Posts

Showing posts with the label Naat

Kamli wale a’amil mera tarpe hai dil gham bulana - Naat Lyrics

Kamli wale a’amil mera tarpe hai dil gham bulana Yaa Muhammad main tera dewana Tu ne arshe muala pei ja kar aur a’azaboun se ummat pacha kar Saans sukh ka liya saair-e-Jannat kiya – Jawaana Yaa Muhammad main tera dewana Tere dar pei main aya sawali chomoun Sabz-Gumbad ki main jali Main darood paraan seine Jali laga Sakhi Sultana Yaa Muhammad main tera dewana Tere dar pei main aya sawali dena khair na moor na khali Main houn mangta tera tu hai daata mera khair pana Yaa Muhammad main tera dewana Tere Ka’abe dei gird chofere lagaye Hajiaan chakkar batehre Sab tovaaf karan nale nafal paraan bosa laana Yaa Muhammad main tera dewana

Kamli walay kay karam ki bat hay - Naat Lyrics

Kamli walay kay karam ki bat hay warna mujh mangtay ki kia auqat hay mehr o mah or kehkashan ki roushni husn-e-Ahmad :sawas; ki yeh sab khirat hay kalama partay hein teara shajr o hajar bass khuda kay baad teari zaat hay shan kay hamil hen saray ambiya Mearay aaqa :sawas; ki magar kia baat hay ! jab parhi shahid nay naat -e- Mustafa :sawas; jhoom uthi bazam usskay sath hay yeh sab mearay, kamli walay kay karam ki baat hay

Kamli wala aa gaya - Naat Lyrics

Aashiqon khusiyan manaow Kamli wala aa gaya Rabb-e-sallim gun gunaao Kamli wala aa gaya Chehra-e-walfajr sey aur gaysuey wal-layl sey Dil ko aiinah banaao Kamli wala aa gaya Jhuk geya sajdey mey baitullah bhi ta’zeem ko Ab diyey dil ko jalaao Kamli wala aa gaya Gode main ley kar Halima Sadiyah ne yuun kahaa ‘Azmatun key geet gaao Kamli wala aa gaya Jashn-e-Milaad-un-Nabi main un key zikr-e-paak sey Najdioon par qehr dhaao Kamli wala aa gaya Chaand suraj aur sitaro kehkashaan ard-o-falak Rowshani apni barhaao Kamli wala aa gaya Ya Rasulullah ka na’rah lagaa kar sunnio Apney dushman ko bhaghaao Kamli wala aa gaya Tum bhi Nustrat Na’imi mahfil-e-milaad main phool naatoun key khilaaow Kamli wala aa gaya

Kamli waale ki mahfil saji hai - Naat Lyrics

Rukh pe rahmat ka jhumar sajaa’ey Kamli waale ki mahfil saji hai Mujh ko mahsus youn ho raha hai Un ki mahfil main jalwha garii hai Naat husn-e-shah-e-do saraa hai Naat hi zikre rabb-e-jalli hai Naat likhna meri zindagi hai Naat kehna meri bandagi hai Mufliso tum agar chah’te ho Ho ziyaarat dar-e-Mustafa kii Dil ki janib nigaahein jhukaa lo Samne Mustafa ki galii hai Mujh jo fikr-e-shifaa’at ho kyoun kar Do kariimoon ka sayah hai sar par Ik taraf rahmat-e-Mustafa hai Ik taraf lutf-e-rab-e- ’Ula hai Wuh smaa kissa zishan ho ga Jab khuda Mustafâ se kahein ge Ab to sajde se sar ko uthaa lein Aap ki sarii ummat barii hai Dil ke gulshan ki mehkein fizaa’ein Wajd main hain Niyaazi hawaa’ein Un ke husn-e-tasuwwur se merey Dil ke abaad baraah darii hai

