat Lyrics

Image
Baat Hai Yeh Baray Kareenay Ki Aarzo Dil Ko Hai Madeenay Ki Itr Bayzi Ka Kya Kahon Aalam Jism-e-Aqdas Kay Us Paseenay Ki Tum Ko Deer-o-Haram Mubarak Ho Mujh Ko Eik Dhun Hai Bas Madeenay Ki Yeh Fasaanay To Sun Chuka Hon Bahot Baat Kuch Ki Jiyay Madeenay Ki Zikr-e-Janaat Baja Magar Waaz Baat Kuch Aur Hai Madeenay Ki Aap Hi Ka Ghulam Hon Aaqa ( ) Laaj Rakh Lijiya Kameenay Ki UnKa Dar Hai Wo Dar Jahan Khushtar Maut Ko Bhi Talab Hai Jeenay Ki

Chaman Say Duur Hon Khushtar Karaar Aaay To Kya Aaay - Naat Lyrics

Image
Chaman Say Duur Hon Khushtar Karaar Aaay To Kya Aaay Madeenay Say Juda Hon Kya Bahaaron May Maza Aaay Nah Unsa Rehnuman Aaay Nah Unsa Paishwa Aaay Jo Apni Ibtida Ki Khud Hi Ban Kar Intaha Aaay Ba Shakl-e-Mustafa ( ) Aalam May Anwaar-e-Khuda Aay Meray Ilmul Huda, Ainul Huda, Haqul Huda Aay Za Adam Taabay Essa Yun To Saaray Ambiya Aaay Magar Khatm-e-Risaalat Ban Kar Mehboob-e-Khuda Aaay Lutay Imaan Kay Gohar Hoay Altaaf Ki Baarish Jahaan Mehsoos Kar Ta Hai Shahé Joodo Sakha Aaay Chatay Baadal Woh Phela Noor, Woh Aalam Howa Roshan Chamak Kay Zaray Zaray Nay Kaha Shamsuduha Aaay Ghunehgaaranay Umat Ka Muqadar Ain Ta’lalah Noyaday Maghfirat Lay Kar Siraaj-Ul-Ambiya Aaay Pukaara Jab Kabhi Ghabra Kay Aaqa Ko Museebat May Meri Imdaad Ko Barwaqt Woh Khair-Ul-Wara Aaay Madeenay Saamnay Hai Yeh To Meraajay Muqadar Hai Ab Iskay Baad Kya Khushtar Khayaalay Masiwa Aaay

Unkay Darbaar-e-Aqdas May Hum Aagaiy - Naat Lyrics

Image
Unkay Darbaar-e-Aqdas May Hum Aagaiy Downon Aalam Ka Maqsood Hum Pagaiy Chor Ahbaab Jab Mujh Ko Tanha Gaiy Waali Umat Keh Aisay May Khud Aagaiy Hum Ko Doonda Karein Haat Aatay Nahin Kaali Kamli May Aaqa ( ) Ki Hum Aagaiy Naza Ho, Qabr Ho, Pul Ho, Mizaan Ho Jab Kaha Ya Muhammad ( ) Wahin Aagaiy Naam Aaqa Ka Har Baar Laita Gaya Qabr May Mujhsay Woh Poonch Kya Kya Gayay Zindagi Kay Taqaazon Ko Kya Dekh Tay Hum Nay Maana Wohi Tum Jo Farmagayay Jashne Milaad-e-Aaqa ( ) Na Poonch Hum Nasheen Dhoom Downon Jahaan May Hai Woh Aagay Maasiyat Dhal Gaiy Rab Ko Pyaar Aagaya Chandh Aansoo Nadaamat Kay Kaam Aagaiy Azmat-e-Irfa Raasaka Ka Kya Poonch Na Saari Ummat Woh Sajday May Bakhsha Gaiy Khush Ho Khushtar Agar Chay Tu Badtar Sahi Bad Hain Meray Woh Irshaad Farmagaiy

