Posts

Showing posts with the label Manqabat

Karbala ki hai yaad aai - Manqabat Lyrics

Karbala ki hai yaad aai, ab aashk bahaaney do suey huey pehlu mein sab dard jagaaney do Sughra sey kahaa Shah ney, mat rokow mujhay beyti Deen lutatha hai Nana ka sar dey key bachaaney do Akbar ki shahadat par Sakeenah sey kahaa Shah ney armaan ka yeh lashaah mujh ko hi lutaney do Qur’an mera dil hai Qur’an ki mein jaan hun Qur’an ko neyzay par Qur’an sunaaney do Fatimat-uz-Zahrah ka hai doodh piya mein ney is doodh ki Karbal mein ab laaj nibhaaney do

Kabhee laichalo mujhe karbala - Manqabat Lyrics

Kabhee laichalo mujhe karbala Kia us zameen ka tha hosala Kia us pai hoga falak ghira Jahaan par Hussain ka tha Sar Kata Tha tabassum un kai zair-e-Lab Jab kar dya Kumbaa fidaa Tha ajab khilona vo teer bhee Jo Nanai seenai main tha lagaa Terai Sajdai ko karoon sajdai main Usai pyaar kitnaan karai Khudaa Teri iss ada pai naan reh saka Tujhai paas apnain bulaa lyaa Tera pyaar ban gayee us ki yaad Vo jiss kai agai tha tu jhukaa Choomoon main farsh-e-khaas ko Jis par vo paak Lahoo bahaa Kabhee laichalo mujhe karbala Kia us zameen ka tha hosala

Bachaya hai hussain (raziallahu tala anhu) ne deen ko - Manqabat Lyrics

Bachaya hai hussain (raziallahu tala anhu) ne deen ko Ke karbala me kata kar apne sar ko Kis tarha ki hai hifazat shariyat-e-Mustafa (sallallhu alaihi wa sallam)ki Qurbaan kar diya apne nanhe se asghar (raziallahu tala anhu) ko Haae kis tarha sabar kiye hai Aal-e-Rasool Khuda ki raah me qurbaan kardi apni jaanaun ko Tum muqtaar Nabi ke muqtaar Nawase ho ya hussain (raziallahu tala anhu) Kalima padaya us taazim karne wale yahudi ko Ye nawase hai do aalam ke badeshah ke Haye shimar mardud ye tune qatal kiya hai kis ko Batti gul karke kaha aapne, jo jana chahta hai jai Lekin manzur the saare jam-e-shahadat peenay ko Duaa kar dete Hussain (raziallahu tala anhu) halaak-o-barbaad hojate yazidi Lekin bhuk aur pyas manzoor thi Hussain(raziallahu tala anhu)ko Maan najdi yazid ku tu apna peshwa Hum ne to maan liya badeshah Hussain (raziallahu tala anhu) ko Sirf ye sabar hi tha majboori nahi aye najdi Chahe to thokar mar kar paani pila dete sab ko Aa e hai yazidi ban kar najdi aur raabzi Ya hussa

Kuch na poocho maqaam Khwaja ka - Manqabat Lyrics

Image
Kuch na poocho maqaam Khwaja ka Arshion may hai naam Khwaja ka Da ‘wat-e-deen kaam Khwaja ka Sab ki khidmat nizaam Khwaja ka Hind taa Chisht Kaam Khwaja ka Boal baala hai naam Khwaja ka Unki manzil hijaab ‘azmat hai Arsh hai eik gaam Khwaja ka Yeh Patan paak Dehli o Kalyar Sab ko paya maqaam Khwaja ka Dost to dost aaj dushman bhi Latay rehtay hein naam Khwaja ka Chishti manzil bihisht ki manzil Baam baalay baam Khwaja ka Eik muslim hi kya kay hindu bhi Karta hai ehteraam Khwaja ka Sab ki poori muraad hoti hay Hai ye Faizaane ‘aam Khwaja ka Yeh jo Khushtar hai Qadri Razvi Yeh bhi hai eik ghulaam Khwaja ka