Kaliyaan zulfaa wala - Naat Lyrics

Kaliyaan zulfaa wala dukhi dilla daa sahaara Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara Dassa ki main Mustafadi kaydi sohnii shaan hain Aap di tareef which saara hee Qur’an hai Parh kay tu weykh jeyra marzi sipaara Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara Kar kay du’aa sohna suraj nu – mowrdaa Aapay chan tordaa toh aapay chan jooradaa Bigari bana – yai meray nabi da ishaara Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara Eyda sohna nabi koyi duniya thay aaya naheen Yaar ey ho jiyaa koyi raab nay banaa – yaa naheen Deed meray nabi di hai ran daa nazaara Qassam khudaa dii maynoon sab naloon pyaara Kalyaan zulfaa wala dukhi dilla daa sahaara Qassam khuda dii maynoon sab naloon pyaara

Ka’abay Kay Dar Kay Saamnay Maangee Hai Ye Dua Faqat - Naat Lyrics

Ka’abay Kay Dar Kay Saamnay Maangee Hai Ye Dua Faqat Haathon Mein Hashar Tak Rahay Daaman-e-Mustafa Faqat Apnay Karam Say Ae Khuda Ishq-e-Rasool Kar Ataa Aakhree Dum Subaan Pay Ho Sallay A’la Sadaa Faqat Tayba Kee Sayr Ko Chalein Qadmon Mein Unki Jaan Dein Duffan Hoon Unkay Shehar Mein Hai Yehee Iltija Faqat Duniya Kee Saari Ne’ymatein Meri Nazar Mein Hainch Hoon Rakhnay Ko Sar Pay Gar Milay Na’lein-e-Mustafa Faqat Munkar Nakeer Qabar Mein Hum Say Sawaal Jab Karein Aisay Mein Wird Hum Rakhein Aap Kay Naam Ka Faqat Naza’a Kay Waqt Jab Meri Saanson Mein Intishaar Ho Meri Nazar Kay Saamnay Gumbad Ho Woh Hara Faqat Na’at-e-Rasool-e-Paak Hai Nazmi Ka Maqsad-e-Hayaat Qabr Mein Bhi Laboon Pay Ho Sarkaar Kee Sana Faqat

Kaa’be pei pari jab pehli nazar - Naat Lyrics

Kaa’be pei pari jab pehli nazar kya cheez hai Duniya bhul gayi Youn hosh-o-khard maflooj hote Dil zook-e-tamasha bhul gayi Ahsaas ke parde lehraye imaan ki haraarat teezi hoyi Sajdoun ki tarap Allah Allah sar apna sooda bhul geya Poncha jo Haram ki Chookhat tak aik ibre karam ne gheer liya baqi na raha phir hosh mujhe kya mangha aur kya kya bhul geya Jis waqt dua’a ko haat uthe yaad na saka jo socha tha Izhaar-e-aaqeedat ki dahan mei izhaar-e-tamana bhul geya Har waqt barasti hai hai rehmat kaa’be mein Jameel Alllah Allah Khaki houn main kitna bhul geya aati houn main kitna bhul geya

Jo Shehr-e-Nabi may jaey ga - Naat Lyrics

Jo Shehr-e-Nabi may jaey ga Wo waapis kaisey aaey ga Jab bichray gaa mar jaey ga Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Dukhiyoo ka ghamkhaar wohi hay Aalam ka mukhtaar wohi hay Hay har aik baat kareenay may Aik dard rahey ga seenay may Hay jis ki jaan Madine may Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Ruumi Habshi, Misri shaami Ho jaawey Maula na jaa we koi khaaki hay ya nuuri hay kab us ko gawaara duuri hay Har aashiq ki majbuuri hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Sab ki aankein baras rahi hain Sab ki nazrein taras rahi hain Jo aap ka sag kehlaata hay Jo aap kay tukray khaata hay Jo dekh kay taiba ata hay Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Koun uss Shehr ki baat sunaey Khud Quraan qaseedeh gaey Rehmat kay ajab ja millay hain Husnain jahaa per khailay hain Jissay yaad wahaa kay mailay hain Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr Madina bhulna nae Ono Shehr.. Jan

