Hai Karam Aap Ka Sarkaar Rasool e ‘Arabi - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Hai Karam Aap Ka Sarkaar Rasool e ‘Arabi
Phir Dikhaaya Mujhey Darbaar Rasool e ‘Arabi

Aisey ‘Aasee Ko Banaaya Madiney Ka Mehmaan
Jo Hai Sartaapa Khataa Kaar Rasool e ‘Arabi

Bhardo Aaqa Merey Aaqa Meyri Jholi Bhardo
Mey Bhi Hoon Haazir e Darbaar Rasool e ‘Arabi

Sadqa Hasnain Ka Deydo Merey Aaqa Mujh Ko
Mey Karam Ka Hoon Talabgaar Rasool e ‘Arabi

Waasta Pyaarey Raza Ka Tumhey Deytaa Hoon Shahaa
Apna Kehdo Sag e Darbaar Rasool e ‘Arabi

Arz e Shakir Merey Aaqa Hai Yeh Waqt e Rukhsat
Phir Dikhaana Mujhey Darbaar Rasool e ‘Arabi

Comments

Popular posts from this blog

Dil mein ishqe nabi ki ho aisi lagan - Naat Lyrics in Urdu

Dil pe qalme ki zarb laga - Hamd Lyrics

Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho - Naat Lyrics