Posts

Showing posts with the label muzdaebakshish

Wah Kya Jood-o-Karam Hai Shahey Batha Teyra - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Wah Kya Jood-o-Karam Hai Shahey Batha Teyra Nahi Sunta Hee Nahi Maangney Waala Teyra Dhaarey Chaltey Hain ‘Ataa Key Wo Hai Qatra Teyra Taarey Khiltey Hain Sakhaa Key Wo Hai Zarrah Teyra Aghniya Paltey Hain Dar Sey Wo Hai Baaraa Teyra Asfiyaa Chaltey Hain Sar Sey Wo Hai Rastaa Teyra Farsh Waaley Teyri Shaukat Ka ‘Uloo Kya Jaaney Khusrawaa ‘Arsh Pey Urta Hai Phareyraa Teyra Mey To Maalik Hee Kahunga Key Ho Maalik Key Habib Yaani Mehboob-o-Mohib Mey Nahi Meyra Teyra Terey Qadmon Mey Jo Hain Gheyr Ka Munh Kya Daikhain Kaun Nazron Pey Charey Daikh Key Talwah Teyra Eyk Mey Kya Merey ‘Isyaan Ki Haqeeqat Kitnee Mujh Sey Sau Lakh Ko Kaafi Hai Ishaara Teyra Terey Tukron Pey Paley Gheyr Ki Thokar Pey Na Daal Jhirkiyan Khaaye Kahaan Chor Key Sadqa Teyra Tu Jo Chaahey To Abhee Meyl Merey Dil Key Dhuley Key Khuda Dil Nahi Karta Kabhi Meyla Teyra Haram-o-Taibah-o-Baghdad Jidhar Keejiye Nigaah Jot Parti Hai Tiri Noor Hai Chantaa Teyra Teyri Sarkaar Mey Laata Hai RAZA Uss Ko Shafee Jo Meyra Ghaus Hai A

MADINAH AANEY WAALA HAI - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Sambhal Jaa Ai Dil e Muztar Madinah Aaney Waala Hai Lutaa Ai Chashm e Tar Gohar Madinah Aaney Waala Hai Qadam Ban Jaaye Meyra Sar Madinah Aaney Waala Hai Bichaun Rah Mey Nazar Bankar Madinah Aaney Waala Hai Jo Deykhey Unka Naqsh e Paa Khuda Sey Wo Nazar Maangoon Chirag e Dil Chaloo Leykar Madinah Aaney Waala Hai Karam Unka Chala Yoon Dil Sey Kehta Raah e Taibah Mey Dil e Muztar Tasalli Kar Madinah Aaney Waala Hai Nichawar Hain Madiney Ki Yeh Meyra Dil Meyri Aankhain Nichawar Hoon Madiney Par Madinah Aaney Waala Hai Ilaahi Mey Talabgaar e Fanaa Hoon Khaak e Taibah Main Ilaahi Kar Nisaar e Dar Madinah Aaney Waala Hai Madiney Ko Chalaa Main Bey Niyaz Rehbar e Manzil Raah e Taibah Hai Khud Rehbar Madinah Aaney Waala Hai Mujhey Kheenchey Liye Jaata Hai Shauq e Koocha e Jaanaan Kheenchaa Jaata Hoon Mey Yaksar Madinah Aaney Waala Hai Wo Chamka Gumbad e Khazra Wo Shehr e Pur Ziyaa Aaya Dhaley Ab Noor Mey Peykar Madinah Aaney Waala Hai Jahan Sey Bey Khabar Ho Kar Chaloo Khuld e Madinah Mey Chal

Bigri Meyri Banaado Yaa Mustafa Raza Khan - Qari Rizwan - Manqabat Lyrics

Bigri Meyri Banaado Yaa Mustafa Raza Khan Ranj o Alam Mitaado Yaa Mustafa Raza Khan ‘Ilm o ‘Amal Key Paikar Taqwa Key Ho Samandar Qatrah Mujhey ‘Ataa Ho Yaa Mustafa Raza Khan Khaali Hai Meyri Jholi Haazir Hai Yeh Sawali Dastey Karam Barhaado Yaa Mustafa Raza Khan Pyaarey Nabi Ki ‘Ulfat Dil Mey Rahey Salaamat Dil Ko Meyrey Jilaado Yaa Mustafa Raza Khan Shakir Key Dil Sey Aaqa Hubbey Jahan Mitaado Ishq e Nabi ‘Ataa Ho Yaa Mustafa Raza Khan

