Posts

Showing posts with the label qaririzwan

Naat Sunta Rahoon Naat Parhta Rahoon - Naat Lyrics

Naat Sunta Rahoon Naat Parhta Rahoon Aankh Purnam Rahay Dil Machalta Rahay Najm-E-Naam-E-Muhammad Zuban Par Rahay Zikr Hota Rahay Saans Chalti Rahay Baisaharoon Ka Koi Sahara Nahin Mustafa Kay Siwa To Guzara Nahin Unki Chasm-E-Karam Ho To Kuch Ghum Nahin Chahay Sara Zamana Badalta Rahay Ishq Ahmad Si Duniya Main Naimat Nahin Mal O Zar Ki Bhi Koi Haqiqat Nahin Badshaoon Say Behtar Bhikari Hai Woh Unkay Dar Pay Tukrhoon Pay Jo Palta Rahay Kiya Bhala Asakay Zindagi Kay Mazay Door Reh Kar Habib-E-Khuda Say Mujhay Uski Halat Karoon To Karoon Kia Biyan Har Ghari Jo Furkat Main Jalta Rahay Yeh Dua Hai Salamat Sada Ghum Rahay Ta Abad Rab Tais-E-Qayam Rahay Aatishay Ishq Har Dum Bharhakti Rahay Khoon Roota Rahoon Dil Pighalta Rahay Mustafa Ki Nazar Jis gharhi Ho Gaee Uski Takdeer Khoti Khari Hogaee Usko Thukrae Sara Jahan Bhi Agar Girne Wala Magar Phir Sanbhalta Rahay Najm Ki Ae Khuda Aarzoo Hai Yehi Aashiq-E-Zaar Ki Aabroo Hai Yehi Aakhri Waqt Sar Unkay Kadmoon Pay Ho Deed Hoote Rahay Dum Nika

Mowla Ya Salli Wasallim Daaeman Abadan - Naat Lyrics

Mowla Ya Salli Wasallim Daaeman Abadan A’la Habibi ka Khayril Khalqi Kullihimi Alhumdo Lillaahe Munshil Khalqe Min Adami Shum Mas Salaato Alal Mukhtaare Fil Qadami Muhammadun Sayyedul Kawnaïni Wa-thaqalaïni Wal Fareeqaïni Min Urbiw Wa Min Ajami Amin Tazak Kore Jiraanim Bezi Salaami Mazajta Dam-An Jara Mim Muqlatim Bedami Fama Le Ay Nay Ka In Qultak Fofa Hamata Wama Le Qalbe Ka Inna Qultastafiq Yahemi Fa Kayfa Tunkero Hubbam Ba’ada Ma Shahedat Behi Alayka Udulud Damaey Was Saqami Astagferul-Laaha Min Qawlim Bela Amaalin Laqad Nasabto Behi Naslal Lezi Ooqomi Nabiyyonal Aameerun Naahi Falaa Ahadunn Abarra-Fi Qawli La Minhu Wa laa Na’Aami Huwal Habibul-Lazi Turja Shafaa’-Atohu Li Kulli Hawlim-Minal Ahwaali Muqtahimi Da’aa Ilal Laahee Fal Mustamsi Kuna Bihi Mustamsi Kuna Be Habli Ghaïrinn Munfaswimi Kaz Zahre Fi Tarafin Wal Badre Fi Sharafin Wal Bahre Fi Karamiw Wad Dahre Fi Hemami Ya Akramal Khalqe Maliman Aluzo Behi Siwa Ka Inda Hululil Hadesil Amami Wal Aale Was Sahbe Summat Tabe-Eena La

Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukre Muhammad Ke - Naat Lyrics