Yeh Saaray Ambiya aa ay jo Khushtar Muqtada ban kar - Naat Lyrics

Image
Yeh Saaray Ambiya aa ay jo Khushtar Muqtada ban kar Khabar Lay Kar unhein aana tha aa ay mubtada ban kar Wohi jo Arsh par tha jalwah gar noor-e-Khuda ban kar Madeena main basad anwaar aaya Mustapha ( ) ban kar Tumhein jab doob-nay waalon nay ay aaqa pukara hai Madad ko khud talatum aagaya hai naakhuda ban kar Jab unkay ummati khairul umam tehray zamanay main Issi say munkiro samjho woh aa ay hongay kya ban kar Madeena kardiya yathrab ki qismat hi badal daali Qudoom - e -Naaz jab aa ay bahaar jaanfiza ban kar Mujhay mangta banaday ya Ilahi tu issi dar ka Jahan par baar ha Jibreel aa ay hain gada ban kar Dayar-e-paak ka rutba bata la uqsim unko Jo Kaabay say bazam khud chahlay hain basafa ban kar Malaik sar par laykar aay hain amaal naamay ko yeh hoga paish dawar ab qasida naat ka ban kar Madeena jab nahin dekha to phir dekha hi kya Khushtar Hazaar aay koyi baytul haram say baasafa ban kar

Apnay daaman main chupalain to bahut ach-cha ho - Naat Lyrics

Image
Apnay daaman main chupalain to bahut ach-cha ho Khauf-e-mehshar say bachalain to bahut ach-cha ho Youn to har chah-nay wala hai tumhara aaqa Mujh ko bhi apna banalain to bahut ach-cha ho Main Khataa kaar, gunahgaar, siyaah kaar sahi Aap hi ka houn bacha lain to bahut ach-cha ho Naza hai qabr hai, Mehshar hai, saray meezaan hai Main gira mujh ko sambhalain to bahut ach-cha ho Ronay waalon ko ho muzdah kay duaein maangein Aissay main ashk bahaalein to bahut ach-cha ho Ankhein hon band to bas lab pay ho Allah Allah Naqsh youn dil pay jamaalein to bahut ach-cha ho Mo ‘minon nafs kay zun-naar say kya hai rishta Ham issay torr hi daalain to bahut ach-cha ho Teray hi dar pay rahoun teray hi tukron pay paloun Sag mujhay aissa banalain to bahut ach-cha ho Saaya-e-Gumbad-e-Khazra ho muqaddar apna Mujh ko youn paas boulaalain to bahut ach-cha ho Jashn-e-nawroz shab-o-roz say bach kar Khushtar Jashn-e-Meelaad manaalain to bahut ach-cha ho

Maabood hai tu zaat teri lamyazali hai - Hamd Lyrics

Image
Maabood hai tu zaat teri lamyazali hai Aabid tera har eik Nabi aur Wali hai Tu qaadir-e-mutlaq hai teri shaan jali hai Har cheez teray hukm kay saanchay main dhali hai Tu Khaaliq-e-Kaunain hai har cheez teri hai Jo cheez mili jis ko mili tujh say mili hai Bay hukm teray patt ta koyi hil nahin sakta Jab hukm huwa tera to har shaakh hili hai Yeh Dawaat-e-Nazaara Hai Jaawak Hai Shahid Mehboob Ki Har eik gali teri gali hai Ay dawar-e-mehshar mera sattaar bhi tu hai Ab fard -e-amal meri teray aagay khuli hai Kuch aur koyi Khwahish -e-dunya nahin maula Ho Khaatma bil Khair tamanna-e-dili hai Tu Kaatib-e-taqdeer hai Khushtar issay karday Likh hi jo muqaddar main buri hai kay bhali hai

Alhamd Faateha hai Quraan-e-Kareem Ka - Hamd Lyrics

Image
Alhamd Faateha hai Quraan-e-Kareem Ka Laa Raib har waraq hai Alif Laam Meem Ka Jab say liya hai naam Khuda-e-Raheem Ka Khatra nahin raha mujhay duzd Rajeem Ka Kaisay karoun main shukr Ghafoor-ur-raheem Ka Irfaan mujh ko bakhsha Rasool-e-Kareem Ka Banda houn kiska banda houn Rabb-e- Kareem Ka Ya’nee shafi-e-hashr Raoufur-Raheem Ka Mujh ko pata hai Khauf nahin hai jaheem ka Hoga jo faisla meray haq main Kareem ka Is nai’mat-e-tamaam pay an’amt hai gawaah Mujh ko mila shu-’oor rahay mustaqeem ka Har zar rah hai jahan ka aks wajood zaat Haadis bata raha hai pata kya qadam ka Sadqa Huzoor-e-Paak  ka anjaam ho bakhair Aalam baraa-hi sakht hai ummeed-o-beem ka Har bay Khabar ki rehti hai har pal jisay khabar Banda hai Khushtar aisay Khabeer-o-aleem ka