Saiyeda Ma Ayesha - HAFIZ TAHIR QADRI - Manqabat Lyrics

Tayyab tahera Saiyeda Ma Ayesha

Sayyada ma Ayesha Sayyada ma Ayesha 

Ye Fakira alima hai Sayyada ma Ayesha 
Ilm me sab se juda Sayyada ma Ayesha 

Aap ke bistar mubarak par bhi ati thi vahi
Kya makam o martaba hai Sayyada ma Ayesha 

Mustafa ne jaan di jab sar tha teri god me
Ye to ezaz e khuda hai Sayyada ma Ayesha 

Aap ki tasveer le kar aaye the ruhul amee
Zoz e shahe ambiya hai Sayyada ma Ayesha 

Aayesha ka hujra anvar roza e sarkar hai
Ye muhabbat ka sila hai Sayyada ma Ayesha 

Aap ki paki me utri hai athara ayaten
Ye gavahi e khuda hai Sayyada ma Ayesha 

Azmatein aesi Ujagar arsh par naare lage
Tayyaba aur tahera hai Sayyada ma Ayesha

Comments

Popular posts from this blog

Khila mere dil ki kali Ghous-e-Azam - Manqabat Lyrics

Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se - Naat Lyrics

Dil mein ishqe nabi ki ho aisi lagan - Naat Lyrics in Urdu