Ahmed Raza Ney Faiz Ka Daryaa Bahaa Diyaa - Qari Rizwan - Manqabat lyrics

Ahmed Raza Ney Faiz Ka Daryaa Bahaa Diyaa Hubbey Nabi Sey Dil Ko Madinah Banaa Diyaa Khidmat Nabi Key Deen Ki Kuch Is Tarha Sey Ki Bid’aat o Munkaraat Ka Qil’a Giraa Diyaa ‘Azmat Bithaa Di Aap Ney Aaqa Ki Qalb Main Badley Mey Rab Ney Aap Ko A’ala Diyaa Naamoos e Mustafa Ki Hifaazat Key Waastey Meyrey Raza Ney Apnaa Sabhi Kuch Lutaa Diyaa Jaan e Muraad Kaan e Tamanna Huzoor Hain Apna ‘Aqeedah Aap Ney Kaamil Banaa Diyaa Ad Daulatul Makkiyah Hai Burhaan e ‘Ilm e Ghaib ‘Ilm e Nabi Ka Aap Ney Sikka Bithaa Diyaa Shakir Teyra Ehsaan Na Bhooleyga Hashr Tak Ishq e Nabi Main Dil Ko Tarapna Sikhaa Diyaa

Bigri Meyri Banaado Yaa Shaah e Sanjari - Qari Rizwan - Manqabat Lyrics

Bigri Meyri Banaado Yaa Shaah e Sanjari Ranj o Alam Mitaado Yaa Shaah e Sanjari Kitna Karam Hai Mujh Ko Apna Bana Liyaa Hai Qismat Meyri Jagaado Yaa Shaah e Sanjari Par Hai Na Paas Zar Hai Bas Aap Ki Nazar Hai Taibah Mujhey Dikhaado Yaa Shaah e Sanjari Ishq e Nabi Mey Aaqa Saabit Qadam Rahain Hum Bil Khair Khaatima Ho Yaa Shaah e Sanjari Phir Hind Ki Zameen Mey Zaalim Ubhar Rahey Hain Teer e Nazar Chalaado Yaa Shaah e Sanjari Tehreek e Sunni Dawat e Islami Ko Huzoor ‘Aalam Mey Ab Chalaado Yaa Shaah e Sanjari Husn e ‘Amal Sey Qaasir Dar Pey Khara Hoon Main Apna Mujhey Banaalo Yaa Shaah e Sanjari Shakir Pey Bhi ‘Inaayat Farmaaye Huzoor Khwaabidah Dil Jagaa Do Yaa Shah e Sanjari

Aagaya Hai Gadaa Shah e Hindustan - Qari Rizwan - Manqabat Lyrics

Aagaya Hai Gadaa Shah e Hindustan Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Auliya o Qutub Dey Rahey Hai Sadaa Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Zaahid o Muttaqi Keh Rahey Hain Sabhi Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Aap Ibn e ‘Ali Intikhaab e Nabi Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Tum Sakhi Ho Meyrey Mey Bhikaari Teyra Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Baa Adab Mey Madiney Mey Jaata Rahoon Kardo Aisee Du’a Khwaja e Khwaajgaan Shakir e Bey Nawaa Keh Rahaa Hai Yahi Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan

Chaayaa Hai Kaif Dil Par Qadmon Mey Baith Kar - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Chaayaa Hai Kaif Dil Par Qadmon Mey Baith Kar Hai Auj Par Muqaddar Qadmon Mey Baith Kar Khushboo e Mustafa Sey ‘Aalam Mehak Raha Hai Main Bhi Huwa Mu’attar Qadmon Mey Baith Kar Taskeen e Qalb Mujh Ko Phir Sey Huwi Hai Haasil Roodaad e Gham Sunaa Kar Qadmon Mey Baith Kar Kya Ab Bhi Meyrey Rab Ka Mujh Par Karam Na Hoga Pheyley Hain Haath Dar Par Qadmon Mey Baith Kar Taibah Mey Rehmaton Ki Baarish Baras Rahi Hai Deykha Hai Pyaara Manzar Qadmon Mey Baith Kar Ghaus o Raza Key Sadqey Khwaaja Piya Key Sadqey Iftaar Hai Mayassar Qadmon Mey Baith Kar Noor e Nabi Sey ‘Aalam Roshan Huwa Hai Shakir Dil Bhi Huwa Munawwar Qadmon Mey Baith Kar Sultan e Do Jahan Ka Tujh Par Karam Hai Shakir Aankhain Huwi Hain Phir Tar Qadmon Mey Baith Kar