Ay Raza Martaba Kitna Huwa Baala Tera - Manqabat Lyrics

Image
Ay Raza Martaba Kitna Huwa Baala Tera Hind To Hind Arab May Huwa Shora Tera Naam A’la Hai Tera Hazrat-e-A’la Tera Kaam Ula Hai Tera Ay Shahay Wala Tera Koi Kya Jaanay Bara Kitna Hai Rutba Tera Asfiya Choomna Chahain Woh Hai Talwa Tera Kitna Ooncha Kiya Allah Nay Rutba Tera Ghaus-e-Azam Ko KiyaWaali-O-Maula Tera Nisbat-e-Alay Rasool ( ) Bhi Ajab Nisbat Hai Ghaus Tak Laygaya Tujh Ko Yeh Wasila Tera Is Sadi Ka Tu Mujjadid Tu Zaamanay Ka Imaam Ehlay Haq Chaltay Hain Jis Par Woh Hai Rasta Tera Tujh Ko Allah Nay Har Fazl Ata Farmaya Kon Sa Ilm Kay Jismay Nahin Hissa Tera Is Zamanay May Koi Tujh Say Na Dekha Na Suna Ghaus-e-Azam Ki Karamat Thi Sarapa Tera Tarjuma Ban Gaya Quran Ka Kanzul Imaan Hashr Tak Jaari Yeh Faizan Rahay Ga Tera Tu Nay Imaan Diya Tu Nay Jamaat Day Di Ahle Sunnat Pay Yeh Ehsaan Hai Aaqa ( ) Tera Maslak-e-Haq Ki Zamaanat Hai Tera Naam Raza Shaan-e-Tehqeeq Ada Kargaya Khaama Tera Mustafa ( ) Ka Teray Khaadim Teray Haamid Ka Ghulaam Khushtar-e-Banday Darbaar Hai Tera Tera

Ay Imaam-ul- hudaa Shaahe Ahmad Raza - Manqabat Lyrics

Image
Ay Imaam-ul- hudaa Shaahe Ahmad Raza Murshid-ul-atqiyaa Shaahe Ahmad Raza Haq ki tu hai Raza Shaahe Ahmad Raza Tujhse Raazi Khuda Shaahe Ahmad Raza Shukr Allah Ka Shaahe Ahmad Raza Deen tujhsay mila Shaahe Ahmad Raza Ahle sunnat ka bera na kyun paar ho Is ka tu nakhuda Shaahe Ahmad Raza Ghaus ka Mustapha ( ) ka Khuda ka howa Jo bhi tera howa Shaahe Ahmad Raza Tu nay baatil ka sar kaath kar rakhdiya Haq ko zinda kiya Shaahe Ahmad Raza Teri tehreer haq iska har har waraq Haq ka hai faisla Shaahe Ahmad Raza Mustapha ( ) Ghaus -o-Khwaja kay Barkaat tak Hai tera silsila Shaahe Ahmad Raza Hai ye maahe safar is mein har har nagar Urs tera howa Shaahe Ahmad Raza Laaj donon jahan may teray haath hai Mein talab tu aataa Shaahe Ahmad Raza Naz’r-o-mehshar may Khushtar hi Khushtar rahay Hai ye tera gadaa Shaahe Ahmad Raza