Jitna mere khuda ko hai mera nabi aziz - Naat Lyrics

Jitna mere khuda ko hai mera nabi aziz konain me kisi ko naho ga aziz kiyu jaye hum kahi ke ghani tum ne kar diya ab to ye dar pasand ye ghar ye gali aziz jo kuch teri riza hai khuda ki wahi khushi jo kuch teri kushi hai khuda ko wahi aziz khak-e-madina par allah mout de wo murda dil hai jisko na ho zindagi aziz shan-e-karam ko ache bure se gharaz nahi use sabhi pasand hai use sabhi aziz mangta ka haat utha to madina hi ki taraf tera hi dar pasand teri hi gali aziz konain de diye hai tere iqteyaar me allah ko bhi kitni hai qatir teri aziz mahshar me do jaha ko khuda ki khushi ki chah mere huzoor ki hai khuda ko hai khushi aziz quraan kha raha hai usi haat ki qasam hum kon hai khuda ko hai teri gali aziz taiba ke hote khuld-e-bari kiya karu HASSAN mujh ko yehi pasand hai mujh ko yehi aziz

Jiss ka koii saani nahiin wo nabi hamara hei - Naat Lyrics

Jiss ka koii saani nahiin wo nabi hamara hei Mustafa ki azmat ka had hei na kinaara hei Jo habeeb-e-daawar hei jo makeen-e-khizra hei Sayyadah ka baba hei aamina ka pyaara hei Aap ki hi chokhatt ke ya nabi bikaari hein Aap hi ke ttukrron pe ya nabi guzaara hei Zor par ho tufaan bhi or ddagmaga-ai nayya bhi Aap gar karam kar dain to saamne kinaara hei Iss umeed par mein bhi aa kharra hun chokhatt par Wo kabhi to poochain ge kon gham ka maara hei Bhoole na niyaazi kabhi bhool kar bhi yaad-e-nabi Un ko bhool jaana hi asal main khasaara hei

Jis Taraf Chash’me Muhammad Ke Ishaare Ho Gaye - Naat Lyrics

Jis Taraf Chash’me Muhammad Ke Ishaare Ho Gaye Jitne Zarre Saamne Aaey, Sitaare Ho Gaye Ya Muhammad Aap Ki Nazaro(N) Ka Yeh Ijaaz Hai Jis Taraf Nazarei(N) Uthi(N), Sab Tumhaare Ho Gaye May(N) Hoo(N) Aur Yaadei(N) Madinah Aur Hai Tanhaaiyaa(N) Apne Begaane Sabhi Mujh Se Kinaare Ho Gaye Apni Kamli Ka Zara Saayaah Inaayat Ho Mujhe Dil Ke Dushman Ja, Muhammad Dil Se Pyaare Ho Gaye Sabz Ghumbad Ke Ishaare, Sagar Marhaba Jag Maga Kar Zindagi Ke Maah Paare Ho Gaye

Hamme Jashne Nabi se pyar hai - Naat Lyrics

Mubarak ho Mohammad Mustafa tashreef lei aye Abbhie Jibreal utre bhi na the Ka’abe ke mimbar se Ke itne mein sada ayi ye Abdullah ke ghar se Jashne Nabi se pyar hai Hamme Jashne Nabi se pyar hai Aamad hai mebhoob-e-Khuda ki Sab ka bera paar hai Tahashar sada gunje ghi youn sale ala ke tarane Aate hai Horu Malaik aamad ka jashane manane Seine pei tasveere Madina Rab pei darood kaha hai Mitha hai naam-e-Mohammad mithi hai in ki boli Deedar-e-Mohammad karne aye Nabiyoun ki toli Aalaane Khuda khud karta hai ye mera shahkaar hai Jab Rehmat ban kar aya wo Amina Bi ka pyara Hai donno jahan mein chamka wo Arsh bari ka tara Mera Aqa Noor hedayat ka roshan minaar hai Dar dar na jao gadao Sarkar se mang ke dekho Gham mith jaye gei sare gham khaar se mang ke dekho Dei de gein Hasnaain ka sadqa ye to sakhi darbar hai Hazir Nazir hai Aqa bas ye mera imaan hai Tum kalma par ke dekho kalma is ki pehchaan hai Aane uthe ke dekh zara khud Rab ka ye iqraar hai Wara faana la ka zikrak ki Quraan bhi sada de

