Posts

Showing posts with the label muzdaebakshish

Hai Karam Aap Ka Sarkaar Rasool e ‘Arabi - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Hai Karam Aap Ka Sarkaar Rasool e ‘Arabi Phir Dikhaaya Mujhey Darbaar Rasool e ‘Arabi Aisey ‘Aasee Ko Banaaya Madiney Ka Mehmaan Jo Hai Sartaapa Khataa Kaar Rasool e ‘Arabi Bhardo Aaqa Merey Aaqa Meyri Jholi Bhardo Mey Bhi Hoon Haazir e Darbaar Rasool e ‘Arabi Sadqa Hasnain Ka Deydo Merey Aaqa Mujh Ko Mey Karam Ka Hoon Talabgaar Rasool e ‘Arabi Waasta Pyaarey Raza Ka Tumhey Deytaa Hoon Shahaa Apna Kehdo Sag e Darbaar Rasool e ‘Arabi Arz e Shakir Merey Aaqa Hai Yeh Waqt e Rukhsat Phir Dikhaana Mujhey Darbaar Rasool e ‘Arabi

Jashn e Meelad Hum Manaa Yaingey - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Jashn e Meelad Hum Manaa Yaingey Rab Sey Sadqa Nabi Ka Paa Yaingey Door Dil Ki Siyahee Karney Ko Mehfil e Na’at Ham Sajaa Yaingey Aaj Ki Shab Hai Rehmaton Ki Shab Rab Ki Rehmat Mey Hum Nahaa Yaingey Daikh Kar Qabr Mey Teyra Jalwah Na’at e Salley ‘Alaa Sunaa Yaingey Maang Deewaney Unsey Taibah Ko Sadqey Meelad Key Bulaa Yaingey Paak Karley Nigaah Ashkon Sey Aaqa Jalwah Tujhey Dikhaa Yaingey Kaash Mehshar Mey Aaqa Farmaadain Aaja Shakir Tujhey Bachaa Yaingey

Shah e Madinah Mujh Ko Taibah Bulaa Liye Hain - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Shah e Madinah Mujh Ko Taibah Bulaa Liye Hain Soyee Huwi Thee Qismat Aaqa Jagaa Diye Hain Qismat Pey Rashk Meyri Kartey Hain Sub Farishtey Phir Sey Madiney Mujh Ko Aaqa Bulaa Liye Hain Maanga Hai Jo Bhi Jab Bhi Uss Sey Siwa Milaa Hain Jholi Ko Sab Ki Bhar Key Aaqa Du’a Diye Hain Eyk Ko Mili Sadaqat Eyk Ko Mili ‘Adaalat Sadqey Unhee Ka Deydo Daaman Bichaa Diye Hain ‘Uthman ‘Ali Ka Sadqa ‘Ilm o ‘Amal ‘Ataa Ho Armaan Liye Yeh Dar Pey Bistar Jamaa Diye Hain Shakir Pey Jab Bhi Chaaye Huzn o Alam Key Baadal Aaqa Nibha Liye Hain Daata Bachaa Liye Hain

Merey Aaqa Merey Sultan Madiney Waaley - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Merey Aaqa Merey Sultan Madiney Waaley Tum Pey Sau Jaan Sey Qurbaan Madiney Waaley Deykh Kar Aap Key Gumbad Ka Wo Haseen Manzar Nikley Dil Sey Sabhi Armaan Madiney Waaley Zaa-ir e Qabr e Munawwar Ki Shafaa’at Hogi Hai Yahi Aap Ka Farmaan Madiney Waaley Na’at Mey Likhta Rahoon Na’at Faqat Parhta Rahoon Ho Yahi Zeest Ka Saamaan Madiney Waaley Khidmat e Deen Key Jazbey Ko Salaamat Rakhna Taakey Barhta Rahey Imaan Madiney Waaley Shakir e Razvi Pey Aaqa Ho Nigah-e-Rehmat Yeh Bechaara Hai Pareyshaan Madiney Waaley

