Posts

Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi - Naat Lyrics

Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi Hain sakhi lakhon yahaan par Aap sa koi nahin Aap ke dohar mein dono jahaan ki nematein Aap ke lutf-o-karam ki intihaa koi nahin Jab liya Naam-e-Muhammad mushkilein hall ho gayin Kaun kehta hai ke Tere Naam ka assar nahin Aye Darbar Dar-e-Yaar-e-Muhammad aasiyo Aitaraf-e-jurm karlo to sazzaa koi nahin Aap ke hote hue main kyun musibat mein rahon Kya kaheinge log ke mushkil kusha koi nahin Kaun buje aye Niyazi dard-e-dil ka majira Hub-e-Muhammad hai humara aasraa koi nahin Aap ke Darbar se khali gaya koi nahi Hain sakhi lakhon yahaan par Aap sa koi nahin

Aankhon ka taara naame Muhammed - Naat Lyrics

Aankhon ka taara naame Muhammed Dilka ujaala naame Muhammed Puche ga Maula laya hein kya kya Mai ye kahunga naame Muhammad Allah U Akbar rab’bul ulaane Har sheh pe likka naame Muhammed Dault jo chaaho dona jahaan ki Karlo wazifa naame Muhammed Sheda na kyu ho is par musalmaan Rab ko hein pyaara naame Muhammed Salle ala ka sehra sajaakar Dulha banaaya naame Muhammed Paayi muraade donoh jahaan mein Jisne pukaara naame Muhammed Parti durood e doregi hoore Laasha jo lega naame Muhammed Roze qayaamat mizana pul par Dega sahaara naame Muhammed Bera tabaahi mein aagaya hein Dede sahaara naame Muhammed

Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se - Naat Lyrics

Aa jaaye bulawa mujhe AQA Tere Dar se Jis Dar ki ghulaami ko to jibreel bhi tarse Paidal hi nikalte hain, masaafat ka nahin khauf Thakte hi nahin ham to Madine ke safar se Sunnat pe Teri chalne ka aa jaaye qareena Ye abr-e-karam kaash mere dasht pe barse Zarrah bhi lage gohar-o-almaas se badh kar Dekhe to koii khaak-e-arab meri nazar se Ek main hi nahin taalib-e-jalwa mere AQA! Har ek musalmaan Tere deed ko tarse Naamoos-e-Muhammad ke liye jaan bhi doon ga Ho jaaun ga waaqif main shahaadat ke hunar se Dunya ke faqat chand hi lamhaat the guzre Ho aaye payambar mere sadiyaun ke safar se Jo shaam-o-sahar Salle Alaa kehta rahe ga Aaye ga bulawa usay AQA ke nagar se Kuch khauf nahin mujh ko kadee dhoop ka Amjad Saaya mujhe miltaa hai Risaalat ke shajar se

Aaj Muhammad aye moray ghar - Naat Lyrics

Aaj Muhammad aye moray ghar Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar Ankhon mein maazagh ka surma Sar par taaj Warafa’na ka Husn-e-mujassam Allahu akbar Subh-e-azzal hai Mukhra un ka Shaam-e-awad hai Zulf ka saya Unse hua har qalb munawwar Mehndi lagaon ghar ko sajaon Main angan mein naachon gaaon Tann mann waaron Unke Charan par Aao sakhio mill kar gayein Apne Piya ka jashn manayein Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar Rim jhim barse noor ki barkha Aaya hai mi’raj ka Dulha Dharti aur aakaash se behtar Dosh pe youn Gesu lehraye Bheeni bheeni khusboo aye Rang-o-nighat saara manzar Amina Bi ka Raaj Dulara Kitna anokha kitna pyaara Chaand uttar aaya hai zameen par Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha Pohnche jab aflaak pe Aaqa Naghma tha har eik ki zuban par Tall jaayegi saari musibat Aa jaye ga dor-e-rahat Ab to mujhe dekheinge nazar bhar Anjum bekass Aap ka mangta Dijiye bakshish jagg ke Data Boond hoon main aur Aap samandar Aaj Muhammad aye moray ghar Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar

Aaj milaad-e-Nabi hai, kya suhana noor hai - Naat Lyrics

Aaj milaad-e-Nabi hai, kya suhana noor hai, Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai. Aankh walo aao dekho, mah-e-taiba ki ziya. Asmaan ke chand mein to, pheekha peekha noor hai. Tu na hota to na hota do jahaan ka intezaam. Tu zameen ka noor hai, tu asmaan ka noor hai. Jiss ne jo kuch noor paya, sab teri Sarkar se. Toor ki Sarkar ka tu sab se pehla noor hai. Teri nasl-e-paak mein hai bacha bacha noor ka. Tu ‘ayn-e-noor, tera sab gharana noor ka. Main gadda tu badshah, bhar de pyala noor ka. Noor din duna tera, de daal sadqa noor ka. Jis taraf wo uth gayi, alaam munnawar ho gaye. Main teri ankhon ke sadqe, inn mein kitna noor hai. Mustafa ke noor mein hai Zaat-e-baari jalwargar. Mustafa ka noor hi kahye khuda ka noor hai. Aaj milaad-e-Nabi hai, kya suhana noor hai, Aa gaya woh noor wala, jiska saara noor hai.

Khaliq ney apney Nuur ka, Jalwa dikha diyaa - Naat Lyrics

Khaliq ney apney Nuur ka, Jalwa dikha diyaa Sab Nuur ko Mila kay Muhammed bana diya Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo Dey rahey hain farishtey salaami Tum duruudo ki maala banaa loo Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo Apney mangto ko wo paaltey hain Wo bhala kis ko kab taaltey hain Sadqa Hasnain  o Ghausul Waraa  ka Ya Nabi meri jholi may daalo Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo Ker kay Naato sey her so charaaga Youu manaaey gay jashney bahaara Aashiqo Aamad-e-Mustafa hay Deep Khushiyoo kay her suu jala lo Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo Waqt chamkey ga aik din hamaarey Dekh lain gay wo dilkash nazaarey Aap ko jo bhi sab sey hain pyaarey Un kay sadqey may ham ko bula lo Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo sey saga loo Jin kay haatho may hay Un ka daaman Naam-e-Ahmad hay jis dil ki dharkan Jo hay pehchaan hum aashiqo kee Jhuum ker un ka naara laga lo Aagae Mustafa ki sawaari Apne ghar ko diyo s

Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he - Naat Lyrics

Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kesa he Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho Uss sa-ay mayn rab kay aagay sajda karna kesa he Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kesa he Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he Waqt e rukhsat dil ko apnay chhoarr wahaan tum aa-ay ho Yay batlaa-o ishrat un kay dar say bichharrna kesa he