Khuda ka ziker karay zikr-e-mustafa na karay - Naat Lyrics

Khuda ka ziker karay, zikr-e-mustafa na karay, (x 3)

Hamaray moonh main woh aisi zubaan khuda na karay! (x 2)

Darr-e-Rasool pe aisa kabhi nahi dekha, (x 2)

Koi sawaal karay aur WOH ata’a na karay! (x 2)

Madina ja ke nikalna na shehar seh bahir, (x 2)

Khuda na khwasta yeh zindagi wafa na karay! (x 2)

Nabi ke qadmoun pe jis dum ghulam ka sir ho, (x 2)

Kaza’a seh kehdo ke ik lamha bhi kaza’a na karay! (x 2)

Aseer jis ko bana kar rakhein madinay main, (x 2)

Tamaam umar rihayi ki woh dua’a na karay! (x 2)

Kaha KHUDA ne shifa’at ki baat mehshar main, (x 2)

Pehal habib karay koi doosra na karay! (x 2)

Shaoor-e-Naat bhi ho aur zubaan bhi ho adeeb, (x 2)

Woh aadmi nahi jo innka haqq ada’a na karay! (x 2)

KHUDA ka zikar karay, zikr-e-Mustafa na karay,

Hamare moonh main woh aisi zubaan khuda na karay

Comments

Popular posts from this blog

Khila mere dil ki kali Ghous-e-Azam - Manqabat Lyrics

Pegham saba laye hai gulzar-e-nabi se - Naat Lyrics

Dil mein ishqe nabi ki ho aisi lagan - Naat Lyrics in Urdu