Jashan-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah - Naat Lyrics

Jashan-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah Bibi Amena ke phool Allahi Allah Noor ki tann gaeen chaadrain chaarsoon Hoor-o-gilmaan ki poori hoii arzoo Mustafa mujtaba shah-e-kono mukaam Rub ki sarkaar jub hogaey roh baroh Phir khuda ne khaha mere mahboob tum Ho rasuloon ke rasool Allahi Allah Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah Bibi Amena ke phool Allahi Allah Chehra-e-Mustafa jub dikhaya gaya Jhook gaye taarey aur chaand sharmaa gaya Amena dekh kar muskuraney lageen Hawwa Mariyam bhi khoshiyaan banaaney lageen Amena bibi sub se kehney lageen Duaa hogaii kabool Allahi Allah Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah Bibi Amena ke phool Allahi Allah Farsh se arsh tak noor ka hai samaa Laaey tashreef doniyan main khair-ul-waraa Aasi ummat ki kismal sawarney lagii Barishain rehmatoon ki barasney lageen Ay Haleema teri looriyoon keyliye Rub ke aagaey rasool Allahi Allah Allahi Allah Bolo Allahi Allah Rub ke aagaey rasool Allahi Allah Jashn-e-Amad-e-Rasool Allahi Allah Bibi Amena ke phool Allahi Allah Boodd

Jannat Mein lay kar jaey ghi Chahat Rasool ki - Naat Lyrics

Jannat Mein lay kar jaey ghi Chahat Rasool ki Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki Chalta hoon mein be Qafelay walo ruko zara Milnay do bus mujhay be Ijazat Rasool ki Phochay Jo Din-o-Iman Nakerain Qabr mein Us waqt meray lab pay ho Midhat Rasool ki Tarpa kay un kay Qadmo mein mujh ko Gira day Shok Jis waqt ho lahad mein Ziyarat Rasool ki Sarkar nay bula kay Madina dikha dia Ho ghi mujhay naseeb Safa”at Rasool ki Ya Rab dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habib Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki Damen mein un kay lay lo pannah Aaj munkiro Mahengi paray ghi warna Adawat Rasool ki To hai Ghulam Un ka Ubaid-e-Raza teray Mahshar mein ho ghi saath Himayat Rasool ki Kyun kar na meray dil mein ho Ulfat Rasool ki Jannat mein lay kay jaey Ghi Chahat Rasool ki

Jalwa-e-Janaan - Naat Lyrics

Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini Na Koi Aap Sa Ho Ga Na Koi Aap Jesa Tha Koi Yusaf Say Poochay Mustufa Ka Husn Kesa Tha Zameen-o-Aasmaan Main Koi Bhi Misaal Na Mili Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan Ala Habibika Khairi Khlaqi Kulli’ini Daleel-e-Zindagi Wo Hain Kamaal-e-Bandagi Wo Hain Koi Bhi Daur Ho Us Main Meraj-e-Aadmi Wo Hain Wohi Toh Deen-o-Duniya Hai Jo Baatain Aap Nay Kahin Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan Jalwa-e-Janaan, Jalwa-e-Janaan Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan Ala Habibika Khairi Khlaqi Kull’ini Rasulullah Habibulllah Imam Al Mursaleen Rasulullah Habibulllah Imam Al Mursaleen Koi Bhi Baat Ho Har Hukm Unka Mutabar Aisa Kay Un Ka Haan Nahin Kehna Bhi Hai Quran Kay Jesa Hadith-e-Paak Kehlaain Jo Baatein Aap Nay Kahin Maula Yaa Salli Wa Sallim Da’aiman Abadan Ala Habibika Kha

Jaldi ham aazmi-e-gulzar-e-madina honge - Naat Lyrics

Jaldi ham aazmi-e-gulzar-e-madina honge aazmi-e-dargah-e-sarkar-e-madina honge ab to noorani chaman zaar-e-madina honge samne ab mere kohsar-e-madina honge sabz gumbad ki waha khub bahare hongi rubaru phir mere minar-e-madina honge wajd aajaiga khismat ko bhi us dam walla samne jab mere sarkar-e-madina honge unki rahmat se jo miljai baqi-e-markhad bil haqeeqat qabr me anwar-e-madina honge hashr ka qouf na rakho aae ghulam-e-nabi apne haami waha sarkar-e-madina honge unko haasil mere aqa ki shafaat hogi jo koi hazir-e-darbar-e-madina honge mere sarkar ka aaiga bulawa unko jo koi dil se talab gaar-e-madina honge hashar me jainge ATTAR yu inshallah apni darhi me saje haar-e-madina honge

