Fazl-E-Rabbul ula aur kya chaahi-ay - Naat Lyrics

Fazl-E-Rabbul ula aur kya chaahi-ay
Mil ga-ay mustafa aur kya chaahi-ay

Daaman e mustafa jiss kay haathon mayn he
Uss ko roz e jaza aur kya chaahi-ay

Gunbad e sabz khuabon mayn aanay laga
Haazri ka sila aur kya chaahi-ay

Bheek kay saath hii un kay darbaar say
Mil rahii he dua aur kya chaahi-ay

Yay jabeen aur riyaaz ul jannah ki zameen
Ab qaza kay siwa aur kya chaahi-ay

Hesikandar sana khuan shaah e umam
Izzat o martaba aur kya chaahi-ay

Comments

Popular posts from this blog

Dil mein ishqe nabi ki ho aisi lagan - Naat Lyrics in Urdu

Dil pe qalme ki zarb laga - Hamd Lyrics

Sidra Se Bhi Aage Kaun Gaya Jibril e Amin Se Poocho - Naat Lyrics