Aaya hai ye tera deewaana Shayanlillah Shayanlillah - Manqabat Lyrics

Image
Aaya hai ye tera deewaana Shayanlillah Shayanlillah Kehta hai ye har dam mastaana Shayanlillah Shayanlillah Khaalee hai meri jholi bhar do Ay Ghaus mujhay boli bhar do Darbaar hai tera shahaana Shayanlillah Shayanlillah Tu jaan-e-wali hai kaan-e-sakhi darbaar main teray kya hai kami Bhar day meray saaqee paymaana Shayanlillah Shayanlillah Hai hukm tera hukm-e- rabbi eik dam main jo chahai kar day wohi Ye daur hai tera shahaana Shayanlillah Shayanlillah Main bad hi sahi main chor hi sahi main mujrim-o-khaati kuch hi sahi Par tera houn jaan-e-jaanaana Shayanlillah Shayanlillah Tu peer mera laathani hai aur Ghaus mera Jeelani hai Main tera mureed deewaana Shayanlillah Shayanlillah Chaahoun jo agar tujh ko chaahoun dekhoun jo agar tujh ko dekhoun Kar day mujhe sab se beegaana Shayanlillah Shayanlillah Islaam ka main eik saa-il houn aur naam ka teray Shaaghil houn Parhta howa tera do-gaana Shayanlillah Shayanlillah Chootay na kabhi tu aur Ahmad, mushkil jo paray ho teri madad Gar waqt naz’a

Faryaad hai faryaad hai faryaad hai ya Ghaus - Manqabat Lyrics

Image
Faryaad hai faryaad hai faryaad hai ya Ghaus Yeh banda dar-e-moriday baybaad hai ya Ghaus Kehtain hein bhikaari tera barbaad hai ya Ghaus Mumkin nahin ye dar tera aabaad hai ya Ghaus Kya khawf koyi gar sitam ijaad hai ya Ghaus Meray liyay kaafi teri imdaad hai ya Ghaus Hai wirday zabaan shayan lillah ka na’ra Har ranj say saa-il tera aazaad hai ya Ghaus Achha hun bura hun mein beher haal tera houn Kya haq mein meray aap ka irsaad hai ya Ghaus Ho naz’a ka dam ya kai lahad ho kai ho meezaan Har eik jagah lab pay teri yaad hai ya Ghaus Looti hai issi nai mere ghar bhar ki kamaayi Rehzan hai sitamgar hai ye jallaad hai ya Ghaus Farmaa kay mureedi liya aahosh karam mein Taa hashr har eik gham say ye aazaad hai ya Ghaus Khushtar sag-e-darbaar hai tukray pay pala hay Farmadein ye banda mera aazaad hai ya Ghaus

Bigri Meyri Banaado Yaa Mustafa Raza Khan - Qari Rizwan - Manqabat Lyrics

Bigri Meyri Banaado Yaa Mustafa Raza Khan Ranj o Alam Mitaado Yaa Mustafa Raza Khan ‘Ilm o ‘Amal Key Paikar Taqwa Key Ho Samandar Qatrah Mujhey ‘Ataa Ho Yaa Mustafa Raza Khan Khaali Hai Meyri Jholi Haazir Hai Yeh Sawali Dastey Karam Barhaado Yaa Mustafa Raza Khan Pyaarey Nabi Ki ‘Ulfat Dil Mey Rahey Salaamat Dil Ko Meyrey Jilaado Yaa Mustafa Raza Khan Shakir Key Dil Sey Aaqa Hubbey Jahan Mitaado Ishq e Nabi ‘Ataa Ho Yaa Mustafa Raza Khan

Ahmed Raza Ney Faiz Ka Daryaa Bahaa Diyaa - Qari Rizwan - Manqabat lyrics

Ahmed Raza Ney Faiz Ka Daryaa Bahaa Diyaa Hubbey Nabi Sey Dil Ko Madinah Banaa Diyaa Khidmat Nabi Key Deen Ki Kuch Is Tarha Sey Ki Bid’aat o Munkaraat Ka Qil’a Giraa Diyaa ‘Azmat Bithaa Di Aap Ney Aaqa Ki Qalb Main Badley Mey Rab Ney Aap Ko A’ala Diyaa Naamoos e Mustafa Ki Hifaazat Key Waastey Meyrey Raza Ney Apnaa Sabhi Kuch Lutaa Diyaa Jaan e Muraad Kaan e Tamanna Huzoor Hain Apna ‘Aqeedah Aap Ney Kaamil Banaa Diyaa Ad Daulatul Makkiyah Hai Burhaan e ‘Ilm e Ghaib ‘Ilm e Nabi Ka Aap Ney Sikka Bithaa Diyaa Shakir Teyra Ehsaan Na Bhooleyga Hashr Tak Ishq e Nabi Main Dil Ko Tarapna Sikhaa Diyaa