Jagaa do meri qismat bhi khudara Ya Rasulullah - Naat Lyrics

Jagaa do meri qismat bhi khudara Ya Rasulullah Dikhado mujh ko rozah ka nazarah Ya Rasulullah Meri duniya sanwar jaey meri ‘uqba sadhar jaey Agar ho jaey Rahmat ka isharah Ya Rasulullah Tumahara naam-e-naami hai sukoon-e-qalb ka ba’is Nazar ka noor hai rozah tumhara Ya Rasulullah Zamanah choot jaey ruth jaey khalq to kya gham Na choote haath sey daman tumharah Ya Rasulullah Jabeen-e-showq mas hoti hai jab rowzah ki jaali sey Chamak jata hai qismat ka sitarah Ya Rasulullah Tamana-e-Sikandar hai dam-e-aakhar Shah-e-Bat-ha Rahey wird-e-zuban kalmah tumhara Ya Rasulullah

Jab masjid e nabvi kay miinaar nazar aa-ay - Naat Lyrics

Jab masjid e nabvi kay miinaar nazar aa-ay Allah ki rahmat kay aasaar nazar aa-ay Manzar ho bayaan kesay alfaaz nahiin miltay Jiss waqth muhammad ka darbaar nazar aa-ay Bas yaad raha itna siinay say lagi jaali Phir yaad nahiin kya kya anwaar nazar aa-ay Dukh dard kay maaron ko gham yaad nahiin rehtay Jab saamnay aankhon kay gham-khuar nazar aa-ay Makkay ki fiza-on mayn teba ki hawa-on mayn Ham nay to jidhar daykha sarkaar nazar aa-ay Chhorr aaya zahoori meyn dil o jaan madinay mayn Ab jiina yahaan mujh ko dushwaar nazar aa-ay

Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa - Naat Lyrics

Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa, Anwaar Ka Alam Kya Hoga Har Koee Fida Hai Bin Dekhe, Deedaar Ka Alam Kya Hoga Ek Simt Ali Ek Simt Umar, Siddiq Idhar Uthmaan Udhar In Jug Mug Jug Mug Taraun May, Sarkaar Ka Alam Kya Hoga Jis Waqt Haleemah Ki Godi, Anwaare Khuda Say Raushan Thi Us Waqt Haleemah Daee Kay, Ghar Baar Ka Alam Kya Hoga Jab Inke Gada Bhar Detay Hain, Shahaanay Zamana Ki Jholi Mohtaaj Ka Jab Yeh Alam Ha, Mukhtaar Ka Alam Kya Hoga Chahay To Ishaaraun Say Apne, Kaya Hi Palat Day Duniya Ki Yeh Shaan Hai Unke Ghulamau’n Ki, Sardaar Ka Alam Kya Hoga Sun Sun Kay Sahaba Ki Batein, Kuffar Musalmaan Hotay Thay Phir Mere Rasool-E-Akram Ki, Guftaar Ka Alam Kya Hoga Taibah Say Hawaein Atee Hai Baikal Ko Sukoon Mil Jata Hai Iss Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Uss Paar Ka Alam Kya Hoga

Jab gunmbaday Khuzra pae woh pehli nazar gae - Naat Lyrics

Jab gunmbaday Khuzra pae woh pehli nazar gae, Ankhon k rastay meray dil main utar gae, sir hum tha lab thay khamosh thay ankhain thi ashkbar ik saate baydar thi jo ke ghur gae Ankhon k rastay meray dil main utar gae, main barish-e-karam main naha sa gaya udhar woh barish-e-karam meray dama ko bhar gae dil bhi hai shad shad tabiayt hai pur bahar lagta hai aj meri madinay khabar gae ho na ho aj kuch mera zikr huzoor main hua warna meri taraf khushi dekh k muskurai kyun taiba se lautna kisi ashiq se poochiye aisa hai jaisay rooh badan se guzar gae