Image
Meri jholi mein rehte hain sada tukde Muhammad ke Azal se kha raha hai ye gada tukhe Muhammad ke Padi hai kya mujhe shahon ke dar se jaake mai maangun Khilata hai mujhe mera Khuda tukde Muhammad ke Meri jholi mein rehte hain sada tukde Muhammad ke Padi hai kya mujhe shahon ke dar se jaake mai maangun Khilata hai mujhe mera Khuda tukde Muhammad ke Meri jholi mein rehte hain sada tukde Muhammad ke Inhe khaakar Abu Bakr o Umar Usman bante hain Ye rutbe mein hain kuch aise juda tukde Muhammad ke Meri jholi mein rehte hain sada tukde Muhammad ke Hain shehre ilm khud Aaqa Ali hain uska darwaza Tu darwaza se aa aur khaeja tukde Muhammad ke Meri jholi mein rehte hain sada tukde Muhammad ke Azal se kha raha hai ye gada tukhe Muhammad ke Mere Maula Ali o Fatima Hasnain ke sadqe Meri naslon ko bhi karna ata tukde Muhammad ke Meri jholi mein rehte hain sada tukde Muhammad ke Sallallahu Ala Mohammad Sallallahu Alayhi Wa Sallam

Mehboob Ki Mehfil Ko Mehboob Sajate Hain - Naat Lyrics

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Woh Log Khuda Shahid, Qismat Ke Sikandar Hain Jo Sarware Alam Ka, Milad Manate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Aqa Ki Sanah Khwani, Dar Asl Ibadat Hai Hum Naat Ki Surat Mein, Qur’an Sunate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Jin Ka Bhari Duniya Mein, Koi Bhi Nahin Wali Unko Bhi Mere Aqa, Sine Se Lagate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Jo Sarware Alam Ko, Lajpal Samajhte Hain Daman Talab Bhar Kar, Mehfil Se Woh Jate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Me-khwaro Chaley Jana, Me-khwanae Sarwar Mein Woh Jamey Talab Sab Ko; Bhar, Bhar Ke Pilate Hain Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain Allah Ke Khazanon Ke, Malik Hain Nabi Sarwar Yeh Sach Hai Niya

Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga - Naat Lyrics

Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Ke Jhoom Jhoom Ke Naat-e-Nabi Sunaunga. Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba. Wiladat-e-Shah-e-Deen Ka Maheena Aaya Hai Galli Makaan Dukaan Aaj Sab Sajaunga Ke Jhoom Jhoom Ke Naat-E-Nabi Sunaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga. Khuda Ke Fazl Se Phir Baarvi Ki Raat Aayi Dil-e-Hazi Mein Khushi Ke Diye Jalaunga Ke Jhoom Jhoom Ke Naat-e-Nabi Sunaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Jhoom Jhoom Ke Sare Bolo Marhaba Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Main Jashn-e-Aamad-e-Sarkar Youn Manaunga Julus-e-Jashn-e-Wiladat Mein Ehteraam Ke Saath Qadam Qadam Pe Duroodon Ke Gul Khilaunga Ke Jhoom Jhoom Ke Naat-E-Nabi Sunaunga Main Jashn-e-Aam

Main Madinay chala - Naat Lyrics

Main Madinay chala, Main madinay chala main Madinay chala, main Madinay chala phir karam ho gaya, main Madinay chala saqia may pila, main Madinay chala mast-o-bay khud bana, main Madinay chala Kaif sa cha gaya, main Madinay chala jhoomta jhoomta, main Madinay chala main Madinay chalamain Madinay chala Ashk thamtay naheen, paon jamtay naheen larkharata huva, main Madinay chala main Madinay chalamain Madinay chala mairay Aqa ka darr, ho ga paish-e-Nazar, chahiaye aur kia, main Madinay chala main Madinay chalamain Madinay chala phir karam ho gaya, main Madinay chala phir karam ho gaya, main Madinay chala mairay ganday qadam, aur unka Haram Laaj rukhna Khuda, main Madinay chala main Madinay chala main Madinay chala Rooh-e-Muztarr ththehar, tu nikal na udhar itni jaldee bhee kia, main Madinay chala phir karam ho gaya,main Madinay chala Haath uthhte ruhay, mujh ko daitay ruhay voh talab say siva, main Madinay chala kia keray ga idhar, bandh rukht-e-safar chal Ubaid -e-Raza, main Madinay chal