Dard e Dil Chaahiye Chashm e Tar Chaahiye - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Dard e Dil Chaahiye Chashm e Tar Chaahiye Mujh Ko Aaqa Ki Pyaari Nazar Chaahiye Hai Munawwar Ziya Sey Yeh Saara Jahan Sab Key Dil Ki Haqeeqat Hai Unpar ‘Ayaan Merey Dil Ki Tamanna Hai Jaan e Jahan Noor Ki Eyk Kiran Ab Idhar Chaahiye Sarwarey Do Jahan Ka Hai Behad Karam Zaatey Waala Sey Qaayim Hai Mera Bharam Mujh Ko Aaqa Dikhaatey Ho Apna Haram Aap Ki Deed Ko Chashm e Tar Chaahiye Khud Khudaa Ney Banaaya Hai Tum Ko Habeeb Aur Uss Ney Banaaya Hai Tum Ko Tabeeb Marz e ‘Isyaan Sey Ab To Shifa Ho Naseeb Sunnaton Par ‘Amal ‘Umr Bhar Chaahiye Ya Nabi Mujh Pey Ho Eyk Karam Ki Nazar Baar e ‘Isyaan Sey Ab To Jhuki Hai Kamar Koi Husn e ‘Amal To Nahin Hai Magar Mujh Ko Bakhshish Ka Zaad e Safar Chaahiye Bheek ‘Ilm o ‘Amal Ki ‘Ataa Keejiye Apni Sunnat Ka Paikar Banaa Deejiye Jaam e ‘Ulfat Mujhey Ab Pilaa Deejiye Waqt e Aakhir Mujhey Wo Nazar Chaahiye Sharf e Khidmat ‘Ataa Ho Gulaamon Ko Ab Jitney ‘Ushaaq Hain Sab Rahey Baa Adab Khuld Maskan Baney Aur Raazi Ho Rab Har Du’a Mey Meyri Wo Asar Chaahiy

Karam Kartey Hee Rehtey Ho Karam Kartey Hee Rehna Tum - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Karam Kartey Hee Rehtey Ho Karam Kartey Hee Rehna Tum Madiney Mey Bulaatey Ho Bulaatey Yunhi Rehna Tum Tasawwur Mey Takhayyul Mey Madiney Aatey Jaatey They Bulaaya Ab Madiney Mey Bulaatey Yunhi Rehna Tum Gira Hoon Baarey Isyaan Sey Agisnee Ya Rasool Allah Girey Ko Tum Uthaatey Ho Uthaatey Yunhi Rehna Tum Gham-e-Ishq-e-Muhammad Mey Rahey Aankhain Hameysha Nam Pilaatey Jaam e ‘Ulfat Ho Pilaatey Yunhi Rehna Tum Nazar Key Saamney Haazir Hain Aaqa Aap Ka Mujrim Mitaao Is Key Jurmo Ko Mitaatey Yunhi Rehna Tum Mili Iftaar Ki ‘Izzat Mujhey Phir Maah e Ramzan Mey Khilaya Mujh Ko Qadmon Mey Khilatey Yunhi Rehna Tum Miley Shab Qadr Ki Ne’mat Shahaa Hamza Key Sadqey Mey Lutaatey Unka Sadqa Ho Lutaatey Yunhi Rehna Tum Chala Hoon Phir Madiney Sey Liye Arman Yeh Dil Mey Bulaana Jald Taibah Mey Bulaatey Yunhi Rehna Tum Muradain Sab Ney Paayee Hain Isi Sarkaar Mey Aakar Hansaya Tumney Roton Ko Hansatey Yunhi Rehna Tum Karam Sey Aap Key Jaaga Pisar Ka Bakhtey Khufta Yun Dikhaaya Usko Taibah Bhi Dikhaate