Mujhey Meyrey Aaqa Bulaatey Rahaingey- Qari Rizwan - Naat Lyrics

Mujhey Meyrey Aaqa Bulaatey Rahaingey Madiney Ka Mangtaa Banaatey Rahaingey Dikhaa Sabz Gumbad To Boli Yeh Aankhain Key Palkon Key Moti Lutaatey Rahaingey Jinhey Ishq e Ahmed Ki Daulat Mili Hai Unhain Simt e Jannat Bulaatey Rahaingey Mujhey Qabr Ki Ab Nahi Koi Wehshat Huzoor Apna Jalwah Dikhaatey Rahaingey Hai Ai’zaaz Chaukhat Pey Baitha Hoon Unki Yeh Qaasim Hain Ne’mat Lutaatey Rahaingey Huwa Tum Pey Ramzan Mey Naazil Yeh Qur’an Sunain Gey Usey Aur Sunaatey Rahaingey Baney Wird e Salley ‘Alaa Jis Ki ‘Aadat Usey Apna Keh Kar Bulaatey Rahaingey Hai Shakir Ko Aaqa Karam Par Bharosa Yahaan Bhi Wahaan Bhi Bachaatey Rahaingey

Yaa Rasool Allah Shafqat Keejiye - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Yaa Rasool Allah Shafqat Keejiye ‘Aasiyon Par Nazr e Rehmat Keejiye Daafa’e Jumla Bala Hain Aap Hee Gham Ko Aaqa Jald Rukhsat Keejiye Roz e Mahshar Lub Pey Hogi Yeh Sadaa Shaafa’e Ummat Shafaa’at Keejiye Dar Key Tukron Sey Guzaara Hey Meyra Rizq Mey Meyri Bhi Wus’at Keejiye ‘Ilm e Naaf’i Ho ‘Ataa Mujh Ko Huzoor Door Mujh Sey Ab Jihaalat Keejiye Qalb Muztar Ki Sadaa Hai Bus Yahi Taibah Mey Madfan ‘Inaayat Keejiye Jaa Rahaa Hoon Phir Madiney Sey Huzoor Jald Phir Aaoon Woh Soorat Keejiye Daaman e Shakir Hey Pheylaa Ai Kareem Sadqa Acchon Ka ‘Inaayat Keejiye

Tum Pey Qurbaan Bulaaney Waaley - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Tum Pey Qurbaan Bulaaney Waaley Bakhtey Khufta Ko Jagaaney Waaley Naar e Dozakh Ka Nahin Khauf Mujhey Woh Salaamat Hey Bachaaney Waaley Koi Poochey Yaa Na Poochey Mujhko Shaah e Taibah Hey Nibhaaney Waaley Garmee e Hashr Se Ghabraaye Kyun Woh Hey Daaman Mey Chupaaney Waaley Teyrey Sadqey Mey Meyri Baat Bani Khotey Sikkey Key Chalaaney Waaley Kaif Jannat Ka Milaa Dar Pey Terey Kyaari Jannat Ki Dikhaaney Waaley Dey Key Leyna Nahi Aadat Teyri Mujhko Jannat Mey Bithaaney Waaley Hey Mareezon Ki Shifaa Na’at e Nabi Woh Hey Burdah Key Urhaaney Waaley Sharbat e Deed Pilaado Aaqa Jaam e Kausar Ke Pilaaney Waaley ‘Ilm e Naaf’i Ki Miley Bheek Mujhey Rub Ki Ne’mat Key Lutaaney Waaley Hogayi Qabr Munawwar Meyri Rukh e Anwar Key Dikhaaney Waaley Hogayi Phir Se Mayassar Chowkhat Mujhko Qadmon Mey Bithaaney Waaley Ban Gaye Merey Yahaan Bigrey Kaam Tum Ho Roton Ko Hansaaney Waaley Kufr Kaafir Sey Chutaa Mulk e Hijaaz Sham’e Tauheed Jilaaney Waaley Phir Chalaa Hoon Main Watan Ki Jaanib Jald Bulwaana Bul