Madine ko jaaen yeh jee chahta hai - Naat Lyrics

Madine ko jaaen yeh jee chahta hai Muqaddar banae yeh jee chahta hai Madine ke AQA do alam ke Maula Tere pas aein yeh jee chahta hai Jahaan dono alam hai mahu taman’na Wahaan sar jhukane ko jee chahta hai Dilaun se jo nikle Diyare Nabi me Sune woh sadein yeh jee chahta hai Muhammed ki batein Muhammed ki Sirat Sune aur sunae yeh jee chahta hai Dare Pak ke saamne dil ko thame Kare hum duain yeh jee chahta hai Pahunch jae behzaad jab hum Madine To khud ko na payein yeh jee chahta hai

Lam yaati naziiru kafi - Naat Lyrics

Lam yaati naziiru kafi nazarin mislay to na shud peda jaana Jag raaj ko taaj toray sar sohay tujh ko shahay do saraa jana Al bahru ala wal mowju tagha man baykas o tufaan hoash ruba Manjdhaar mayn huun bigrri he hawa mori nayya paar laga jaana Ya shamsu nazar ti ilaa leyli chuba teyba rasi arzay bakuni Tori joat ki jhaljhal jag mayn rachi mayri shab nay na din hona jaana Laka badrun fil wajhil ajamal hat haala e mezulf abr e ajal Toray chandan chandar par wo kundal rahmat ki barsan barsa jaana Ana fi ata shiunw wasahaka atam eh gaysu-ay paak eh abr e karam Barsan haaray rim jhim rim jhim do buund idhar bhi ghiraa jaana

Ik roze ho gaa jaanaa sarkar ki gali main - Naat Lyrics

Ik roze ho gaa jaanaa sarkar ki gali main, Ho ga khabi tikanaah sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ki gali main, Ankhein tu dekhne ko pehley hi muztarib theen, Dil bhi huwaa ruwanaa sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ki gali main, Go paas kuch nahi hai lekhan yaa dekh lay gaa, Ik din hamien zamaanah sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main, Kabhi ho haseen tasawar khabi khud main jaaoon chal kar, Rahe yuunhi aanaa jaanaa sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main, Hain kaheen khazaan ke pehray kaheen do gharhii bahaaray, Mosam sadaa suhana sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main, Dil main nabi ki yaadien lab pe nabi ki na’tein, Jaanaa tu aese jaanaa sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main, Samjhein gey ham Niazii un ki karam nawaazi, Jis din huwey rawaanah sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main.

Khus rawi achhi lagi na sarwari achhi lagi - Naat Lyrics

Khus rawi achhi lagi na sarwari achhi lagi, Khus rawi achhi lagi na sarwari achhi lagi, Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi, Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi, Door thae to zindagi be rang thi be kaef thi, Door thae to zindagi be rang thi be kaef thi, Un kae kuche mae gayai to, Un kae kuche mae gayai to, Zindagi achhi lagi, Un kae kuche mae gayai to, Zindagi achhi lagi, v Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi, Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi, Mae na ja unga ka hi be, Daar nabi ka chour kar, Mae na ja unga ka hi be, Daar nabi ka chour kar, Muj ko kuwe Mustafa ki, Muj ko kuwe Mustafa ki, Jha kari achhi lagi, Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi, Naaz kar tu ae Halima sarwarae konane par, Naaz kar tu ae Halima sarwarae konane par, Ghar lagi achhi to teri, Ghar lagi achhi to teri, Jhoupari achhi lagi, Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi Ham faqiron ko Madine ki gali achhi lagi, Rakh deya sarkar kae kadmo pe, Sultan no ne sar, Rahk deya sarkar kae kadmo pe,