Nibhaalo Tum Nibhaalo Tum Nibhaalo Ya Rasool Allah- Qari Rizwan - Naat Lyrics

Nibhaalo Tum Nibhaalo Tum Nibhaalo Ya Rasool Allah Bulaalo Ab Madiney Mey Bulaalo Ya Rasool Allah Satatey Hain Jo Duniya Waley Is Ka Kuch Nahi Hain Gham Mujhey Bas Apna Keh Kar Tum Bulaalo Ya Rasool Allah Sunehri Jaaliyon Key Saamney Pohcha Hoon Mey Aaqa Mujhey Apni Ziyaarat Tum Karaado Ya Rasool Allah Meyri Qismat Buree Ho To Khudara Tum Bhalee Kardo Sanwaaro Meyri Qismat Ko Sanwaaro Ya Rasool Allah ‘Ataa Ho ‘Ilm Ki Daulat ‘Ataa Ho Deed Ki Daulat Damey Aakhir Madinah Bhi ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah Shafa’at Ka Sawali Hoon Sawali Hoon Mey Rehmat Ka Ijaabat Sey Nawaazo Tum Nawaazo Ya Rasool Allah Mo’in-e-Raah-e-Taiba Hain Merey Khwaja Mo’inuddeen Mo’in-e-Raah-e-Jannat Bhi Banaado Ya Rasool Allah Tasadduq Ghaus e A’azam Ka Tawassul A’ala Hazrat Ka Baqee-e-Paak Key Qaabil Banaado Ya Rasool Allah Nigah-e-Mufti-e A’azam Ney Zindah Kardiya Dil Ko Unhee Ka Saath Mehshar Mey ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah Tamanna Yeh Liye Jaata Hai Aaqa Shakir e Razvi Isey Izney Madinah Phir ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah

Mainey Rukh Kar Liya Madiney Ka - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Mainey Rukh Kar Liya Madiney Ka Kya Bigaarey Koi Safiney Ka Chashmey Rehmat Paree Hai Mujh Par Bhi Lutf Aayega Ab To Jeeney Ka Apni Ulfat Ka Jaam Do Mujhko Mast Kar Do Mujhey Madiney Ka Jaanib e Naar Mey Na Jaaoonga Mainey Rukh Kar Liya Madiney Ka Aakhri Waqt Dafan Honey Ko Deydo Tukra Mujhey Madiney Ka Keyse Kehdoon Ke Be Sahaara Hoon Mujh Ko Aaqa Milaa Madiney Ka Deydo Taibah Ki Haazri Ka Sharaf Meyra Maskan Banaa Madiney Ka Abrey Rehmat Ko Ab Barasney Do Daag Dhul Jaaye Merey Seeney Ka Shakir e Bey Nawaa Ko Bhi Aaqa Phir Sey Mehmaan Banaa Madiney Ka Khwaaja e Khwaajgaan Ke Sadqey Mey Main Musaafir Banaa Madiney Ka Ghaus o Khwaaja Raza o Ibn e Raza Naam Khuld e Bareen Ke Zeeney Ka Hai Yehi Wird e Shakir e Razvi Mainey Rukh Kar Liya Madiney Ka

Merey Sarkaar Madiney Mey Bulaatey Rehna - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Merey Sarkaar Madiney Mey Bulaatey Rehna Gham e Duniya Gham e ‘Uqba Sey Bachatey Rehna Koi Mushkil Nahi Aisee Jo Na Taali Tum Ney Merey Daata Meyri Bigri Ko Banaatey Rehna Hashr Ki Pyaas Mujhey Jab Key Pareyshan Kardey Jaam e Kauthar Ka Mujhey Aap Pilaatey Rehna Kaash Jalwah Merey Aaqa Jo Dikhaayain Mujh Ko Mey To Kehdunga Isey Aap Dikhaatey Rehna Koi Neyki Nahi Daaman Mey Merey Ya Madani Mujh Siyaah Kaar Ko Sarkaar Nibhaatey Rehna Hai Masaa-ib Mey Ghiree Aap Ki Ummat Aaqa Zulm-o-Zaalim Sey Isey Aap Bachaatey Rehna Aaj Phir Sey Mujhey Taibah Ka Banaaya Zaa-ir Meyri Qismat Ko Isee Tarha Jagaatey Rehna Dar Pey Sarkaar Key Haazir Hain Gulam e Ajami Laaj Is Ki Merey Mukhtaar Bachaatey Rehna Aaj Taibah Sey Chala Hoon Mein Watan Ki Jaanib Apney Dar Par Merey Mukhtar Bulaatey Rehna Wehshat-e-Qabr Sey Ghabraaye Jo Shakir Aaqa Thapkiyaan Deykey Usey Aap Sulaatey Rehna

