Posts

Na chedo zirk e jannat ab Madinah yaad aya hai - Naat Lyrics

Na chedo zirk e jannat ab Madinah yaad aya hai Nabi ka sabz Gumbad dil ki aankhaon me samaya hai Mila karti hai mooh maange muradein Unke Rauze par Ghulamau ne Tere Dar se jo maanga hai woh paya hai Khuda ki Sultanat ke Tum ho Dulha Ya Rasoolullah Tumhare waaste RABB ne yeh A’alam sajaya hai Shabe Asra Mubarak baad dee yeh hooraun ne Muhammed ko Khuda e Pak ne Dulha banaya hai Namazaun me Azaan me Kalmah me aur Arsh par har ja Khuda ne naam Tera naam se apne milaya hai Zameen ko cheerte daude huwe aae hai khidmat me Darakhtaun ne isharah Aapka jis waqt paya hai Tumhari zaat par kyun kar bharosa ho na alam ko Gunah-garaun ko Tumne naar e dozakh se bachaya hai Ijabat ne liya bosah Tumhare pyare hotaun ka Dua ke waaste jis waqt Tum ne lab hilaya hai Koee pur saane haal apna nahi hai Ya Rasoolullah Jo apna hai to Tu hai aur baqi sab paraya hai Sana e Mustafa woh bhi rawayat e sahiha se Jameele Qadri kya khoob tere paas maya hai

Na baharein na hi gulzaar nazar aate hain - Naat Lyrics

Na baharein na hi gulzaar nazar aate hain Jiss taraf dekh lo Sarkar nazar aate hain Aaj bik jaun, ke yeh mauka na ayega kabhi Aaj woh khud hi kharidaar nazar aate hain Aise lagta hai mere Aaqa challe aate hain Raqs karte dar-o-deewar nazar aate hain Ankh se ansoo nahi, sajde gira karte hain Jab tere Gumbad-o-Minaar nazar aate hain Jis ki qismat mein ho Taiba ki galli ke phere Woh na jannat ke tallabgaar nazar aate hain Aise lagta hai mere Aaqa challe aate hain Wajd karte dar-o-deewar nazar aate hain Qadmon ka kaam hai yeh dagmaagate hain Dil to gir jaayein jahaan wahin parre rehte hain Unke aane ki gharri hai woh hain aane waale Mere Sarkar ki mehfil ko hum saajaye hue hain Maine meraj ki shab baat yeh jaani hai Sammi Jo ho Dilbar unhein Dildaar nazar aate hain Na baharein na hi gulzaar nazar aate hain Jiss taraf dekh lo Sarkar nazar aate hain

Mustafa aa gaey Mustafa aa gaey - Naat Lyrics

Chaar su Rahmatoon ke ujaale huwey Bazm-e-kowneyn ke peyshwaa aa gaey Zaraey aflaak se baatein karney lagey Mustafa aa gaey Mustafa aa gaey Gham ke maarey huwey muskaraaney lagey Zulmatoon ke makeen jagmagaane lagey Be kasoon ke muqaddar thekaaney lagey Sab ke muhsin habeeb-e-Khuda aa gaey Hazrat-e-Musa jin ko taraste rahey Ibn-e-Maryam bhi jin ki khabar dey gaey Pehley aaey huwey jin ke peechay kharhey Aaj woh khaatim-ul-anmbiya aa gaey Be zabaanon ko tarz-e-sadaa bakhsh di Fani insaaniyat ko baqaa bakhsh di Dushman-e-jaan ki har ik khata bakhsh di Ban key Rehmat Shafi-ul-waraa aa gaey Shab gazeedah ko nur-e-sahar de diya Kor-e-deedah ko zowq-e-nazar de diya Be nawa ko dua ka asar de diya Saari makhlooq ka aasra aa gaey Zikr keysey karon wasf Sarkar ka Kya bayan ho samaan un ke darbaar ka Dil Zahuri bana matla’ anwaar ka Jab tasawwur mein woh dilrubaa aa gaey