Dee Hazrath e Bilal ne Kabe se jab sada - Naat Lyrics

Dee Hazrath e Bilal ne Kabe se jab sada Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah Irshade Kibriya hai yeh Farmane Mustafa Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah Paida huwe Rasool to Rehmat baras padhi Thi Arsh se zameen talak Noor ki jhadi Daee Haleema Goud me lekar jo chal padhi Beeamar oonthni me ajab jaan padh gayee Baade saba ne jhoom ke kanaun me yoon kaha Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah Arshe Baree par Rab ne Bulaya Huzoor ko Jibraeel aye aur Jagaya Huzoor ko Haq ki raza ka jaam peelaya Huzoor ko Chalne lage to Rab ne bataya Huzoor ko Ummat se jaake kehna yehi tohfa hai mila Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah Islam ke Alam ko uthaya Hussain ne Baatil ke agay sar na jhukaya Hussain kya cheez hai Namaaz bataya Hussain ne Sajde me Apne sar ko kataya Hussain ne Yeh dashte se abhi atee sadaa Haiya Alas Salah Haiya Alah Falah Dadhi tamam Nabiyaun ki Sunnat hai momino Islam ka sha’ar hai Rehamt hai momino Sarkar ki Ghulami ki nisbat hai momino Sunnnat par jo chala use jannat hai momino Jannat me bh

Balaghal ula bikamalihi kasha fadduja bijamalihi - Naat Lyrics

Balaghal ula bikamalihi kasha fadduja bijamalihi Hasunat jamiu hisaalihi sallu aleyhi wa aalihi Mein buron say laakh bura sahi magar un say he mera waasta Meri laaj rakhna merai khuda yay teray habeeb ki baat he Karuun teray naam pay jaan fida na bas eik jaan do jahaan fida Do jahan say bhi nahiin ji bhara karun kya karoron jahan nahiin Tayray zikr ki he yay barkatayn merai bigray kam sanwar ga-ay Jahaan teri yaad ho dilnasheen wahiin rahmaton ka nazool he Teri deed jis sko naseeb he wo naseeb qaabil e deed he Tera daykhna meri eid he tera rukh kalaam e majeed he Aaway karma wali fayr o gharii phira mein madinay gali gali Fayr saadi wi howay haazri saaday waastay koii dua karay Ho daruud tujh pay bhi aamina terai chaand par bhi salam ho Teri goad kitni azeem he mila tujh ko maah e tamaam he He ye aarzu jo ho surkhru milay do jahaan ki aabru Meyn kahun ghulam huun apka wo kahayn kay hamko qabul he

Aankhon ka taara naame Muhammed - Naat Lyrics

Aankhon ka taara naame Muhammed Dilka ujaala naame Muhammed Puche ga Maula laya hein kya kya Mai ye kahunga naame Muhammad Allah U Akbar rab’bul ulaane Har sheh pe likka naame Muhammed Dault jo chaaho dona jahaan ki Karlo wazifa naame Muhammed Sheda na kyu ho is par musalmaan Rab ko hein pyaara naame Muhammed Salle ala ka sehra sajaakar Dulha banaaya naame Muhammed Paayi muraade donoh jahaan mein Jisne pukaara naame Muhammed Parti durood e doregi hoore Laasha jo lega naame Muhammed Roze qayaamat mizana pul par Dega sahaara naame Muhammed Bera tabaahi mein aagaya hein Dede sahaara naame Muhammed

Wah Kya Jood-o-Karam Hai Shahey Batha Teyra - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Wah Kya Jood-o-Karam Hai Shahey Batha Teyra Nahi Sunta Hee Nahi Maangney Waala Teyra Dhaarey Chaltey Hain ‘Ataa Key Wo Hai Qatra Teyra Taarey Khiltey Hain Sakhaa Key Wo Hai Zarrah Teyra Aghniya Paltey Hain Dar Sey Wo Hai Baaraa Teyra Asfiyaa Chaltey Hain Sar Sey Wo Hai Rastaa Teyra Farsh Waaley Teyri Shaukat Ka ‘Uloo Kya Jaaney Khusrawaa ‘Arsh Pey Urta Hai Phareyraa Teyra Mey To Maalik Hee Kahunga Key Ho Maalik Key Habib Yaani Mehboob-o-Mohib Mey Nahi Meyra Teyra Terey Qadmon Mey Jo Hain Gheyr Ka Munh Kya Daikhain Kaun Nazron Pey Charey Daikh Key Talwah Teyra Eyk Mey Kya Merey ‘Isyaan Ki Haqeeqat Kitnee Mujh Sey Sau Lakh Ko Kaafi Hai Ishaara Teyra Terey Tukron Pey Paley Gheyr Ki Thokar Pey Na Daal Jhirkiyan Khaaye Kahaan Chor Key Sadqa Teyra Tu Jo Chaahey To Abhee Meyl Merey Dil Key Dhuley Key Khuda Dil Nahi Karta Kabhi Meyla Teyra Haram-o-Taibah-o-Baghdad Jidhar Keejiye Nigaah Jot Parti Hai Tiri Noor Hai Chantaa Teyra Teyri Sarkaar Mey Laata Hai RAZA Uss Ko Shafee Jo Meyra Ghaus Hai A