Bigri Meyri Banaado Yaa Shaah e Sanjari - Qari Rizwan - Manqabat Lyrics

Bigri Meyri Banaado Yaa Shaah e Sanjari Ranj o Alam Mitaado Yaa Shaah e Sanjari Kitna Karam Hai Mujh Ko Apna Bana Liyaa Hai Qismat Meyri Jagaado Yaa Shaah e Sanjari Par Hai Na Paas Zar Hai Bas Aap Ki Nazar Hai Taibah Mujhey Dikhaado Yaa Shaah e Sanjari Ishq e Nabi Mey Aaqa Saabit Qadam Rahain Hum Bil Khair Khaatima Ho Yaa Shaah e Sanjari Phir Hind Ki Zameen Mey Zaalim Ubhar Rahey Hain Teer e Nazar Chalaado Yaa Shaah e Sanjari Tehreek e Sunni Dawat e Islami Ko Huzoor ‘Aalam Mey Ab Chalaado Yaa Shaah e Sanjari Husn e ‘Amal Sey Qaasir Dar Pey Khara Hoon Main Apna Mujhey Banaalo Yaa Shaah e Sanjari Shakir Pey Bhi ‘Inaayat Farmaaye Huzoor Khwaabidah Dil Jagaa Do Yaa Shah e Sanjari

Aagaya Hai Gadaa Shah e Hindustan - Qari Rizwan - Manqabat Lyrics

Aagaya Hai Gadaa Shah e Hindustan Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Auliya o Qutub Dey Rahey Hai Sadaa Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Zaahid o Muttaqi Keh Rahey Hain Sabhi Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Aap Ibn e ‘Ali Intikhaab e Nabi Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Tum Sakhi Ho Meyrey Mey Bhikaari Teyra Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan Baa Adab Mey Madiney Mey Jaata Rahoon Kardo Aisee Du’a Khwaja e Khwaajgaan Shakir e Bey Nawaa Keh Rahaa Hai Yahi Yak Nazar Soo e Maa Khwaja e Khwaajgaan

Haqq Chaar Yaar - HAFIZ TAHIR QADRI - Manqabat Lyrics

Image
Labbayk V Sadayk Ashab e Muhammad Labbayk As'hab e Muhammad Khuda ko inse pyar Hai Mustafa ke yaar Nabi ke Pehredaar Vafa ke alamdaar Jinko hai inse pyaar  Vo milke bole yaar Haqq Chaar Yaar  Haqq Chaar Yaar  Sahaba Sahaba hamare sahaba Nabi chand hai aur sitare sahaba Abu Bakr o Farook Usmaan o Haidar Yahi chaar hai saari ummat ke rehbar Bane deen e haq ke sahare sahaba Nabi chand hai aur sitare sahaba Nabi ke Pehredaar Vafa ke alamdaar Jinko hai inse pyaar Vo milke bole yaar Haqq Chaar Yaar Haqq Chaar Yaar Ye ahekaam e quraan baja lane vaale Muhammad ke parcham ko lehraane vale Nabi ke muhafiz hamare sahaba Nabi chand hai aur sitare sahaba Nabi ke Pehredaar Vafa ke alamdaar Jinko hai inse pyaar Vo milke bole yaar Haqq Chaar Yaar Haqq Chaar Yaar Hadeeson mai vazeh ishara mila hai Khilafat mai pehla jo darja mila hai Hai siddik afzal pukare sahaba Nabi ke Pehredaar Vafa ke alamdaar Jinko hai inse pyaar Vo milke bole yaar Haqq Chaar Yaar Haqq Chaar Yaar Fida ka abi o ummi o Ruhi Vo