Mujhe Dar pay phir bulana - Naat Lyrics

Mujhe Dar pay phir bulana, Madani Madine Wale Mae ishq bhi pilana, Madani Madine Wale Meri aankh me samana, Madani Madine Wale Banay dil Tera thikana, Madani Madine Wale Teri jab ke deed hogi, jabhi meri eid hogi Mere Khwaab me Tum ana, Madani Madine Wale Mujhe sab sata rahe hain, mera dil dukha rahe hain Tumhi hausla badhana, Madani Madine Wale Mere sab azeez chootay, mere yaar bhi to roothay Kaheen Tum na rooth jana, Madani Madine Wale Mai agar chay hoon kamina, Tera hoon Shahe Madina Mujhe seenay se lagana, Madani Madine Wale Tere Dar se Shaha behtar, Tere aastaan say badhkar Hai bhala koee thikana, Madani Madine Wale Tera Tujh se hoon sawali, Shaha phairna na khali Mujhe Apna Tum banana, Madani Madine Wale Yeh mareez mar raha hai, Tere haath me Shafa hai Ai Tabeeb jald aana, Madani Madine Wale Tu hi Anbiya ka Sarwar, Tu hi do jahaan ka Yawar Tu hi Reh-baray zamana, Madani Madine Wale Tu hai be-kasaun ka Yawar, Ai mere ghareeb parwar Hai Sakhi Tera Gharana, Madani Madine Wale Tu Khu

Mujhe bhi MADINAY bulaa mere mowla - Naat Lyrics

Mujhe bhi MADINAY bulaa mere mowla Hamay bhi MADINAY bula mere mowla Karam kee thajalee dikhaa mere mowla Sab pareay…. Hamay bhi MADINAY bula mere mowla Karam kee thajalee dikhaa mere mowla Mujhe bhi MADINAY bulaa mere mowla Karam kee thajalee dikhaa mere mowla Bohoth bay kararee kay alam main hoo main Mayree bay kararee mitaa mere mowla Hamay bhi MADINAY bula mere mowla Karam kee thajalee dikhaa mere mowla Nigahow say pinhaa jo manzil mayree hain Kyoun majdhar may naow mayree pasee hain Hatha oo kaa maraa bhi palay gaa sahil gar abid kay dil may samaa mere mowla Hamay bhi MADINAY bula mere mowla Karam kee thajalee dikhaa mere mowla Mujey bi Madiney bula merey Mowla Karam ki thajali dikha merey Mowla Bohoth bekarari key alaam mey hu mey Meri bekarari mita merey Mowla Sunaah hai Madina karam hi karam hai Thu rakhtha jahan mey sabhi ka bharam hai Thujey vasthaa therey pyarey Nabi ka Meri bhigari aab thow bana merey Mowla Jisey thuney chaha mey uspey fidha hu Mey Therey Muhammad key Dhar

Mujhay ataa koii naam hoga - Munajat Lyrics

Mujhay ataa koii naam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun Mayra bhi koii maqaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun Madina e paak kay safar mayn wo marhalay aa-ayn gay yaqeenan Safar simatt kar dogaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun Jahaan ghulamaan e mustafa kay hazaar haan qaafilay rukayn gay Wahaan mayra bhi qayaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun Huzur ki bazm e khaas hogi huzur say arz e haal hogi Mujhay bhi izn e kalaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun Huzur farma-ayn gay yay mujh say, hamayn bhi naatayn sunaaii ja-ayn Qaseedah gustar ghulaam hoga, issi tawaqqo pay ji raha huun

Me sadqe ya rasoolallah - Naat Lyrics

Mujh pe mowla ka karam hai unki naatein parta hoon, daaman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon Me sadqe ya rasoolallah Me sadqe ya habiballah Dhoom unki naathani ki machate jaye gai Ya rasoolallah na nar’ah lagate jaye gai Naathani mowt bhi hamse churah sakhti nahi Qabr me bhi mustafa ke geet gate jaye gai Mujh pe mowla ka karam hai unki naatein parta hoon, daman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon Me sadqe ya rasoolallah Me sadqe ya habiballah Kiyi guftagu ho lab par tera naam aagaya hai Tera zikhar karte karte yeh maakam aagaya Jise pike shehsaadi balagal ullah pukare Mere daast natawa me wohi jaamp aagaya hain mujh pe mowla ka karam hai Unki naatein parta hoon, daman apna rab ki rahmat se me har dam barta hoon Me sadqe ya rasoolallah Me sadqe ya habiballah Saadaye durood-o-ke aati rahe Jine sun kar dil shaad hota rahe Khuda ahle- sunnat ko aabad rake Muhammed ka milad huta rahe ga Me sadqe ya rasoolallah Me sadqe ya habiballah Jitna diya sarkar ne mujh ko Utni meri o