Qismat Meyri Chamkaayi Hey Aaqa Ney Bulaakar - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Qismat Meyri Chamkaayi Hey Aaqa Ney Bulaakar Jholi Bhi Meyri Bhardee He Daataa Ne Bulaakar Bey Misl Sakhi Tum Ho To Main Adnaa Bhikaari Hasnain Ka Sadqa Do Mujhey Dar Pey Bithaa Kar Hey Aarzoo Itni Key Rahoon Dar Ka Hee Mangtaa Rakhna Merey Aaqa Mujhey Apnaa Hee Banaa Kar Apni Hee Nigaahon Ki Nigehbaani Mey Rakhna Iss Beykas o Majboor Ko A’daa Sey Bachaa Kar Keh Dijye Shaamil Hey Gulaamon Mey Tu Shakir Beytha Hoon Main Chowkhat Pey Yehi Aas Lagaa Kar ‘Jaaooka’ Sunaa Mey Ney Chala Aaya Main Aaqa Kar Dijye Bakhshish Ki Du’a Lub Ko Hilaa Kar Jub Hashr Mey Shakir Ho Pareyshaan To Maulaa Rakh Leyna Usey Apney Hee Daaman Mey Chupaa Kar

Yaa Rasool Allah Karam Yaa Habeeb Allah Karam - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Yaa Rasool Allah Karam Yaa Habeeb Allah Karam ‘Isyaan Mey Dooba Sar Basar A’maal Merey Hey Sifar Sadqe Mey Ghaus e Paak Key Kardo Karam Ki Eyk Nazar Yaa Rasool Allah Karam Yaa Habeeb Allah Karam Allah Ke Ho Tum Habeeb Dono Jahaan Ke Ho Tabeeb Sadqey Mey Ghaus e Paak Key Ho Rooh Ko Shifa Naseeb Yaa Rasool Allah Karam Yaa Habeeb Allah Karam Tum Ho Rasoolon Key Rasool Door Ho Ranj Aur Malool Sadqey Mey Ghaus e Paak Ke Karlo Gulaamon Mey Qabool Yaa Rasool Allah Karam Yaa Habeeb Allah Karam Shakir Kharaa Hey Ye Huzoor Uss Ke Mita Do Sub Qusoor Sadqey Mey Ghaus e Paak Key Daarain Mey Miley Suroor Yaa Rasool Allah Karam Yaa Habeeb Allah Karam

Mujrim Huwa Hey Haazir Jaali Key Saamney - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Mujrim Huwa Hey Haazir Jaali Key Saamney Nazrey Karam Ho Naazir Jaali Key Saamney Jurm o Gunaah Merey Had Se Siwaa To Kya Gham Bulwaa Liyaa He Aakhir Jaali Key Saamney Hasnayn Key Tasadduq Qismat Chamak Gayi Ab Mangtey Huwey Jo Haazir Jaali Key Saamney Ban Jaaye Uski Bigri Jis Par Nazar Hey Daali Iss Waastey Hoon Haazir Jaali Key Saamney Kyun Kar Phiroon Mey Dar Dar Jab Hoon Teyra Gadaagar Mangtaa Hoon Aagaya Phir Jaali Key Saamney Maqbool Hogi Beshak Har Eyk Du’aein Teyri Maangi Hey Jo Bhi Shakir Jaali Key Saamney

