Mere Sarkaar mere ghar ko sajaaney aaein - Naat Lyrics
Mere Sarkaar mere ghar ko sajaaney aaein Dil ki duniya main woh anwaar lutaane aaein Joh khazaan daar parhaa rotaa hai ik jhoownke ko Us kii jaanib bhii bahaaron keh zamaane aaein Shiddat e peyaas hai ik bosyah e paa ki jin ko Aese peyaason ko bhii diidar karaane aaein Taab e furqat bhii qiyamat hai mujhe wasl keh baad Woh mere ghar seh nah jane keh bahaane aaein Jin keh biimar ho muddat se woh aein ge zuruur Un kii galiyon seh hawaaein yeh bataane aaein Jin ki umeed peh tufano main ham kud parhe Naa khuda kashtiyon ko paar lagaane aaein Raat bhar yaad sitaaron neh keyaa ro ro kar Kaash woh chand merii bazm sajaane aaein Aey Madinay keh musaafir dar e jibriil keh paas Kehnaa gham khaar seh ham haal sunaane aaein