Posts

Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se - Naat Lyrics

Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat tohfa ye mila hai sarkar-e-nabi se ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se darbare-nabi se bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-nabi se ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se darbare-nabi se irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar ye pooch le aake koi beemar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se darbar-e-nabi se pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se darbar-e-nabi se pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se aaya hai bulawa mujhe darbar-e-nabi se darbar-e-nabi se

Payaam Le Ke Jo Aayi Sabaa Madine Se - Naat Lyrics

PAYAAM LE KE JO AAYI SABAA MADINE SE MARIZE ISHQ KI LAAYI DAWAA MADINE SE MILLE HAMAARE BHI DIL KO JILAA MADINE SE KE MAHR-O-MAAH NE PAAYI ZIA MADINE SE JO AAYA LE KE GAYAA KAUN LOUTA KHAALI HAATH BATAAYE KOYI SUNAA HO JO “LAA” MADINE SE WO GAYAA KHULD ME JO AA GAYAA MADINE ME GAYAA WO KHULD SE JO CHAL DIYAA MADINE SE MADINA CHASHMA-E-AABE HAYAATH HE YAARO CHALO HAMESHA KI LE LO BAQAA MADINE SE CHALE JO TAIBA ME MUSLIM TO KHULD ME POHONCHE KE SEEDHAA KHULD KA HE RAASTA MADINA SE TUMHAARE QADMO PE SAR SADQE JAAN FIDA HOJAYE NA LAAYE PHIR MUJHE MERA KHUDA MADINE SE TERE HABEEB KA PYAARA CHAMAN KIYA BARBAAD ILAAHI NIKLE YE NAJDI? BALAA MADINE SE TERE NASEEB KA NOORI? MILEGA TUJH KO BHI LE AA’E HISSA YE SHAAH-O-GADAA MADINE SE

Noor Wala Aya Hai Noor Lay Kar Aya Hai - Naat Lyrics

Noor Wala Aya Hai Noor Lay kar Aya Hai Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH Jab Talak Yah Chand Tara Jheel Meelata Jayanga Tab Talak Jasna Wiladat Hum Manata Jayanga Noor Wala Aya Hai Noor Lay kar Aya Hai Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH Naata Mahbooba KHUDA Sunta Sunata Jayanga YA RASOOLALLAH Ka Nara Lagata Jayanga Noor Wala Aya Hai Noor Lay kar Aya Hai Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH Char Janib Hum Diya Ghee Kay Jalata Jayanga Ghar Toh Ghar Sara Mohalla Ko Sajata Jayanga Noor Wala Aya Hai Noor Lay kar Aya Hai Sara Alam May Yah Dekho Kaisa Noor Chaya Hai Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA RASOOLALLAH Ass Salato Was Salamo Alay Kay YA HABIBALLAH Eid a Milad-Un-NABI Ki Shab Charaga Kar K

Neamatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya - Naat Lyrics

Ne’amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhiyaan gaya Mere Maula mere Aqa tere qurbaan gaya Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya Dil hai woh dil jo teri yaad se ma’moor raha Sar he woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya Unhein jana unhein mana na rakhha ghair se kaam Lillah Al Hamd mai duniya se Musalmaan gaya Aur tum par mere Aqa ki Inayat na sahi Najdiyo! Kalmah padhane ka bhi ehsaan gaya Aaj le unki Panah aaj madad maang unse Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya Uff ray munkar yeh badha joshe ta’assub akhir Bheed me haath se kam bakht ke Imaan gaya Jaano dil hosh wa khirad sab to Madine pahonche Tum nahi chalte Raza sara to samaan gaya

Namey Muhammad Salley Ala Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila - Naat Lyrics

Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala Jin Ko Unka Qurb Mila Hai, Ban Gaye Hadi-o-raah Numa Sab Par Unki Chashme Karam Hai, Wah Re Shaane Judo Sakha Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala Dekh Ke Apni Farze Amal Ko, Aasi Jab Sharmaen Gey Ummat Se Kuch Pyar Hai Aisa, Khud Woh Karam Farmaen Gey Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala Un Par Apna Tan Man Warun, Warun Husne Kouno Makaa’n Haasil Unke Sadqey Mein Hai, Izzat-o-azmat Naam-o-nishan Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala Mehfiley Naat Ki Baat Na Pucho, Khud Woh Karam Farmatey Hain Jin Pe Karam Hota Hai Unka, Unke Din Phir Jate Hain Namey Muhammad Salley Ala, Ankhon Ki Thandak Dil Ki Jila Aao Unka Zikr Karein, Jo Hai Dafa-aey Ranjo Bala Unki Bhik Pe Sab Paltey Hain, U

Namey Muhammad Kitna Mitha Mitha Lagta Hai - Naat Lyrics

Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai Yade Nabi Ka Gulshan Mehka, Mehka Lagta Hai Mehfil Mein Maujud Hain Aqa Aisa Lagta Hai Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai Lab Par Naghmey Salley Ala Ke Hathon Mein Kashkol Dekho To Sarkar Ka Mangta Kaisa Lagta Hai Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai Ghauso, Qutb, Abdaal, Qalandar, Sab Unke Mohtaj Mera Aqa Sab Waliyon Ka Aqa Lagta Hai Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai Yade Nabi Mein Har Dam Rona Achchha Lagta Hai Hum Bhi Taibah Jaengey Ab Aisa Lagta Hai Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai Yade Nabi Mein Rone Wala Hum Diwanon Ko Lakh Paraya Ho Woh Phir Bhi Apna Lagta Hai Namey Muhammad Kitna Mitha, Mitha Lagta Hai Donon Jahan Sarkar Ka Sadqa Aisa Lagta Hai Unke Dar Se Palne Wale, Apna Aap Jawab Koi

Na kaleem ka tasawwur nah khiyaal-e-tur-e-sinaa - Naat Lyrics

Nah kaleem ka tasawwur nah khiyaal-e-tur-e-sinaa meri aarzu Muhammad meri justuju Madinah main gadaae Mustafa hun meri azmatein nah poocho mujhe deykh kar jahannam ko bhi aa geya paseenah mujhe dushmano nah cherho mera koi hai jahaan main main abhi pukaar lun ga naheen dur hai Madinah main mareez-e-Mustafa hun mujhe cherho nah tabibo meri zindagi jo chaaho mujhe le chalo Madinah meray dubne main baqi nah koi kasar rahi thi kahaa “almadad Muhammad” tho ubhar geyaa safinah siwaa is ke meray dil mein koi aarzu nahein hai mujhe mowt bhi jo aaey tho ho saamne Madinah kabhi aey Shakeel dil se nah mite khiyaal-e-Ahmad isi arazu mein marna isi arazu mein jeena