Dil Ki Duniya Ko Sajaao Aaqa (MUZDA E BAKHSHISH) - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Dil Ki Duniya Ko Sajaao Aaqa Apni Ulfat Mey Jilaao Aaqa Hubbey Duniya Sey Bachaana Mujh Ko Mujh Ko Apna Hee Banaao Aaqa Shauq e Deedar Mey So-Un Jis Shab Apna Deedar Karaao Aaqa Fikr e Duniya Mey Na Aansoo Nikley Apni Ulfat Mey Rulaao Aaqa Jitney Mo’min Hain Pareyshaan Shaaha Sab Ki Bigri Ko Banaao Aaqa Aakhri Dum Bhi Adaa Ho Sunnat Peer Key Din Jo Qaza Ho Aaqa Mujh Ko Phir Dushmano Ney Gheyra Hai Apney Daaman Mey Chupaao Aaqa Shakir e Razvi Hai ‘Aasi Shaaha Muzda Bakhshish Ka Sunaao Aaqa Dil Tarapta Hai Huzoori Ko Huzoor Sadqey Murshid Key Bulaao Aaqa

Ka’abey Key Dar Key Saamney Maangi Hai Yeh Dua Faqat - Qari Rizwan - Hamd Lyrics

Ka’abey Key Dar Key Saamney Maangi Hai Yeh Dua Faqat Haathon Mey Hashr Tak Rahey Daaman e Mustafa Faqat Apney Karam Sey Ai Khuda ‘Ishq e Rasool Kar ‘Ataa Aakhree Dum Labon Pey Ho Salley ‘Alaa Sadaa Faqat Taibah Ki Seyr Ko Chalain Qadmon Mey Unki Jaan Dey Dafn Ho Unkey Shehar Main Hai Yahi Ilteja Faqat Naz’a Key Waqt Jab Meyri Saanson Mey Inteshaar Ho Meyri Nazar Key Saamney Gumbad Ho Wo Haraa Faqat Munkar Nakeer Qabr Mey Ham Sey Sawaal Jab Karain Aisey Mey Wird Ham Rakhain Aap Key Naam Ka Faqat Duniya Ki Saari Ne’matain Meyri Nazar Mey Heych Ho Rakhney Ko Sar Pey Gar Miley Naa’lain e Mustafa Faqat Na’atain Rasool e Paak Hai Nazmi Ka Maqsad e Hayaat Qabr Mey Bhi Labon Pey Ho Sarkaar Ki Sanaa Faqat

Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya- Qari Rizwan - Hamd Lyrics

Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Banaaya Jo Mangta Karam Ho Khudaaya Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Banaaya Jo Mangta Karam Ho Khudaaya Iraadon Pey Ghaalib Iraada Teyra Hai Teyra Hukm Sab Par Hameysha Chala Hai Ilaahi Jagaadey Meyra Bakhte Khufta Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Meri Lagzisho Par Karam Ka Qalam Ho Isi Sey Jahan Mey Meyra Ab Bharam Ho Rahey Hashr Mey Bhi Karam Ka Sahaara Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Tu Sunta Hai Sab Ki Hamaari Bhi Sunley Key Bando Mey Khaas Apney Ham Ko Bhi Chunley Mujeeb In Du’aaon Ko Maqbool Farmaa Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Mey Hoon Teyra Saajid Tu Masjood Meyra Mey Hoon Teyra Bandah Tu Ma’bood Meyra Asaas e 'Ibadat Mujhey Dey Dey Maula Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Terey Ghar Key Chakkar Lagaata Hoon Maula Yunhi Saarey ‘Isyaan Mitaata Hoon Maula Raza Teyri Haasil Ho Ab To Khudaaya Karam Ho Karam Ho Karam Ho Khudaaya Hai Rehmaan Tu Hee Hai Jawwad Tu Hee Hai Ghaffar Tu Hee Hai Sattaar Tu Hee Hamari Khataa-on Ko Tu