Shahey Deen Ki Meelad Ka Hai Maheena - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Shahey Deen Ki Meelad Ka Hai Maheena Nibhaaya Mujhey Aur Bulaaya Madinah Rahey Mujh Pey Rehmat Ka Aaqa Tasalsul Talab Ka Nahin Mujh Mey Daata Qareenah Mubarak Ho Yaum e Wiladat Mubarak Gulaamon Ki Jaanib Sey Aaqa Mubarak Khudaara ‘Ataa Ho Hamey Bhi To ‘Eidee Miley Ham Ko Shah Ki Taraf Sey Mubarak Nigah e Karam Mujh Pey Aaqa Ney Daali Dikhayee Mujhey Apney Rozey Ki Jaali Meyrey Dil Key Armaan Bhi Poorey Karaingey Nahin Lota Is Dar Sey Koi Bhi Khaali Mili Itnee Rif’at Key ‘Arsh e Bareen Par Nishaan e Qadam Hai Yeh Uss Ki Jabeen Par Mey Beytha Hoon Qadmon Mey Ab To Khudaara Parey Naqsh e Paa Meyrey Dil Ki Zameen Par Kharaa Hai Hawaadis Mey Shakir Tumhaara Bajuz Aap Key Ab Nahin Hai Sahaara Mitey Ranj o Gham Key Hain Jitney Bhi Baadal Karam Ka Karain Ab Khudaara Ishaara

Ghamzado Ki Sadaa Sunlo Aaqa Meyrey - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Ghamzado Ki Sadaa Sunlo Aaqa Meyrey Eyk Nigah e Karam Kardo Aaqa Meyrey Daag Seeney Ki Kis Ko Dikhaaye Huzoor Phir Ilaaj e Jigar Kardo Aaqa Meyrey Tishnagi ‘Ilm Ki Roz Barhti Rahey ‘Ilm e Naaf’e ‘Ataa Kardo Aaqa Meyrey Dil Ki Dharkan Sey Aaye Sadaa e Durood Kaif Aisa ‘Ataa Kardo Aaqa Meyrey Phir Chalaa Hoon Madiney Sey Rota Huwa Rabbey Sallim Du’a Kardo Aaqa Meyrey Izzat e Haazri Mujh Ko Milti Rahey Izn e Daayim ‘Ataa Kardo Aaqa Meyrey Haazir e Dar Huwa Shakir e Bey Nawaa Ma’af Jurm o Khataa Kardo Aaqa Meyrey Saa-il e Dar Huwa Shakir e Bey Nawaa Daaman e ‘Aasiyan Bhardo Aaqa Meyrey

Lab Pey Jaari Sadaa Kardo Aaqa Karam - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Lab Pey Jaari Sadaa Kardo Aaqa Karam Lab Pey Jaari Sadaa Kardo Aaqa Karam Dar Pey Pohcha To Dil Ney Kaha Barmalaa Ma’af Ho Sab Khataa Kardo Aaqa Karam Kis Ki Jaanib Chaloon Kis Ka Moonh Mey Takoon Chor Kar Dar Teyra Kardo Aaqa Karam Aap Haazir Bhi Hain Aap Naazir Bhi Hain Yak Nazar Soo e Maa Kardo Aaqa Karam Marz e Isyaan Sey Ab To Mey Choor Huwa Deydo Kaamil Shifa Kardo Aaqa Karam Kaun Deyta Hai Deyney Ko Moonh Chaahiye Haath Phailaa Diya Kardo Aaqa Karam Saa-il e Dar Huwa Shakir e Bey Nawaa ‘Ilm e Naaf’e ‘Ataa Kardo Aaqa Karam Jaaliyon Key Qareeb Shakir e Khush Naseeb Aankh Kardee Hain Nam Kardo Aaqa Karam

Karam Hee Karam Hai - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Karam Hee Karam Hai Karam Hee Karam Hai Karam Hee Key Sadqey Sey Qaayam Bharam Hai Meyrey Dil Shikasta Ki Aahain Suno Tum Tumhaarey Hee Rab Ki Tumhain Ab Qasam Hai Baras Jaayain Cheetain Mitey Dil Key Dhabbey Tumhaarey Tasarruf Mey Abr e Karam Hai Kahoon Kis Sey Jaa Kar Mey Gham Ki Kahaani Meyrey Roobaroo Aap Hee Ka Haram Hai Mujhey Apney Dar Par Bulaatey Hee Rehna Tumhaari Hee ‘Aadat To Jood o Karam Hai Gunaahon Mey Dooba Hai Shakir Bechaara Nibhaatey Ho Phir Bhi Yeh Shaan e Karam Hai Shafa’at Ka Saa-il Hai Shakir Tumhaara Siwa Kaun Terey Shafee’ e Umam Hai