MADINAH AANEY WAALA HAI - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Sambhal Jaa Ai Dil e Muztar Madinah Aaney Waala Hai Lutaa Ai Chashm e Tar Gohar Madinah Aaney Waala Hai Qadam Ban Jaaye Meyra Sar Madinah Aaney Waala Hai Bichaun Rah Mey Nazar Bankar Madinah Aaney Waala Hai Jo Deykhey Unka Naqsh e Paa Khuda Sey Wo Nazar Maangoon Chirag e Dil Chaloo Leykar Madinah Aaney Waala Hai Karam Unka Chala Yoon Dil Sey Kehta Raah e Taibah Mey Dil e Muztar Tasalli Kar Madinah Aaney Waala Hai Nichawar Hain Madiney Ki Yeh Meyra Dil Meyri Aankhain Nichawar Hoon Madiney Par Madinah Aaney Waala Hai Ilaahi Mey Talabgaar e Fanaa Hoon Khaak e Taibah Main Ilaahi Kar Nisaar e Dar Madinah Aaney Waala Hai Madiney Ko Chalaa Main Bey Niyaz Rehbar e Manzil Raah e Taibah Hai Khud Rehbar Madinah Aaney Waala Hai Mujhey Kheenchey Liye Jaata Hai Shauq e Koocha e Jaanaan Kheenchaa Jaata Hoon Mey Yaksar Madinah Aaney Waala Hai Wo Chamka Gumbad e Khazra Wo Shehr e Pur Ziyaa Aaya Dhaley Ab Noor Mey Peykar Madinah Aaney Waala Hai Jahan Sey Bey Khabar Ho Kar Chaloo Khuld e Madinah Mey Chal

Bigri Meyri Banaado Yaa Mustafa Raza Khan - Qari Rizwan - Manqabat Lyrics

Bigri Meyri Banaado Yaa Mustafa Raza Khan Ranj o Alam Mitaado Yaa Mustafa Raza Khan ‘Ilm o ‘Amal Key Paikar Taqwa Key Ho Samandar Qatrah Mujhey ‘Ataa Ho Yaa Mustafa Raza Khan Khaali Hai Meyri Jholi Haazir Hai Yeh Sawali Dastey Karam Barhaado Yaa Mustafa Raza Khan Pyaarey Nabi Ki ‘Ulfat Dil Mey Rahey Salaamat Dil Ko Meyrey Jilaado Yaa Mustafa Raza Khan Shakir Key Dil Sey Aaqa Hubbey Jahan Mitaado Ishq e Nabi ‘Ataa Ho Yaa Mustafa Raza Khan

