Posts

Qadam qadam pe Khuda ki madad pohanchti hai - Naat Lyrics

Qadam qadam pe Khuda ki madad pohanchti hai durood se mere dil ko rasad pohanchti hai ye aasmaan bhi wahan tak nahi pohanch sakta jahan tak aap k qadmon ki hadd pohanchti hai sir apna paaye risalat ma’aab per rakh doon to aasmaan pe bulandi-e-qadd pohanchti hai juloos-e-ishq-e-nabi ka ho jis taraf se guzar mere junoon ko bhi lay kar khirad pohanchti hai durood ka dia jata hai jub sawab mujhe bahisht tak meri do guz lahad pohanchti hai salaam-o-naat muzaffar yahan mein parhta hoon qubooliat ki haram se sanad pohanchti hai.

Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho - Naat Lyrics

Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho Jibreel Par Bichaaey To Par Ko Khabhar Na Ho Kaantaa Merey Jighar Sat Gham e Rozgaar Ko Yoon Kheench Leeyjiey Kay Jighar Ko Khabhar Na Ho Faryaad Ummatey Jo karay Haal e Zaar Mein Mumkin Nahin Kay Khair e Bashar Ko Khabhar Na Ho Kehtey They Yeh Buraaq Say Uskey Sabaq Raveey Yoon Jaiey Kay Ghard e Safar Ko Khabhar Na Ho Farmaatay Hein Yeh Dono Hein Sardaar e Do jahaa Ay Murtazaa! Ateeq o Umar Ko Khabhar Na Ho Aysa Ghumaa Day Un Key Vilaa Mein Khuda Humein Dhoondhaa Karay Par Apney Khabhar Ko Khabhar Na Ho Aa Dil! Haram Ko Roknay Waalon Say Chup kay Aaj Yoon Uth Chalay Kay Pehlo Wabar Ko Khabhar Na Ho Teer e Haram Hein Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Ho Yoon Daykhiyeh Kay Taarey Nazar Ko Khabhar Na Ho Ay Khaar e Taibah! Daykh Kay Daaman Na Bheekh Jaey Yoon Dil Mein Aa Kay Deedah e Tar Ko Khabhar Na Ho Ay Shauq e Dil! Yeh Sajdah Ghar Un Ko Ravaa Nahin Acha! Woh Sajda Key Jiey Sar Ko Khabhar Na Ho Un kay Sivaa RAZA Koey Haamey Nahin Jahaa Ghuzra Karay

Pukaroo Shahe Jilaan ko pukaro - Manqabat Lyrics

Pukaroooo Pukaroo Shahe Jilaan ko pukaro Badal jaye ghi Qismat be saharo Pukaroo Ye dar Mehbhoobe Subhnai ka dar hai Beqari ban ke aao Taajdaro Pukaro har gari ya Roosel Azam Guzaro zindagi bas youn guzaro Tumhari reeat hai bhere tarana Mori niyaan bhi mila paar utaro Ye zarre kochae Baghdaad ke hai Karo sajde yahan pei chaand taro Mori Jilaan takhaf un ka hai farmaan Na ghabrao zarra bhi gham ke maro

Ishqe nabi ko dil se nikala na jayenga - Naat Lyrics (English and Urdu)

Image
Ishqe nabi ko dil se nikala na jayenga, Sine mein dard gair ka daala na jayenga. Mehshar mein jab uthayenge chehre se wo nakab, Yusuf se fir toh hosh sambhala na jayenga. Tab tak na koi jayenga jannat mein doston, Jab tak bilal rang ka kaala na jayenga. Mil jayengar naseeb se khake dare rasool, Fir surma koi aankh mein daala na jayenga.

Dil mein ishqe nabi ki ho aisi lagan - Naat Lyrics in Urdu

Image
Dil main ishq e Nabi ki ho aisi lagan, Ruh tarapti rahe dil machalta rahe Zindagi ka maza hey kay har saans say Ya Muhammad Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasallam) nikalta rahey. Ya Muhammad Muhammad mein kehta raha, Noor kay motiyo ki lare ban gaee, Ayaton sey milata raha ayatein, Phir jo dekha to Naat e Nabi ban gaye. Jo bhi ansoo bahe merey Mehboob kay, Sab key sab abr e rehmat kay cheentay banay, Chah gaee raat jab zulf lehra gaee, Jab tabasum kiya chandani ban gaee. Yeh to maana kay jannat hai bagh e haseen, Khoobsoorat hey sab khuld ki sar zameen, Husn e jannat ko phir jab samayta gaya, Sarwar e ambiya ki galee ban gaee. Jab chirah tazkira un kay rukhsaar ka, Waduha par liya, wal qamar keh dia, Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi, Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi. Sab say saim zamanay main mazoor tha, Sab sey beykas tha beybas tha majboor tha , Un ko reham agaya merey halaat par, Meree azmat meree beybasee ban gaee. Dil mein ishq e Nabi ki ho aisi lagan, Rooh tarapti rahay dil mac

Sarkaare Ghaus E Azam Nazre Karam Khudaara - Manqabat Lyrics

Sarkaare Ghaus E Azam, Nazre Karam Khudaara  Mera Khaali Kaasa Bhar Do, May Faqir Hu Tumhara  Maula Ali Ka Sadqa, Gange Shakar Ka Sadqa Meri Laaj Rakhna Mira, May Faqir Hu Tumhara  Mira Bane Hai Dulha, Shaadi Rachi Hui Hai  Sab Auliya Baraati, Kya Khoob Hai Nazara  Jholi Ko Meri Bhardo, Warna Kahegi Duniya Aise Sakhee Ka Mangta, Phirta Hai Maara, Maara  Duniya Mei Sab Ka Koi, Koi To Aasra Hai  Mera Bajuz Tumhaare, Koi Nahi Sahaara  Yeh Adaa E Dastgiri, Koi Mere Dil Se Puche Wahi Aa Gaye Madad Ko, Maine Jab Jahaa Pukaara  Yeh Tera Karam Hai Ya Ghous, Jo Bana Liya Hai Apna  Kahaa Mujhsa Ye Kameena, Kaha Silsila Tumhara

Pooch te kya ho Madine se Mai kya laya hoon - Naat Lyrics

Pooch te kya ho Madine se Mai kya laya hoon Apni aankhaun mein Madine ko basa laya hoon Dil bhi mera hai waheen Jaan bhi meri hai waheen (to phir lekar kya aae ho) Apne kaandhaun par apne laashay ko utha laya hoon Jisne choome hai Qadam Sarwaray ‘Alam ke Khaak e Taibah ko mai apni palkuan pay saja laya hoon Saya e Gumbade Khazra me ada karke namaaz Apne sar ko mai Arsh ka hum paya bana laya hoon Jaan o dil wahaan rakh ke amanath ki tarha Phir wahaan janay ke asbaab bana laya hoon