Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se - Naat Lyrics
Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se darbare-nabi se bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se darbare-nabi se irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se darbar-e-nabi se pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se darbar-e-nabi se pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se darbar-e-nabi se