Agar Koi Apna Bhala Chahta Hei - Naat Lyrics

Agar Koi Apna Bhala Chahta Hei
Usay chahay jisko, Khuda chahta hei
sallallahu `alayhi wa sallam
sallallahu `alayhi wa sallam

Durood un pe bhejo, salaam un pey bhejo
Khuda ki kasam yeh khuda chahta hai.
sallallahu `alayhi wa sallam
sallallahu `alayhi wa sallam.

Khuda ki raza, Mustafa chahtey hain,
Khuda Mustafa ki, raza chahta hai.
sallallahu `alayhi wa sallam
sallallahu `alayhi wa sallam.

Fakiroon kay malja, yeh mangta tumhara
Madinay main thori sija chahta hei.
sallallahu `alayhi wa sallam
sallallahu `alayhi wa sallam.

Banaley mujhey apna mehman Aaqa
Yeh har aik shaho ghada chahta hai.
sallallahu `alayhi wa sallam
sallallahu `alayhi wa sallam.

Karey khuld hasil Habib e Khuda ka,
Jo insaan kurbe Khuda chahta hai
sallallahu `alayhi wa sallam
sallallahu `alayhi wa sallam.

Agar koi apna bhala chahta hai
Usey chahi jisko, Khuda chahta hai

Comments

Popular posts from this blog

Dil mein ishqe nabi ki ho aisi lagan - Naat Lyrics in Urdu

Dil pe qalme ki zarb laga - Hamd Lyrics

Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho - Naat Lyrics