Haidar Haidar - HAFIZ TAHIR QADRI - Manqabat Lyrics

Image
Haidar  Haidar  Haidar  Haidar  Ali Ali Maulaa Ali Ali Mai jis dha maula usdha ali maula Bolan sare sajjan mil kar    Dariya jangal karan samandar  Paak Batul de sir dha sahi Naam jina dha mehshar tahi Japdhe rehnde mast kalandar Bolan sare sajjan mil kar Haidar nu koi aam na samjo Haidar nu gumnaam na samjo Aajvi kamp dha sun ke khaibar Haidar  Haidar Hasan hussain dha baba jaani Haidar jag vich hai la sani Valiya dha sardar te safdar Bolan sare sajjan milkar Ban ja gizr gulam ali dha Vird bana le naam ali dha Jis ja naam pagay ae kambar Haidar  Haidar

Saiyyada Fatima ki chokhat se - HAFIZ TAHIR QADRI - Manqabat Lyrics

Image
Ya Zahra  Binte Rasool Ya Zahra Zahra Bint e Rasool Assalam Assalam    Ya Zahra  Binte Rasool Kar lijiye apni gulami mai kabool Jo bhi jitna bhi maine paya hai Saiyada Fatima ki chokhat se Ek mai kya zamana palta hai Saiyyada Fatima ki chokhat se Assalam Assalam  Ya Zahra  Binte Rasool Kar lijiye apni gulami mai kabool Baag e jannat ka fool hai zahra Aur bint e rasool hai zahra Faiz kaun o makaa ko milta hai Saiyyada Fatima ki chokhat se Assalam Assalam Padke tasbeeh fatima aksar  Ham dukhon ka malava karte hai Hamne aksar sukun paya hai Saiyyada Fatima ki chokhat se Assalam Assalam Dardo alam hai pareshani Aao zahra ke dar pe chalte hai Gam ke maaro karar milta hai Saiyyada Fatima ki chokhat se Assalam Assalam Ye garana sakhi garana hai Is garane ka noor hai zahra Dariya zudo sakha ka behta hai Saiyyada Fatima ki chokhat se Assalam Assalam Us ke kad ki bulandi ya Katib Kaun jaane kaha talak hogi Jo bhi matha lagaye baitha hai Saiyyada Fatima ki chokhat se Assalam Assalam

Saiyeda Ma Ayesha - HAFIZ TAHIR QADRI - Manqabat Lyrics

Image
Tayyab tahera Saiyeda Ma Ayesha Sayyada ma Ayesha  Sayyada ma Ayesha  Ye Fakira alima hai  Sayyada ma Ayesha  Ilm me sab se juda  Sayyada ma Ayesha  Aap ke bistar mubarak par bhi ati thi vahi Kya makam o martaba hai  Sayyada ma Ayesha  Mustafa ne jaan di jab sar tha teri god me Ye to ezaz e khuda hai  Sayyada ma Ayesha  Aap ki tasveer le kar aaye the ruhul amee Zoz e shahe ambiya hai  Sayyada ma Ayesha  Aayesha ka hujra anvar roza e sarkar hai Ye muhabbat ka sila hai  Sayyada ma Ayesha  Aap ki paki me utri hai athara ayaten Ye gavahi e khuda hai  Sayyada ma Ayesha  Azmatein aesi Ujagar arsh par naare lage Tayyaba aur tahera hai  Sayyada ma Ayesha