Hai Paak Rutba Fikr Sey Uss Bey Niyaaz Ka - Qari Rizwan - Hamd Lyrics

Hai Paak Rutba Fikr Sey Uss Bey Niyaaz Ka Kuch Dakhal ‘Aqal Ka Hai Na Kaam Imtiyaaz Ka Lab Band Aur Dil Mey Wo Jalwey Bharey Huwey Allah Rey Jigar Terey Aagaah Raaz Ka ‘Ash Aagayaa Kaleem Sey Mushtaq Deed Ko Jalwah Bhi Bey Niyaaz Hai Uss Bey Niyaaz Ka Har Shai Sey ‘Ayaan Merey Saane’ Ki San’atain ‘Aalam Sab Aa-inoon Mey Hai Aa-ina Saaz Ka Aflaak Waariz Sab Terey Farmaan Pazeer Hain Haakim Hain Tu Jahan Key Nisheb–o–Faraaz Hain Is Bey Kasee Mey Dil Ko Merey Teyk Lag Gayee Shehr–o–Sunaa Jo Rehmat Beykas Nawaaz Ka Maanand Sham’a Teyri Taraf Lau Lagee Rahey Dey Lutf Meyri Jaan Ko Soz-o-Gudaz Ka Tu Bey Hisaab Bakhsh Key Hain Bey Hisaab Jurm Deyta Hoon Waasta Tujhey Shah e Hijaaz Ka Bandey Pey Terey Nafs-e-La’een Ho Gaya Muheet Allah Kar Kyun Kar Na Merey Kaam Baney Ghaib Sey Hasan Ilaaj Meyri Hirs-o-Aaz Ka Banda Bhi Hoon Kaisey Barey Kaar Saaz Ka

Allahu Allahu Allahu Allahu - Qari Rizwan - Hamd Lyrics

Allahu Allahu Allahu Allahu Qalb Ko Uski Rooyat Ki Hai Aarzoo Jis Ka Jalwah Hai ‘Aalam Mey Har Chaar Soo Balkey Khud Nafs Mey Hai Wo Subha Nahoo ‘Arsh Par Hai Magar ‘Arsh Ko Justa Joo Allahu Allahu Allahu Allahu ‘Arsh-o-Farsh-o-Zamano Jihat Ai Khuda Jis Taraf Deykhta Hoon Hai Jalwah Teyra Zarrey Zarrey Ki Aankhon Mey Tu Hee Ziyaa Qatrey Qatrey Ki Tu Hee To Hai Aabroo Allahu Allahu Allahu Allahu Saarey ‘Aalam Ko Hai Teyri Hee Justajoo Jinn o Ins o Malak Ko Teyri Aarzoo Yaad Mey Teyri Har Eyk Hai Koo Bakoo Ban Main Wehshi Lagaatey Hain Zarbaatey Hoo Allahu Allahu Allahu Allahu Nagma Sanjaaney Gulshan Mey Charcha Teyra Cheh-Chahey Zikrey Haq Key Hain Subho Masaa Apni Apni Chehak Apni Apni Sadaa Sab Ka Matlab Hai Waahid Key Waahid Hai Tu Allahu Allahu Allahu Allahu Taa-Iraan e Jina Mey Teyri Guftagoo Geet Teyrey Hee Gaatey Hain Wo Khush Guloo Koi Kehta Hai Haq Koi Kehta Hai Hoo Aur Sab Kehtey Hain Laa Shareeka Lahoo Allahu Allahu Allahu Allahu Thandi Thandi Naseemain Chalain Merey Rab Fitn

Dard e Dil Kar Mujhey ‘Ataa Ya Rab Lyrics - Qari Rizwan

Dard e Dil Kar Mujhey ‘Ataa Ya Rab Dey Merey Dard Ki Dawaa Ya Rab Laaj Rakhley Gunah Gaaron Ki Naam Rahmaan Hai Teyra Ya Rab ‘Ayb Merey Na Khol Mehshar Mey Naam Sattaar Hai Teyra Ya Rab Bey Sabab Bakhsh Dey Na Pooch ‘Amal Naam Ghaffaar Hai Teyra Ya Rab Bhool Kar Bhi Na Aaye Yaad Apni Merey Dil Sey Mujhey Bhula Ya Rab Khaak Kar Apney Aastaaney Ki Yoon Hamain Khaak Mey Mila Ya Rab Teyri Jaanib Yeh Musht Khaak Urey Bheyj Aisee Koi Hawa Ya Rab Sabaqat Rahmati ‘Alaa Ghazabi Tu Ney Jab Sey Suna Diya Ya Rab Aasraa Ham Gunah Gaaron Ka Aur Mazboot Ho Gaya Ya Rab Tu Ney Merey Zaleel Haathon Mey Daaman e Mustafa Diya Ya Rab Kar Diya Tu Ney Qadri Mujh Ko Teyri Qudrat Key Mey Fida Ya Rab Tu Hasan Ko Utha Hasan Kar Key Ho Ma’al Khair Khaatima Ya Rab