Ahmed Raza Ney Faiz Ka Daryaa Bahaa Diyaa - Qari Rizwan - Manqabat lyrics

Ahmed Raza Ney Faiz Ka Daryaa Bahaa Diyaa Hubbey Nabi Sey Dil Ko Madinah Banaa Diyaa Khidmat Nabi Key Deen Ki Kuch Is Tarha Sey Ki Bid’aat o Munkaraat Ka Qil’a Giraa Diyaa ‘Azmat Bithaa Di Aap Ney Aaqa Ki Qalb Main Badley Mey Rab Ney Aap Ko A’ala Diyaa Naamoos e Mustafa Ki Hifaazat Key Waastey Meyrey Raza Ney Apnaa Sabhi Kuch Lutaa Diyaa Jaan e Muraad Kaan e Tamanna Huzoor Hain Apna ‘Aqeedah Aap Ney Kaamil Banaa Diyaa Ad Daulatul Makkiyah Hai Burhaan e ‘Ilm e Ghaib ‘Ilm e Nabi Ka Aap Ney Sikka Bithaa Diyaa Shakir Teyra Ehsaan Na Bhooleyga Hashr Tak Ishq e Nabi Main Dil Ko Tarapna Sikhaa Diyaa

Bigri Meyri Banaado Yaa Shaah e Sanjari - Qari Rizwan - Manqabat Lyrics

Bigri Meyri Banaado Yaa Shaah e Sanjari Ranj o Alam Mitaado Yaa Shaah e Sanjari Kitna Karam Hai Mujh Ko Apna Bana Liyaa Hai Qismat Meyri Jagaado Yaa Shaah e Sanjari Par Hai Na Paas Zar Hai Bas Aap Ki Nazar Hai Taibah Mujhey Dikhaado Yaa Shaah e Sanjari Ishq e Nabi Mey Aaqa Saabit Qadam Rahain Hum Bil Khair Khaatima Ho Yaa Shaah e Sanjari Phir Hind Ki Zameen Mey Zaalim Ubhar Rahey Hain Teer e Nazar Chalaado Yaa Shaah e Sanjari Tehreek e Sunni Dawat e Islami Ko Huzoor ‘Aalam Mey Ab Chalaado Yaa Shaah e Sanjari Husn e ‘Amal Sey Qaasir Dar Pey Khara Hoon Main Apna Mujhey Banaalo Yaa Shaah e Sanjari Shakir Pey Bhi ‘Inaayat Farmaaye Huzoor Khwaabidah Dil Jagaa Do Yaa Shah e Sanjari

Aagaya Hai Gadaa Shah e Hindustan - Qari Rizwan - Manqabat Lyrics

Aagaya Hai Gadaa Shah e Hindustan Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Auliya o Qutub Dey Rahey Hai Sadaa Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Zaahid o Muttaqi Keh Rahey Hain Sabhi Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Aap Ibn e ‘Ali Intikhaab e Nabi Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Tum Sakhi Ho Meyrey Mey Bhikaari Teyra Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Baa Adab Mey Madiney Mey Jaata Rahoon Kardo Aisee Du’a Khwaja e Khwaajgaan Shakir e Bey Nawaa Keh Rahaa Hai Yahi Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan

Chaayaa Hai Kaif Dil Par Qadmon Mey Baith Kar - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Chaayaa Hai Kaif Dil Par Qadmon Mey Baith Kar Hai Auj Par Muqaddar Qadmon Mey Baith Kar Khushboo e Mustafa Sey ‘Aalam Mehak Raha Hai Main Bhi Huwa Mu’attar Qadmon Mey Baith Kar Taskeen e Qalb Mujh Ko Phir Sey Huwi Hai Haasil Roodaad e Gham Sunaa Kar Qadmon Mey Baith Kar Kya Ab Bhi Meyrey Rab Ka Mujh Par Karam Na Hoga Pheyley Hain Haath Dar Par Qadmon Mey Baith Kar Taibah Mey Rehmaton Ki Baarish Baras Rahi Hai Deykha Hai Pyaara Manzar Qadmon Mey Baith Kar Ghaus o Raza Key Sadqey Khwaaja Piya Key Sadqey Iftaar Hai Mayassar Qadmon Mey Baith Kar Noor e Nabi Sey ‘Aalam Roshan Huwa Hai Shakir Dil Bhi Huwa Munawwar Qadmon Mey Baith Kar Sultan e Do Jahan Ka Tujh Par Karam Hai Shakir Aankhain Huwi Hain Phir Tar Qadmon Mey Baith Kar