Abbas tere dar sa duniya mai dar kaha - HAFIZ TAHIR QADRI - Manqabat Lyrics

Image
Gazi Abbas Gazi Abbas  Gazi Abbas Gazi Abbas  Abbas tere dar sa duniya mai dar kaha Jukte hai jaha shah bhi tera vo astaan Abbas tere dar sa duniya mai dar kaha Tu kamre bani hashim zohra ki dua hai Saya tere alam ka do jag pe ba khuda hai Tere alam ko chumne jukta hai asmaan Abbas tere dar sa duniya mai dar kaha Shere khuda hai baba shere karbala tu Tere dar pe jo bhi aaye mushkil kare kusha tu Tere diye jalata hai is liye jahan Abbas tere dar sa duniya mai dar kaha Tu shahenshah hai aqa do jag me teri shahi Panjtan hai tuj pe nazaa esi vafaa nibhai Shahid tere alam par panjtan ka ye nishan Abbas tere dar sa duniya mai dar kaha

Noor ki anjuman Fatima - Qari Rizwan - Manqabat Lyrics

Image
Noor ki anjuman Fatima Markaz e Panjatan Fatima Arsh se ban ke aayi hai tu Murtaza ki dulhan Fatima Kehkasha se ziyada haseen Tere ghar ka chaman Fatima Teri mamta ke hai do nayan Ik Hussain Ik Hasan Fatima Khuld ka Arsh par hai dimaag Chu ke tere charan Fatima Kab kisi maa ne paida kiye Phir Hussain o Hasan Fatima Tere Shauhar ke dar se mila Humko rizqe sukhan Fatima Gair ne Jisko dekha nahi Tera woh pairahan Fatima

Peero ka peer hai raushan zameer hai - Manqabat Lyrics

Peero ka peer hai raushan zameer hai Baghdad wala dulha sabka dastagir hai Nabi ke noor se pur noor unka seena hai Isiliye unhe raushan zameer Kehte hai Ghulame Gaus hai aazad kar diya tujhko Yeh mujhse kabr me Munkar Nakeer kehte hai Peero ka peer hai raushan zameer hai Baghdad wala dulha sabka dastagir hai Na mai hukumat mangu taaje shahi na mangu Mangu toh kiske dar se tera fakeer ho ke Gaus sakhawat teri sabse benazeer hai Peero ka peer hai raushan zameer hai Baghdad wala dulha sabka dastagir hai Mehboobe subhani hai Kindil e Noorani hai Woh hai aaqa ke pyaare Maula Ali ke taare Dilbar Zahra ka zille Shabbar o Shabbir hai Peero ka peer hai raushan zameer hai Baghdad wala dulha sabka dastagir hai De de Khwaja ka sadqa Ahmed Raza ka sadqa Mujhko apna banale daaman me tu chupa le Sunni Dawate Islami teri aseer hai Peero ka peer hai raushan zameer hai Baghdad wala dulha sabka dastagir hai

Dar-e-Khwaja Pe Sawali Ko Khara Rehne Do - Manqabat Lyrics

Dar-e-Khwaja Pe Sawali Ko Khara Rehne Do Sar Nidamat Se Jhuka Hai Tou Jhuka Rehne Do Mujh Ko Mil Jayega Sadqa Mein Chala Jaonga Kasa-e-Dil Mera Qadmoon Mein Para Rehne Do Khud Hee Farmayeingay Mujrim Pe Woh Rehmat Ki Nazar Mujh Ko Khwaja Ki Adalat Mein Khara Rehne Do Chor Ke Aap Ka Dar Mein Kahan Jaonga Iss Gada Ko Issi Saaye Mein Para Rehne Do Mujhko Karna Na Juda Dar Se Kabhi Khwaja Jee Dil Jo Deewana Bana Hai Tou Bana Rehne Do Roz-e-Mehshar Ye Gunaahgaar Ke Kaam Ayega Warsi Rung Charhra Hai Tou Charhra Rehne Do Arz Karta Hoon Mein Rozana Ye Khwaja Se Khalil Apni Rehmat Se Jahan Mera Saja Rehne Do