Sarkaar e Do ‘Aalam Ki Nazar Mujh Pey Paree Hai - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Sarkaar e Do ‘Aalam Ki Nazar Mujh Pey Paree Hai Pohchaa Hoon Wahan Khuld e Bareen Ki Jo Gali Hai Aaya Jo Madiney Mey To Qismat Ney Pukaara Bigri Huwi Taqdeer Yahan Aakey Banee Hai Qadmon Ko Zara Hosh Sey Is Khaak Pey Rakhna Yeh Koo-e-Nabi Hai Arrey Yeh Koo-e-Nabi Hai Mehshar Ki Karee Dhoop Ka Khatka Nahi Mujh Ko Chaadar Merey Sarkaar Key Geysu Ki Tanee Hai Lillah Mujhey Apna Rukhey Zaibaah Dikhaado Palkon Mey Meyri Deed Ki Khaatir Namee Hai Aaqa Key Dar e Paak Key Mangtey Hain Malaa-ik Maayoos Nahi Koi Yeh Darbaar e Nabi Hai Dey Daaliye Mujh Ko Bhi Ghulaami Ki Sanad Ab Bakhshish Ko Merey Shah Yeh Khairaat Baree Hai Shab Rotey Huwey Sajdey Mey Sarkaar Guzaarain Ummat Ki Ho Bakhshish Yahi Armaan e Nabi Hai Allah Ko Mehboob Sey Kitni Hai Mohabbat Haan Taaha Wa Yaaseen Mey Asraar e Jali Hai Bulwatey Rahey Mujh Ko Madiney Mey Hameysha Ummeed Meyri Aap Sey Sarkaar Yahi Hai ‘Aalam Mey Musalmaan Pareyshaan Hain Pareyshaan Bey Cheyn Nazar Aap Key Dar Pey Hee Jamee Hai Maangey Hee Chaley Jaao Ya

Mujh Ko Taibah Bula Hee Leytey Hain- Qari Rizwan - Naat Lyrics

Mujh Ko Taibah Bula Hee Leytey Hain Apna Mangta Banaa Hee Leytey Hain Merey Haalaat Unpey Hain Roshan Tab To Bigri Banaa Hee Leytey Hain Koi Husn e ‘Amal Nahi Phir Bhi Meyrey Aaqa Nibhaa Hee Leytey Hain Jab Taraptaa Hai Deed Ko Koi Apna Jalwa Dikhaa Hee Deytey Hain Apney Shakir Ki Laaj Rakhtey Hain Apna Mehmaan Banaa Hee Leytey Hain

Aaya Hoon Ban Key Saa-il Sultan e Do Jahaan - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Aaya Hoon Ban Key Saa-il Sultan e Do Jahaan Rehmat Ho Phir Sey Maa-il Sultan e Do Jahaan Izzo Waqaar Deydo Islam o Muslimeen Ko Mit Jaayain Saarey Baatil Sultan e Do Jahaan Beykas Hoon Naatawaan Hoon Dar Par Mey Aagaya Hoon Mo’min Banaado Kaamil Sultan e Do Jahaan Maujon Key Ranj o Gham Mey Kashti Hai Yeh Phansee Hai Mujh Ko ‘Ataa Ho Saahil Sultan e Do Jahaan Apni Wilaa Mey Mujh Ko Aisa Guma Do Aaqa Khud Sey Rahoon Mey Gaafil Sultan e Do Jahaan Duniya Key Shar Sey Mujh Ko Behr e Khudaa Bachaalo Daaman Mey Karlo Daakhil Sultan e Do Jahaan Ban Key Gadaa Hoon Haazir Nazr e Karam Ho Naazir Deedaar Ab Ho Haasil Sultan e Do Jahaan Jumla Muballigeen Ko Khairaat e ‘Ilm Deydo Sunnat Key Sab Ho ‘Aamil Sultan e Do Jahaan Tehreek Sunni Dawat e Islami Ko Hameysha Nazron Mey Karlo Shaamil Sultan e Do Jahaan Shaikheen Ka Tasadduq ‘Ilm e Ladunni Deydo Khashiyat Ho Rab Ki Haasil Sultan e Do Jahaan Dar Pey Bulaatey Rehna Bigri Banaatey Rehna Izzat Rahey Yeh Haasil Sultan e Do Jahaan Giryan Hai Qalb e Sh