Khaliq ne Apne Noor ka Jalwa dikha diyaa - Naat Lyrics

Khaliq ne Apne Noor ka, Jalwa dikha diyaa
Sab Noor ko Mila ke Muhammed bana diya

Aagayi Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo
De rahe hain farishte salaami
Tum duroodo ki maala banaa lo

Aagayi Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo

Apne mangto ko Wo paalte hain
Wo bhala kisi ko kab taalte hain
Sadqa Hasnain-o-Ghaus-ul-Waraa ka
Ya Nabi meri jholi me daalo

Aagayi Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo

Kar ke Naaton se har soo charaagha
Youn manaaeynge jashn-e-bahaara
Aashiqo Aamad-e-Mustafa hai
Deep Khushiyon ke har soo jala lo

Aagayi Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo

Bakht chamkenge eik din hamaare
Dekh lenge wo dilkash nazaare
Aap ko jo bhi sab se hain pyaare
Un ke sadqe mein hum ko bulaa lo

Aagayi Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo

Jin ke haatho mein hai Un ka daaman
Naam-e-Ahmad hai jis dil ki dhadkan
Jo hai pehchaan hum aashiqo ki
Jhoom kar Unka naara laga lo

Aagayi Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo

Poore ho jaenge un ke armaan
Kar rahe hain Wo bakhshish ka samaan
Jashn-e-Milaad ki barkaton se
Apne Qalbo Nazar jagmaga lo

Aagayi Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo

Midhat-e-Mustafa hi ke sadqe
Hai Moin apne sab kaam bante
Har gharri zikr ho Mustafa ka
Iss ko apna wazeefa bana lo

Aagayi Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo

Aagayi Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo
De rahe hain farishte salaami
Tum duroodo ki maala banaa lo

Aagayi Mustafa ki sawaari
Apne ghar ko diyo se sajja lo

Khaliq ne Apne Noor ka, Jalwa dikha diyaa
Sab Noor ko Mila ke Muhammed bana diya

Comments

Popular posts from this blog

Khila mere dil ki kali Ghous-e-Azam - Manqabat Lyrics

Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se - Naat Lyrics

Dil mein ishqe nabi ki ho aisi lagan - Naat Lyrics in Urdu